Death

Naat Sarkar ki pardhata huN mey,

Naat Sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki pardhata huN mey, Bas issi baat say ghar mey meray Rahmat ho gi Ik Tera naam wasilah hai mera… Zikr-e-Sarkaar wasilah hai mera… Ranj-o-gham mey bhi issi naam say rahat ho gi Kyun keh Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka naam bhi kya ism-e-azam hai, jahaan koi na kaam aaey, wahan yeh kaam aata hai! Subhan’Allah! Aur yeh suna hai keh bohot gowr andheyri ho gi…. Qabr ka khowf na rakhna ey dil, wahan Sarkar-e-Madinah ki ziyarat ho gi Qabr ka khowf na rakhna ey dil, wahan Sarkar kay Chehray ki ziyarat ho gi Subhan’Allah! Unko Mukhtar banaya hai meray Mowla nay, Khuhld mey bas wahi jaa sakta hai Jis ko Hasnain kay baba ki ijazat ho gi. Subhan’Allah! Hashr ka din bhi ajab deykhney waala ho ga, Zu...

Faisla Nabi Ka Hai

Faisla Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka hai Sunni bakhshe jaenge Garmee Qayamat se hum najaat Paenge Jitne hai a’ado Pyare Sarware do Alam (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke Atish e jahannam me woh jalae jaenge Noor se chamak uthee bil-yakheen lahad meri Qabr me mere Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)muskurate aaenge Roze hashr kauthar ka jaam apni ummat ko Apne Daste Aqdas se Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) pilate jaenge Inka Dar pe janay ka gar sharf mila hum ko Naat e Mustafa nadim hum sunate jaenge.  

Ilahi Aarzoo Itni To Kam Se Kam Nikal Jaye

ilahi aarzoo itni to kam se kam nikal jaye Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki chokhat pe mera dum nikaljai ilahi is se badkar aarzoo-e-dil nahi koi Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)samne ho aur mera dum nikaljai dam-e-aaqir Rasul Allah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka didaar ho ya rab phir is ke baad chahe dum rahe ya dum nikaljai nazaa ki hichkiyo me bhi sada-e-mustafa nikle Muhammad, ya Muhammad, Muhammad, ya Muhammad, Muhammad, ya Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kahte kahte dam nikaljai tasawur me Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke qadmo me ye sar ho bas itne se hi waqfe me mera ye dam nikaljai.  

Zehre Saya Ae Ghumbad Raat Ka Basera Hai

Zehre saya ae Ghumbad raat ka basera hai Aur sunahri jali mein rohnama sawera hai Jab aja Madine mei hajioun ka dehra hai Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa salam) ke koche mein saailoun ka peera hai Kitni khuld manzar hai raat bhi Madine ki Aik zara ujala hai aik zara andhera hai Tahiroun ki jurmat mein wo kalas ka nazara Shama ko pathangoun ne har taraf se geera hai Meri khush naseebi par rashq aye Rizwan ko Mustafa agar keh dei ye Ghulam mera hai Kabar mein farishtoun se jab Nabi ne farmaya Jaao is ko sohne do ye Ghulam mera hai Raat bhi Madine ki din se kam nahi Ajmal Shaam bhi Madine ki khushnama saweera hai  

Pul Say Utaaro Raah Ghuzar Ko Khabhar Na Ho

Pul Say Utaaro Raah Ghuzar Ko Khabhar Na Ho Jibreel Par Bichaaey To Par Ko Khabhar Na Ho Kaantaa Merey Jighar Sat Gham e Rozgaar Ko Yoon Kheench Leeyjiey Kay Jighar Ko Khabhar Na Ho Faryaad Ummatey Jo karay Haal e Zaar Mein Mumkin Nahin Kay Khair e Bashar Ko Khabhar Na Ho Kehtey They Yeh Buraaq Say Uskey Sabaq Raveey Yoon Jaiey Kay Ghard e Safar Ko Khabhar Na Ho Farmaatay Hein Yeh Dono Hein Sardaar e Do jahaa Ay Murtazaa! Ateeq o Umar Ko Khabhar Na Ho Aysa Ghumaa Day Un Key Vilaa Mein Khuda Humein Dhoondhaa Karay Par Apney Khabhar Ko Khabhar Na Ho Aa Dil! Haram Ko Roknay Waalon Say Chup kay Aaj Yoon Uth Chalay Kay Pehlo Wabar Ko Khabhar Na Ho Teer e Haram Hein Yeh Kaheen Rishta Bapaa Na Ho Yoon Daykhiyeh Kay Taarey Nazar Ko Khabhar Na Ho Ay Khaar e Taibah! Daykh Kay Daaman Na Bheekh Jaey Y...

Jannat Mein Lay Kar Jaey Ghi Chahat Rasool Ki

Jannat Mein lay kar jaey ghi Chahat Rasool (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki Chalta hoon mein be Qafelay walo ruko zara Milnay do bus mujhay be Ijazat Rasool ki Phochay Jo Din-o-Iman Nakerain Qabr mein Us waqt meray lab pay ho Midhat Rasool ki Tarpa kay un kay Qadmo mein mujh ko Gira day Shok Jis waqt ho lahad mein Ziyarat Rasool ki Sarkar nay bula kay Madina dikha dia Ho ghi mujhay naseeb Shafa’at Rasool ki Ya Rab dikha day Aaj ki Shab Jalwaey Habib Ik bar to Aata ho Ziyarat Rasool ki Damen mein un kay lay lo pannah Aaj munkiro Mahengi paray ghi warna Adawat Rasool ki To hai Ghulam Un ka Ubaid-e-Raza teray Mahshar mein ho ghi saath Himayat Rasool ki Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat ...

  • 1
  • 2