Pul Say Utaaro Raah Ghuzar Ko Khabhar Na Ho
Jibreel Par Bichaaey To Par Ko Khabhar Na Ho
Kaantaa Merey Jighar Sat Gham e Rozgaar Ko
Yoon Kheench Leeyjiey Kay Jighar Ko Khabhar Na Ho
Faryaad Ummatey Jo karay Haal e Zaar Mein
Mumkin Nahin Kay Khair e Bashar Ko Khabhar Na Ho
Kehtey They Yeh Buraaq Say Uskey Sabaq Raveey
Yoon Jaiey Kay Ghard e Safar Ko Khabhar Na Ho
Farmaatay Hein Yeh Dono Hein Sardaar e Do jahaa
Ay Murtazaa! Ateeq o Umar Ko Khabhar Na Ho
Aysa Ghumaa Day Un Key Vilaa Mein Khuda Humein
Dhoondhaa Karay Par Apney Khabhar Ko Khabhar Na Ho
Aa Dil! Haram Ko Roknay Waalon Say Chup kay Aaj
Yoon Uth Chalay Kay Pehlo Wabar Ko Khabhar Na Ho
Teer e Haram Hein Yeh Kaheen Rishta Bapaa Na Ho
Yoon Daykhiyeh Kay Taarey Nazar Ko Khabhar Na Ho
Ay Khaar e Taibah! Daykh Kay Daaman Na Bheekh Jaey
Yoon Dil Mein Aa Kay Deedah e Tar Ko Khabhar Na Ho
Ay Shauq e Dil! Yeh Sajdah Ghar Un Ko Ravaa Nahin
Acha! Woh Sajda Key Jiey Sar Ko Khabhar Na Ho
Un kay Sivaa RAZA Koey Haamey Nahin Jahaa
Ghuzra Karay Pisar Pay Pidar Ko Khabhar Na Ho