Khuda ki nazron mein rehta
Mere sarkar ka chehra
Voh Noor e haq ka hai jalwa
Mere sarkar ka chehra
Yahi hai rashk e mehruma
Yehi to hai shahe khuban
Hasinon se hasin chehra
Mere sarkar ka chehra
Hue ummat mein voh a’la
Sahaba ban gaye voh to
Jinhon ne ankhon se dekha
Mere Sarkar ka chehra
Bhala chehre ko kya dekhun
Harr ik tashbeeh se ba ala
Mere sarkar ka chehra
Qasam hai husne yusuf ki
Jahan bhar mein nahi koi
Misal aisi jawab aisa
Mere sarkar ka chehra
Bilal e habshi kaba ki
Chat per rukh kahan karte
Azan dene ka ab qibla
Mere sarkar ka chehra
Nakeeron ne jo pucha
Qabr mein yeh kis ka jalwa hai
Ujagar jhoom kar bola
Mere Sarkar ka chehra