hai yehi qahesh ke raat din likhta rahu naat-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
isse badkar aur kiya hogi aata-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
sajate raho mahafil aqidat se aur mohabbat se
phir jald hogi mahafil me amad-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
wala soufa yuu tika rabbuka fatarza kaha hai qur aan me rab
ne
dekho khuda bhi chahta hai raza-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
chale the farooq (radi Allahu ‘anhu) khatl-e-Huzoor ke liye
badal diye irada jab dekha chehra-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
padte raho durood-o-salam Aqa-e-do jahan par
yaqinan hogi wajib shafaat-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
karde Mawla ab fazlo karam JABER pe
take ye bhi ban jaye aashiq-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
(Ameen ya allah)