Mehboob (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Woh Log Khuda Shahid, Qismat Ke Sikandar Hain Jo Sarware Alam (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)Ka, Milad Manate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Aqa Ki Sanah Khwani, Dar Asl Ibadat Hai Hum Naat Ki Surat Mein, Qur’an Sunate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Jin Ka Bhari Duniya Mein, Koi Bhi Nahin Wali Unko Bhi Mere Aqa, Sine Se Lagate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Jo Sarware Alam Ko, Lajpal Samajhte Hain Daman Talab Bhar Kar, Mehfil Se Woh Jate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain...
Mustafa Jaan-E-Rehmat Pay Lakhoon Salam Shama-E-Bazm-E-Hidayat Pay Lakhoon Salam …. (Chorus) Mehr-E-Charkh-E-Nabuwat Pay Raushan Durood Bhool-E-Baagh-E-Risalat Pay Lakhoon Salam Chorus Mujh Se Baikas Ki Daulat Pay Lakhoon Durood Mujh Se Baibas Ki Koowat Pay Lakhoon Salam Chorus Hum Ghariboon Kay Aaka Pay Behad Durood Hum Fakiroon Ki Sarwat Pay Lakhoon Salam Chorus Neethe Aankhoon Ki Sharm-O-Haya Par Durood Unchi Beeni Ki Rifat Pay Lakhoon Salam Chorus Syeda Zahida Tyaba Tahira Jaan-E-Ahmad Ki Rahat Pay Lakhoon Salam Chorus Unki Bala Sharafat Pay Aala Durood Unki Bala Siadat Pay Lakhoon Salam Chorus Kaash Mehshar Main Unki Aamad Ho Aur Kay Jay Sub Unki Shaukat Pay Lakhoon Salam Mujh Say Khidmat Kay Kudsi Kahain Ha Raza Mustafa Jaan-E-Rehmat Pay Lakhoon Salam Chorus
Aye Shahenshahe Madina, assalat-o-wassalam ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam zeenat-e arsh-e mu’alla, assalat-o-wassalam Rabbi-habli-ummati kehte huway paida huay Rab ne farmaya ke bakhsha assalat-o-wassalam ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam, zeenat-e-arsh-e mu’alla, assalat-o-wassalam sar jhuka kar ba adab ishq-e Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) may, keh raha he har sitara assalat-o-wassalam ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam, zeenat-e-arshe-e mu’alla, assalat-o-wassalam mu’mino padhthay raho tum apnay aqa par durood he farishto ka wazifa, assalat-o-wassalam ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam, zeenat-e-arshe mu’alla, assalat-o-wassalam mein woh sunni hu jamil-e qadri marnay ke ba’d mayra laasha bhi kahe...
Madine ki Azmath Madine ke jalwe Madine ke charche Madine ka manzar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ki baatein Madine ki raatein Yahaan to rahte hain mere payambar Jo hai saare aalam ke Sarwar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Isliye hai Taiba kitna munnawar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Kitna hai pyara pyara Madina Ise Rabb ne kitna sawara Madine ki azmath ke mai sadqe jawaan Isme rahte hai mere payambar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ka wo pyara manzar Waha ke phool aur wahaan ke kankar Wahaan ka farsh aur minar-e-anwar Aur waha ka Mihrab-o-Mimbar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Na koi zar hai Na koi par hai chala bhi jaata nahi hai mujh se Phir aa’un kaise tumhare Dar par ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Gumbade Khizra ke pyare nazare Wahaan ki galiyaan wahaan ke raste Wahaan ki diwarein wahaan ke ja...
I am a Muslim and Allah (subhanahu wa ta’ala) I praise; For all His blessings, my voice I raise, In One God I believe, no equal has He; Lord of the Universe, compassionate to me. Muhammad the Prophet (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) , taught me the way; To be honest and truthful, throughout each day. The Noble Qur’an, in life is my guide; It’s teachings I follow, by it I abide. Islam, my religion, preaches good deeds; Mercy and kindness, the right path it leads. Upon all humanity Allah showers His grace; Regardless of colour, nationality or race. By working together our hopes increase; To live in a world full of love and peace. I am a Muslim, and Allah I praise; For all His blessings, my voice I raise.
Qareeb e Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai koii koii Mazay yay luutt-ta he koii koii Bashar samjha unhayn laakhon nay laykin Haqeeqat e aashna he koii koii Ghaneemat jaan jitni bhi mili he Kay mekhaana khula he koii koii Madinay pohnchtay hain yuun to laakhon Par, madina dekhta he koii koii Tayray rozay ki Noori jaaliyon ko Nazar say choomta hai koi koi
Pekar e dilruba ban kay aaya, ruh e arzo sama ban kay aaya Sab rasul e khuda ban kay aa-ay, wo habeeb e khuda ban kay aaya Hazrat e Amina (radi Allahu ‘anha) ka dulaara, wo Haleema (radi Allahu ‘anha) ki aankhon ka taara Wo shikasta dilon ka sahaara, bay kason ki dua ban kay aaya Dast e qudrat nay esa sajaya, husn e takhleeq ko rashk aaya Jiss ka paya kisi nay na paya, wo khuda ki raza ban kay aaya Taajdaaron nay di he salami, baadshahon nay ki he ghulaami Bay misaal uss ka ism e giraami, Mujtaba Mustafa ban kay aaya Wo Nabi rahmat e aalameen hai, jo bhi unkay zair e nagiin hai Esa ghamkhuar daykha nahiin he, jesa kherulwara ban kay aaya He zahoori barri shan unki, madah karta he quraan unki Naat parrta he hassaan unki, jo mayra rahnuma ban kay aaya
PAYAAM LE KE JO AAYI SABAA MADINE SE MARIZE ISHQ KI LAAYI DAWAA MADINE SE MILLE HAMAARE BHI DIL KO JILAA MADINE SE KE MAHR-O-MAAH NE PAAYI ZIA MADINE SE JO AAYA LE KE GAYAA KAUN LOUTA KHAALI HAATH BATAAYE KOYI SUNAA HO JO “LAA” MADINE SE WO GAYAA KHULD ME JO AA GAYAA MADINE ME GAYAA WO KHULD SE JO CHAL DIYAA MADINE SE MADINA CHASHMA-E-AABE HAYAATH HE YAARO CHALO HAMESHA KI LE LO BAQAA MADINE SE CHALE JO TAIBA ME MUSLIM TO KHULD ME POHONCHE KE SEEDHAA KHULD KA HE RAASTA MADINA SE TUMHAARE QADMO PE SAR SADQE JAAN FIDA HOJAYE NA LAAYE PHIR MUJHE MERA KHUDA MADINE SE TERE HABEEB KA PYAARA CHAMAN KIYA BARBAAD ILAAHI NIKLE YE NAJDI? BALAA MADINE SE TERE NASEEB KA NOORI? MILEGA TUJH KO BHI LE AA’E HISSA YE SHAAH-O-GADAA MADINE SE
Phir ke galli galli taybah thokare sab ki khayen kyoon Dil ko jo akal de Khuda teri gali se jayen kyoon Rukhsate qaafila ka shor gashse hame uthae kyoon Sote hain Unke Sayen mein koyi hamme jagaaye kyoon Yaade Huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki qasam gaflate aish he sitam Khoob hai qaide ghum mein hum koyee hamme chhurae kyoon Dekh ke Hazrate Gani phel pare Faqeer bhi Chaayi he ab to chauni Hashr hi aana jae kyoon Jaan he Ishq e Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) roz fizoo kare Khuda Jis ko ho dard ka mazaa naaze dawa uthae kyoon Woh jo nathe to kuch natha woh jo naho to kuch naho Jaan hai woh jahan ki, jaan hai to jahaan hai Hai to Raza nira Sitam jurm pe gar lajaaye hum Koyee bajaaye soze gam saze tarab bajaaye kyoon
Pukaroooo Pukaroo Shahe Jilaan ko pukaro Badal jaye ghi Qismat be saharo Pukaroo Ye dar Mehbhoobe Subhnai ka dar hai Beqari ban ke aao Taajdaro Pukaro har gari ya Roosel Azam Guzaro zindagi bas youn guzaro Tumhari reeat hai bhere tarana Mori niyaan bhi mila paar utaro Ye zarre kochae Baghdaad ke hai Karo sajde yahan pei chaand taro Mori Jilaan takhaf un ka hai farmaan Na ghabrao zarra bhi gham ke maro
Pooch te kya ho Madine se Mai kya laya hoon Apni aankhaun mein Madine ko basa laya hoon Dil bhi mera hai waheen Jaan bhi meri hai waheen (to phir lekar kya aae ho) Apne kaandhaun par apne laashay ko utha laya hoon Jisne choome hai Qadam Sarwaray ‘Alam ke Khaak e Taibah ko mai apni palkuan pay saja laya hoon Saya e Gumbade Khazra me ada karke namaaz Apne sar ko mai Arsh ka hum paya bana laya hoon Jaan o dil wahaan rakh ke amanath ki tarha Phir wahaan janay ke asbaab bana laya hoon
Tum bhi kar key Unka charcha, apney dil chamkaaow Uchay mey ucha Nabi ka jhanda Azmat wala Nabi ka jhanda Ghar ghar mey lehraaow Pukaro! Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Ya Habeeballah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Subho Tayba mey huwi bat-tha hai bara noor ka Sadqah leyney Noor ka aya hai tara Noor ka Barawi key chaand ka mujra hai sajda noor ka Bara bur jo sey juka ik ik sitara noor ka Tum bhi kar key Unka charcha, apney dil chamkaaow Uchay mey ucha Nabi ka jhanda Azmat wala Nabi ka jhanda Ghar ghar mey lehraaow Pukaro! Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Ya Habeeballah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Baaghey Tayba mey suhana phool phoola Noor ka Mast bu hai bulbulay parthi hai kalma Noor ka Taaj waley deykh kar Teya imama Noor ka Sar jh...