Muskura do do alam badal jaega
Yeh nizame do alam sambhal jaega
Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ya Nabi…
Aap ae zamana fida hogeya
Arsh jhuk kar adab se khara hogeya
Lamakan pe bhi shor bhapha hogeya
aaj paida habibe khuda hogeya
Kyoun manaye na id-e-milad nabi
aaj ke din the ae hamare Nabi
aisi rahmat karam ki si baad chali
asiyon ko kare ik nazr mein wali
aaj jhumo ke ae hain khayr ul-bashar
aaj gao ke thanda hai rabb ka sahar
un ke hote hue ke sadr kya fikr
waste hamare kya ji qadr
torre qadmoun ko chumo yeh dil ki lagan
torre jute uthane ko machle yeh man
torre pao dabao kahe mera man
shaha kuch to mujhe mere man ki lagan
zaate ahmad se dil ko taharat mille
dil ko taskin, ruh ko sarawat mille
dil lagane se tum ko phir Allah mille
woh Muhammad hain unse sab kuch mille
torri chokat pe baitha rahun har ghari
torra darwaza khatta rahun har ghari
torri naatein shaha main likhoun har ghari
torri rahmat ko takta har ghari
Muskura do do alam badal jaega
Yeh nizame do alam sambhal jaega