Akhirah

Naat Sarkar ki pardhata huN mey,

Naat Sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki pardhata huN mey, Bas issi baat say ghar mey meray Rahmat ho gi Ik Tera naam wasilah hai mera… Zikr-e-Sarkaar wasilah hai mera… Ranj-o-gham mey bhi issi naam say rahat ho gi Kyun keh Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka naam bhi kya ism-e-azam hai, jahaan koi na kaam aaey, wahan yeh kaam aata hai! Subhan’Allah! Aur yeh suna hai keh bohot gowr andheyri ho gi…. Qabr ka khowf na rakhna ey dil, wahan Sarkar-e-Madinah ki ziyarat ho gi Qabr ka khowf na rakhna ey dil, wahan Sarkar kay Chehray ki ziyarat ho gi Subhan’Allah! Unko Mukhtar banaya hai meray Mowla nay, Khuhld mey bas wahi jaa sakta hai Jis ko Hasnain kay baba ki ijazat ho gi. Subhan’Allah! Hashr ka din bhi ajab deykhney waala ho ga, Zu...

Faisla Nabi Ka Hai

Faisla Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka hai Sunni bakhshe jaenge Garmee Qayamat se hum najaat Paenge Jitne hai a’ado Pyare Sarware do Alam (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke Atish e jahannam me woh jalae jaenge Noor se chamak uthee bil-yakheen lahad meri Qabr me mere Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)muskurate aaenge Roze hashr kauthar ka jaam apni ummat ko Apne Daste Aqdas se Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) pilate jaenge Inka Dar pe janay ka gar sharf mila hum ko Naat e Mustafa nadim hum sunate jaenge.  

Ilahi Aarzoo Itni To Kam Se Kam Nikal Jaye

ilahi aarzoo itni to kam se kam nikal jaye Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki chokhat pe mera dum nikaljai ilahi is se badkar aarzoo-e-dil nahi koi Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)samne ho aur mera dum nikaljai dam-e-aaqir Rasul Allah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka didaar ho ya rab phir is ke baad chahe dum rahe ya dum nikaljai nazaa ki hichkiyo me bhi sada-e-mustafa nikle Muhammad, ya Muhammad, Muhammad, ya Muhammad, Muhammad, ya Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kahte kahte dam nikaljai tasawur me Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke qadmo me ye sar ho bas itne se hi waqfe me mera ye dam nikaljai.  

Zehre Saya Ae Ghumbad Raat Ka Basera Hai

Zehre saya ae Ghumbad raat ka basera hai Aur sunahri jali mein rohnama sawera hai Jab aja Madine mei hajioun ka dehra hai Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa salam) ke koche mein saailoun ka peera hai Kitni khuld manzar hai raat bhi Madine ki Aik zara ujala hai aik zara andhera hai Tahiroun ki jurmat mein wo kalas ka nazara Shama ko pathangoun ne har taraf se geera hai Meri khush naseebi par rashq aye Rizwan ko Mustafa agar keh dei ye Ghulam mera hai Kabar mein farishtoun se jab Nabi ne farmaya Jaao is ko sohne do ye Ghulam mera hai Raat bhi Madine ki din se kam nahi Ajmal Shaam bhi Madine ki khushnama saweera hai  

Pul Say Utaaro Raah Ghuzar Ko Khabhar Na Ho

Pul Say Utaaro Raah Ghuzar Ko Khabhar Na Ho Jibreel Par Bichaaey To Par Ko Khabhar Na Ho Kaantaa Merey Jighar Sat Gham e Rozgaar Ko Yoon Kheench Leeyjiey Kay Jighar Ko Khabhar Na Ho Faryaad Ummatey Jo karay Haal e Zaar Mein Mumkin Nahin Kay Khair e Bashar Ko Khabhar Na Ho Kehtey They Yeh Buraaq Say Uskey Sabaq Raveey Yoon Jaiey Kay Ghard e Safar Ko Khabhar Na Ho Farmaatay Hein Yeh Dono Hein Sardaar e Do jahaa Ay Murtazaa! Ateeq o Umar Ko Khabhar Na Ho Aysa Ghumaa Day Un Key Vilaa Mein Khuda Humein Dhoondhaa Karay Par Apney Khabhar Ko Khabhar Na Ho Aa Dil! Haram Ko Roknay Waalon Say Chup kay Aaj Yoon Uth Chalay Kay Pehlo Wabar Ko Khabhar Na Ho Teer e Haram Hein Yeh Kaheen Rishta Bapaa Na Ho Yoon Daykhiyeh Kay Taarey Nazar Ko Khabhar Na Ho Ay Khaar e Taibah! Daykh Kay Daaman Na Bheekh Jaey Y...

Zamino Zamaan Tumhare Liye

Zamino Zamaan tumhare (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) liye Makino Makan tumhare liye Chunino Chuna tumhare liye Bane do jahan tumhare liye Dahan me zuban tumhare liye Badan me hai Jaan tumhare liye Hum aye Yahan tumhare liye Uthe bhi Wahan tumhare liye Farishte Khidam Rasoole Hashm Tamame Umam Ghulame karam Wajoodo Adam Haduso kidam Jahan me aya tumhare liye Atiko wasi Gani-o-Ali Sana ki Zuban tumhare liye Asaalate kul Imaamate kul Siyaadate kul Imaarate kul Hukoomate kul Wilayate kul Khuda ke Yahan tumhare liye Tumhari Chamak tumhari Damak Tumhari Jhalak tumhari Mahak Zamino Falak Simako Samak Me sikka rawa tumhare liye Ye Shamso Qamar ye Shaamo Sahar Ye bargo shajar ye baago samar Ye tego sipar ye Taajo kamar Ye hukme Rawan tumare liye Na Roohe Ami na Arshe maki Na Laohe Mubin koye...

Jannat Mein Lay Kar Jaey Ghi Chahat Rasool Ki

Jannat Mein lay kar jaey ghi Chahat Rasool (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki Chalta hoon mein be Qafelay walo ruko zara Milnay do bus mujhay be Ijazat Rasool ki Phochay Jo Din-o-Iman Nakerain Qabr mein Us waqt meray lab pay ho Midhat Rasool ki Tarpa kay un kay Qadmo mein mujh ko Gira day Shok Jis waqt ho lahad mein Ziyarat Rasool ki Sarkar nay bula kay Madina dikha dia Ho ghi mujhay naseeb Shafa’at Rasool ki Ya Rab dikha day Aaj ki Shab Jalwaey Habib Ik bar to Aata ho Ziyarat Rasool ki Damen mein un kay lay lo pannah Aaj munkiro Mahengi paray ghi warna Adawat Rasool ki To hai Ghulam Un ka Ubaid-e-Raza teray Mahshar mein ho ghi saath Himayat Rasool ki Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat ...

Dil may kissi ko aur basaaya na jaey ga

Dil may kissi ko aur basaaya na jaey ga Zikr-e-RASUL-e-Paak bhulaaya na jaey ga WO khud he jaan lain gay, jataaya na jaey ga Hum say tou apna haal sunaaya na jaey ga Hum ko jazaa millay gee MUHAMMAD (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) say Ishq ki Dozakh kay aas paas bhi laaya na jaey ga Kehtay thay yay Bilal(radi Allahu ‘anhu), tashadud pay kufr kay Ishq-e-NABI tou dil say nikaala na jaey ga Bayshak Huzuur Shafa-e-Mehshar hain Munkiroun kya Un ka saamnay Tumhay laaya na jaey ga Maanay ga UN ki baat, KHUDA hashr may Naseer Bin MUSTAFA KHUDA ko manaaya na jaey ga  

  • 1
  • 2