Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka khuda aur khud mustafa.
Kyun kahun mera koi sahara nahi.
Unke dar ka gada aur mayoos ho,
mere sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko yeh gawara nahi.
Main Madine se lekin bohat door hoon,
yeh khalish mere dil ko gawara nahi.
Mustafa ka khuda aur khud Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Kyun kahun mera koi sahara nahi.
Aap ka ishq hai ishq-e-Rabb-ul-‘ula,
aap ka zikr hai khaas zikr-e-Khuda.
Khud Khuda ka yeh qur’an mein elaan hai,
jo Tumhara nahi woh hamara nahi.
Mustafa ka khuda aur khud Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Kyun kahun mera koi sahara nahi.
Wohi Roze pe bulwaenge eik din,
sabz Gumbad bhi dikhlaenge eik din.
Apne Roze pe bulwaenge eik din.
Ae sikandar zara sabr se kaam le.
Unke dar ka gada aur mayoos ho,
mere sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko yeh gawara nahi.
Mustafa ka khuda aur khud Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Kyun kahun mera koi sahara nahi.
Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) apni ulfat ki soughaat de,
Apni shayan-e-shah mujhko khayraat de.
Iss se matlab nahi hai, siwa ho ke kamm,
shaala wasda raawe Tera Sohna Haram.
Hum ghulamo ka rakhna khudara bharam,
shaala wasda rawe Tera Sohna Haram.
Mere haathon mein kaasa hai umeed ka,
hoon bhikari Shaha Teri deed ka.
Ik jhalak hi dikha de Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mohtasham,
shaala wasda rawe Tera sohna Haram.
Mere haathon mein kaasa hai umeed ka,
hoon bhikari shaha teri deed ka.
Main gada-e-haram, tu Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mohtasham,
shaala wasda rawe Tera sohna Haram.
Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka khuda aur khud Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Kyun kahun mera koi sahara nahi.