Mein sajdah karun ya ke dil ko sambhalun Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki chokhat nazar aa rahi hain
Issi be-khudi main kahiin kho na ja-un tarrap kamli waale ki tarrap aa rahi hain
Do aalam ka daata mere saamne hei wo, Kaabe ka kaaba mere saamne hain
Ada kyun na farz-e-muhabbat karun mein, khuda ki khudaii jhuki ja rahi hain
Galai main hein zulfain to neechi nigahain nazar chuumti hei madine ki raahein
Farishte bhi barh kar qadam chuumte hein Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki jogan chali aa rahi hain
Faqeeri ka mujh main nahiin hai saleeqa, na aata hai kuch maangne ka tareeqa
Idhar bhi nigaahe karam kamli waale zamane ki jholi bhari ja rahi hai
Farishto sar-e-raah ankhain bicha do uttho behr-e-tazeem sar ko jhuka do
Khuda keh raha hei mere dilruba ki wo dekho sawaari chali aa rahi hei
Ye farmaya haq ne ke pyaare Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hamare ho tum ham tumhare Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Hamain apne jalwon main ay kamli waale, tumhari hi surat nazar aa rahi hei
Ye jazba muhabbat hai rahmat khuda ki, hai chokhat mere saamne Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki
Mujhe kyun na ho naaz qismat pe muslim, muhabbat kahaan ki kahaan la rahi hei