Share This Post

Salam / Urdu Lyric

Ae biyaban e Arab

ae biyaban-e-‘arab teri baharon ko salaam
tere phulon ko tere pakiza kharon ko salaam

jabl-e-noor o jabl-e-saur aur unke gharon ko salaam
noor barsaate paharon ki qitaaron ko salaam

jhoomte hain muskuratein hain mughiran-e-arab
khoobsoorat wadiyon ko reg-guzaron ko salaam

raat din rahmat barasti hai jahan par jhoom kar
un tawaf-e-kaaba ke rangeen nazaron ko salaam
jo musalman kaba ka karte hain tawaaf
unke balke sare hi sajdah guzaron ko salaam

sang-e-aswad baab-o-mizaan woh muqaam-e-multazam
aur ghilaf-e-kaaba ke rangeen nazaron ko salaam

mustajaro mustajabo bir-e-zamzam aur mataaf
aur hateem-e-paak ke dono kinaron ko salaam

rukn-e-shaami aur iraqi aur yamani par darood
jagmagate noor barsate minaaron ko salaam

khoob choomein hain qadam saur-o-hira ne shah ke
mehke mehke pyaare pyaare dono gharon ko salaam

jagmagate gumbad-e-khazra pe hoor-o-shamhorood
masjid-e-nabwi ke noorani minaaron ko salaam

mimbar-o-mehraab janan aur sunehri jaaliyan
sabz gumbad ke makin ko dono pyaaron ko salaam

sayyidi hamza ko aur jumla shaheedan-e-uhud
ko bhi aur sab ghaaziyon ko shahsawaaron ko salaam

jis qadar jin-o-bashar mein the sahabah shaha ke
sab ko bhi beshak khasoosan char yaaron ko salaam

jis jagah pe aa ke soye hain sahabah das hazaar
us baqi-e-khaak ke saare mizaaron ko salaam

ghusl-e-kaaba ka bhi manzaar kis qadar purkaif hai
jhoom kar kehte hain hum sab un nazaron ko salaam

Share This Post

Leave a Reply