Share This Post

Manqabat

Sarkaar-e-Ghous-e-Azam nazr e karam khudara

Sarkaar-e-Ghous-e-Azam Nazr-e-Karam Khudara
Mera Khaali Kaasa Bhar Do Mein Faqeer Hoon Tumhara

Jholi Ko Meri Bhar Do Warna Kahe Gei Duniya
Aisay Sakhi Ka Mangta Phirta Hai Maara Maara

Sab Ka Koi Na Koi Duniya Mein Aasra Hai
Mera Bajuz Tumharay Koi Nahin Sahara

Ye Ata e Datstageeri Koi Mere Dil Se Pooche
Wahi Aagaye Madad Ko Mene Jab Jaha (n) Pukara

Maula Ali (radi Allahu ‘anhu) Sadqa Ibn e Ali Ka Sadqa
Maula Ali Sadqa Khawaja Piya
Maula Ali Ka Sadqa Ahmad Raza Ka Sadqa
Maula Ali Ka Sadqa Ghanj e Shakar Ka Sadqa
Maula Ali K Sadqa Data Piya Ka Sadqa
Mere Laaj Rakhlo Ya Ghaus Me Fakir Hu(n) Tumhara

Share This Post

Leave a Reply