Mere aqa dete hain
jholi sab ki bhar te hain
jis ne manga us ne paya
mere Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) dete hain
Mangte khali haath na lotein
kitni mili khairat na poocho
un ka karam phir un ka karam hai
un ke karam ki baat na poocho
Main kya aur kya meri haqiqat
yeh sab hai sarkar ki nisbat
main to bura hoon lekin meri
laaj hai kis ke haath na poocho
Haal agar kuch apna sunaya
un ke karam ka shikwa ho ga
main apne halaat mein khush hoon
mujh se mere halaat na poocho
Akhir main bas itna kahoon ga
jaag utha ashkon ka muqadar
yaad-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mein rote rote
kaise kati hai raat na poocho