nah kaleem ka tasawwur nah khiyaal-e-tur-e-sinaa
meri aarzu Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) meri justuju Madinah
main gadaae Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hun meri azmatein nah poocho
mujhe deykh kar jahannam ko bhi aa geya paseenah
mujhe dushmano nah cherho mera koi hai jahaan main
main abhi pukaar lun ga naheen dur hai Madinah
main mareez-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hun mujhe cherho nah tabibo
meri zindagi jo chaaho mujhe le chalo Madinah
meray dubne main baqi nah koi kasar rahi thi
kahaa “almadad Muhammad” (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) tho ubhar geyaa safinah
siwaa is ke meray dil mein koi aarzu nahein hai
mujhe mowt bhi jo aaey tho ho saamne Madinah
kabhi aey Shakeel dil se nah mite khiyaal-e-Ahmad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
isi arazu mein marna isi arazu mein jeena