sab ke sab loh-o-qalam hain lab kusha tere liye
chand ki qindeel sooraj ka diya tere liye
kiya shab-e-meraj istiqbal khaliq ne kiya
kona kona aasmanon ka saja tere liye
chand do tukre kiya baik janbish angush se
chand sheeshe se ziada kuch na tha tere liye
hum to ajiz hain teri midhat se aae mamhoh-e-rab
khud sarapa naat hia tera khuda tere liye
rang,khushboo,chandni,barsaat badal sab tere
khak per yeh farsh sabze ka bicha tere liye
hamid-o-mahmood-o-ahmad majid-o-amjad hai tu
ha karan taaba karan yeh silsila tere liye
un ki had hai tur-e-sina tu hadoon se mawara
manzil kosin tu hai ibtida tere liye