Ahlulbayt

Aye Hasnain ke nana

Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) nazre karam farmana Aye Hasnain ke nana Zahra paak ke sadqe humko Taiba me bulana Aye Hasnain ke nana Ya Nabi nazre karam farmana Aye Hasnain ke nana Aap ke dar ka mai hu bhikari Aap hai mere daata Saare rishte naato se hai Pyaara apna naata Aap to hai aata hai jinko sabki laaj nibhana Aye Hasnain ke nana Ya Nabi nazre karam farmana Aye Hasnain ke nana Be saaya hai lekin woh Jag par hai aapka saaya Arshe moh`alla bana mohalla Deed ko Rab ne bulaya Hasr tak na hoga kisika Aisa aana jana Aye Hasnain ke nana Ya Nabi nazre karam farmana Aye Hasnain ke nana Sajh gayi hai meelad ki mehfil Kya hai khoob nazara Kaifo masti me dooba hai Dekho aalam saara Dhund rahi aap ki rehmat Bakshish ka bahaana Aye Hasnain ke nana Ya Nabi nazre karam farmana Aye Has...

Aqse roo e Mustafa

Aqse roo e Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se aisi zebayi mili Khil utha Rang e Chaman phoolon ko raanaayi mili Arze Taiba me muyassar aa gayi do gaz zameen Yuh hamare muntashir ajza ko yaqtayi mili Behre Ishq e Mustafa ka majra ho kya bayaan Lutf aaya dubne ka jitni gehrayi mili Chadar e Zahra ka saaya hai mere sar par Naseer Faiz e Nisbat dekhiye nisbat bhi Zahraayi mili

Mein To Panjtan Ka Ghulaam Hun

Meh to panj than ka ghulaam hun Mujhay ishq hain toh Khuda sey hain, mujhay ishq hain toh Rasul hain Meray mun sey aaey mehak sada, joh main naan lun tera bhool sey Mujhey ishq sar-o-saman sey hain, mujhay ishq saray chaman sey hain Mujhay ishq Un ki gali sey hain, mujhay ishq hain Un key wathan sey hai Mujhay ishq hain toh Ali sey hain, mujhay ishq hain toh Hassan sey hain Mujhay ishq hain toh Hussain sey, mujhay ishq Shahe Zaman sey hain Meh toh panj than ka ghulaam hun Huwa keysay then sey woh sar juda, jahan ishq ho wohein Karbala Meri baath un hi ki baath hain, meray saamnay wohi zaath hain Wohi jin ho shayre Khuda kahein, jinhein baabe salli ‘ala kehein Wohi jin ko aale Nabi kahein, wohi jin ko zaathe Ali kahein Wohi pukhta hain mey tho khaam hun Meh toh panjtan ka ghulaam hun ...

Katle Hussain Asal Mein Marge Yazeed Hai

Katle Hussain (radi Allahu ‘anhu) asal mein marge Yazeed hai Islam zinda hota hai har karbala ke baad Ohh Shimar leyin zalim kya zulm kiya tu ne Pyasa hi gala kata Pani na diya tu ne Laash ayi jab Asghar ki Maan kehne lagi roo ke Pyasa ki gala kata pani na diya tu ne Wo kis ke nawase hai bhoke hai ya pyase hai Itna bhi na socha mardood zara tu ne Sar apna kataya itni bhi parwa na ki tu ne batil ki Saabhaas tujhe Ae hud kya kaam kiya tu ne Mar kar bhi kabhie zalim aaram na paye ga Baagh-e-ghul Ahmad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko paamaan kiya tu ne  

Kya Husn-E-Ifteqar Hai Yaad-E-Hussain Mein

Kya husn-e-ifteqar hai yaad-e-Hussain (radi Allahu ‘anhu) mein, Har ashq ek bahaar hai yaad-e-Hussain (radi Allahu ‘anhu) mein Darbar-e-Mustafa ki fazeelat na poochhiye, Insaan ka waqaar hai yaad-e-Hussain (radi Allahu ‘anhu) mein Har ashq kalma parhte hain bar deen-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kya husn-e-yaadgaar hai yaad-e-Hussain (radi Allahu ‘anhu) mein Wallah sar ba sar hai wo iman ka sukoon, Jo qalb-e-beqaraar hai yaad-e-Hussain (radi Allahu ‘anhu) mein Dil zindagi mein kaise na ho khuld aashiyaan, Islam ki bahaar hai yaad-e-Hussain (radi Allahu ‘anhu) mein  

Karbala Vich Karbala Walayaan Nay

Karbala vich karbala walayaan nay, karbal nuun nazaara day chhaddya Zaynab (radi Allahu ‘anha) nay samnay akhiyaan day, akhiyaan da taara day chhaddya Hathh penda kalayjay oday nuun, jiss behn day veeran ttur jaanday Taqdeer nuun sughra (radi Allahu ‘anha) nay apna, chan veer pyara day chhaddya Sayyad nay aakhaya zaalimaan nuun, band kar lo bayshak paani nuun Assi apnay-an pyasay-aan bachay-aan nuun, kosar da kinara day chhaddya Shah abbaas (radi Allahu ‘anha) paani nuun tturyaa ay, o ja kay fayr na murrya ay Baazu katwaa kay nana ji , gulshan nuun sahara day chhaddya Sayyid (radi Allahu ‘anhu) ne khlo kay karbal vich, muun kar kay shehr madinay nuun Kehya, deen tayray nuun nana ji (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), gharbaar he saara day chhaddya  

Karbala Ki Hai Yaad Aai

Karbala ki hai yaad aai, ab aashk bahaaney do suey huey pehlu mein sab dard jagaaney do Sughra (radi Allahu ‘anha) sey kahaa Shah (radi Allahu ‘anhu) ne, mat roko mujhe beti Deen lutatha hai Nana ka sar dey key bachaaney do Akbar (radi Allahu ‘anhu) ki shahadat par Sakeenah (radi Allahu ‘anha) sey kahaa Shah (radi Allahu ‘anhu) ne armaan ka yeh lashaah mujh ko hi lutaney do Qur’an mera dil hai Qur’an ki mein jaan hun Qur’an ko neyzay par Qur’an sunaaney do Fatimatu Zahrah (radi Allahu ‘anha) ka hai doodh piya mein ney is doodh ki Karbal mein ab laaj nibhaaney do  

Kya Deen E Mustafa Ko Jagaya Hussain Nay

Kya deen e Mustafa ko jagaya Hussain (radi Allahu ‘anhu) ne Karbal mayn sara kunbaa luttaaya Hussain (radi Allahu ‘anhu) nay Aisa namaaz e ishq ka sajda ataa kiya Sar ko jhukaa kay arsh hilaaya Hussain (radi Allahu ‘anhu) nay Dars e Tawhid day kay ghulaamon ko aap nay Kufr o shirk ki garr mittaaya Hussain (radi Allahu ‘anhu) nay Sajday mein sar kattaaya he parrh kar namaaz e ishq Nayzay pay charrh quraan sunaaya Hussain (radi Allahu ‘anhu) nay  

Kadi Wich Khaab Dey Howey Nazarah Ya Rasulullah

Kadi wich khaab dey howey nazarah Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Chamak jawey meri qismat da tara Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kisey nu maan duniya tey kisey nu hai ibadat tey Tey meynu sirf Aqa da sahara Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Suna hai Aap har aashiq key ghar tashreef laatey hein Meray ghar mein bhi ho jawey charagha Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Gunahan di guman geydi dey wich geyrey pein kahndey ney Meri kashti nu mil jawey kinara Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Hussain ibn-e-Ali da wasta meynu bacha leyna Huwey jis din amlaan ka natara Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Laga takyah gunahon ka bara din raat sowthi hun Mujhay iss khaab-e-ghaflat sey chura lo...

Kabhee Laichalo Mujhe Karbala

Kabhee laichalo mujhe karbala Kia us zameen ka tha hosala Kia us pai hoga falak ghira Jahaan par Hussain (radi Allahu ‘anhu) ka tha Sar Kata Tha tabassum un kai zair-e-Lab Jab kar dya Kumbaa fidaa Tha ajab khilona vo teer bhee Jo Nanai seenai main tha lagaa Terai Sajdai ko karoon sajdai main Usai pyaar kitnaan karai Khudaa Teri iss ada pai naan reh saka Tujhai paas apnain bulaa lyaa Tera pyaar ban gayee us ki yaad Vo jiss kai agai tha tu jhukaa Choomoon main farsh-e-khaas ko Jis par vo paak Lahoo bahaa Kabhee laichalo mujhe karbala Kia us zameen ka tha hosala  

Bachaya Hai Hussain ne Deen ko

Bachaya hai hussain (raziallahu tala anhu) ne deen ko Ke karbala me kata kar apne sar ko Kis tarha ki hai hifazat shariyat-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki Qurbaan kar diya apne nane se asghar (radi Allahu ‘anhu) ko Haae kis tarha sabar kiye hai Aal-e-Rasool Khuda ki raah me qurbaan kardi apni jaanaun ko Tum muqtaar Nabi ke muqtaar Nawase ho ya Hussain (raziallahu tala anhu) Kalima padaya us taazim karne wale yahudi ko Ye nawase hai do aalam ke badeshah ke Haye shimar mardud ye tune qatal kiya hai kis ko Batti gul karke kaha aapne, jo jana chahta hai jai Lekin manzur the saare jam-e-shahadat peenay ko Duaa kar dete Hussain (radi Allahu ‘anhu) halaak-o-barbaad hojate yazidi Lekin bhuk aur pyas manzoor thi Hussain (radi Allahu ‘anhu) ko Maan najdi yazid ku...

Badi Shay Hai Nisbat-E-Mustafa

Badi shay hai nisbat-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Hai waseela apni najaat ka Shah-e-ambiya ki jo Aal hai, Barha uska jaah-o-jalaal hai, Nahin uski koi misaal hai, Wo habib-e-haq ka jamaal hai, Nahin kaal is mein ye haal hai, Mila usko kaisa kamaal hai, Ye Khuda-e-pak ki hai ataa, Badi shay hai nisbat-e-Mustafa Wo jo Ahle Bayt ke hain Imam, Barhe muttaqi barhe nek naam, Wo hain badshah to hain hum ghulam, Bane unke madhha tara tamaam, Barha uncha har ek ka hai maqaam, Hue pehle hazrat Ali Imam, Jinhe sab ne Asadullah kaha, Badi shay hai nisbat-e-Mustafa Hain Hassan Imam Hussain bhi, Hain Ali Raza wo Naqi Taqi, Hain Imam Baqir-o-Kazmi, Kahin Abdi kahin Ja’fari, Koi Mahdi koi hai Askari, Hai har ek Rasool ki raushni, Mili unse duniya ko hai zia, Badi shay hai nisbat-e...

  • 1
  • 2