Rangiiniiay gulaab na gulzaar chaahiiay
Taiba kay dasht ka mujhay ik haar chaahiiay
Dunya na mujh ko maal ka anbaar chaahiiay
Chashm e karam huzur ki ik baar chaahiiay
Kaaba ki azmatein mujhay tasleem heyn magar
Mayrii jabeen ko kucha e sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) chaahiiay
Yay aarzu e dil he ada yuun namaaz ho
Sajdon kay waastay tayra darbaar chaahiiay
Yusuf sa maalka bhi kehta zuroor aaj
Biknay kay waastay tayra bazaar chaahiiay
He khuld ki talab na kisi huur say gharaz
Mujh ko huzur (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aap ka deedaar chaahiiay
Un kay gunahgaar ko to chaahiiay karam
Un kay karam ko to bhi gunahgaar chaahiiay
Daykhay to sirf aap ko daykhay na gheyr ko
Mujh ko esi nazar shah e abraar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) chaahiiay