Share This Post

Urdu Lyric

Naat-e-Sarkaar Ki Parta Hoon Mein

Naat-e-Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki parta hoon mein
Bas issi baat say ghar mein meri rahmat hogi
Ik tera naam waseela he mera
Ranj o gham mey bhi iss naam sey rahat hogi

Ye suna hey kay bahot ghor andheri hogi
Qabar ka khowf na rakna ey dil
Waha Sarkar e Madina (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki ziarat hogi

Unko Mukhtar banaya hey merey Mola ney
Khuld mein bas wahi ja sakta hein
Jisko Hasnain kay baba ki ijazat hogi

Unki chokat pey parey he to bari moj mein hey
Lot kay ayengey jab us dar sey
Merey dil tu hi bata kya teri halat hogi

Hashr ka din bhi ajab deykna vala hoga
Zulf lehra key wo jab ayengey
Phir qiyamat mein bhi ik aur qiayamat hogi

Rashk sey door karey deyktey hogay Zaahid
Jab sare Hashr gunahgaro pey
Merey aaqa ka karam hoga inayat hogi

Kahi Ta Ha kahi Yaseen kahi Washams aaya
Jiski qasmay mera Rab kaata hey
Kitni dil kash merey Mehboob ki surat hogi

Do jahaan mein usse kon pana deyga
Hoga ruswa sare hashr jise
Sayyida Zahra kay bach sey adawat hogi

Mayray Sarkaar Bulaa Ain Gay, Apni Ki Chokat Pay,
Wo Nazaara Phir May Daykoon Ga,
Dekh Kar Gumbad E Khazra, Mayri Ulfat Hogi

Mera daman to gunaho sey bhara hey Iltaf
Ik sahara hey kay mein unka hoon
Issi nisbat sey sar-e-Hashr shifa-at hogi

Share This Post

1 Comment

  1. this is my febrate naat kasam se dil hiladene wali naat he

Leave a Reply