Rukh pe rahmat ka jhumar sajaa’ey Kamli waale ki mahfil saji hai Mujh ko mahsus youn ho raha hai Un ki mahfil main jalwha garii hai Naat husn-e-shah-e-do saraa hai Naat hi zikre rabb-e-jalli hai Naat likhna meri zindagi hai Naat kehna meri bandagi hai Mufliso tum agar chah’te ho Ho ziyaarat dar-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kii Dil ki janib nigaahein jhukaa lo Samne Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki galii hai Mujh jo fikr-e-shifaa’at ho kyoun kar Do kariimoon ka sayah hai sar par Ik taraf rahmat-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai Ik taraf lutf-e-Rab-e- ’Ula hai Wuh smaa kissa zishan ho ga Jab khuda Mustafâ se kahein ge Ab to sajde se sar ko uthaa lein Aap ki sarii ummat barii hai Dil ke gulshan ki mehkein fizaa’ein Wajd main hain Niyaazi ha...
Konain dey waali (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) da darbaar baraa sohna So Rab di Madinay da darbaar baraa sohna Duniya diya safara toh banda thak vi teh jaanda ey Par safar Madinay da har bar baraa sohna Sab rastey Madinay dey sanu jaan toh vaad pyaarey Jeraa roze nu jaanda’ey bazaar baraa sohna Mujhe Masjid-e-Nabawi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) di har cheez bari sohni Jeraa roze dey naal jure’a minaar baraa sohna Sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jeya sohna aya’e na awna ey Na Rab ney banaya ey na Rab ney banawna ey Ungli nu hutawndey ney pey chan nu hilawndey ney So Rab di’ey chan falki Aqa da khilonaey Sarkar jeya sohna aya’e na awna ey Konain dey waali da darbaar baraa sohna Sadiq, Umar, Usman, Haydar toh mey vaari jaa Meray sohn...
MUHAMMAD (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo ro ker duwa maangtay hain KHUDA say KHUDA jaane kya maangtay hain KHUDA jaanay kya shay, jiss ko KHUDA ko Wo sajday may sar ko jhuka maangtay hain Kabhi baith ker iltaja ker rahey hain Kabhi haath uunchay utha maangtay hain Ilaahi karam kar day Ummat pay Maire Wo kya aur iss kay siwa maangtay hain Yay wo der hay jiss der pay Khairaat aa ker Gada tou gada, Ambiyaa maangtay hain Yahaa milti hay deen-o-duniya ki raahat Issi der pay Shaah-o-gada maangtay hain Madinay main ay Nuur bulawaey Hazrat Dua hum yay subh-o-masa maangtay hain MUHAMMAD (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo ro ker duwa maangtay hain KHUDA say KHUDA jaane kya maangtay hain
jitna mere khuda ko hai mera Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aziz konain me kisi ko naho ga aziz kiyu jaye hum kahi ke ghani tum ne kar diya ab to ye dar pasand ye ghar ye gali aziz jo kuch teri riza hai khuda ki wahi khushi jo kuch teri kushi hai khuda ko wahi aziz khak-e-madina par Allah mout de wo murda dil hai jisko na ho zindagi aziz shan-e-karam ko ache bure se gharaz nahi use sabhi pasand hai use sabhi aziz mangta ka haat utha to Madina hi ki taraf tera hi dar pasand teri hi gali aziz konain de diye hai tere iqteyaar me Allah ko bhi kitni hai qatir teri aziz mahshar me do jaha ko khuda ki khushi ki chah mere huzoor ki hai khuda ko hai khushi aziz Quraan kha raha hai usi haat ki qasam hum kon hai khuda ko hai teri gali aziz Taiba ke hote khuld-e-bari kiya karu HASSAN mujh ...
jaldi ham aazmi-e-gulzar-e-madina honge aazmi-e-dargah-e-sarkar-e-madina honge ab to noorani chaman zaar-e-madina honge samne ab mere kohsar-e-madina honge sabz gumbad ki waha khub bahare hongi rubaru phir mere minar-e-madina honge wajd aajaiga khismat ko bhi us dam walla samne jab mere Sarkar-e-madina (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) honge unki rahmat se jo miljai baqi-e-markhad bil haqeeqat qabr me anwar-e-madina honge hashr ka qouf na rakho aae ghulam-e-nabi apne haami waha sarkar-e-madina honge unko haasil mere aqa ki shafaat hogi jo koi hazir-e-darbar-e-madina honge mere sarkar ka aaiga bulawa unko jo koi dil se talab gaar-e-madina honge hashar me jainge ATTAR yu inshallah apni darhi me saje haar-e-madina honge
Jo Shehr-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) may jaey ga Wo waapis kaisey aaey ga Jab bichray gaa mar jaey ga Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Dukhiyoo ka ghamkhaar wohi hay Aalam ka mukhtaar wohi hay Hay har aik baat kareenay may Aik dard rahey ga seenay may Hay jis ki jaan Madine may Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Ruumi Habshi, Misri shaami Ho jaawey Maula na jaa we koi khaaki hay ya nuuri hay kab us ko gawaara duuri hay Har aashiq ki majbuuri hay Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Sab ki aankein baras rahi hain Sab ki nazrein taras rahi hain Jo aap ka sag kehlaata hay Jo aap kay tukray khaata hay Jo dekh kay taiba ata hay Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna n...
Jagaa do meri qismat bhi khudara Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Dikhado mujh ko rozah ka nazarah Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Meri duniya sanwar jaey meri ‘uqba sadhar jaey Agar ho jaey Rahmat ka isharah Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tumahara naam-e-naami hai sukoon-e-qalb ka ba’is Nazar ka noor hai rozah tumhara Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Zamanah choot jaey ruth jaey khalq to kya gham Na choote haath sey daman tumharah Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Jabeen-e-showq mas hoti hai jab rowzah ki jaali sey Chamak jata hai qismat ka sitarah Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tamana-e-Sikandar hai dam-e-aakhar Shah-e-Bat-ha Rahey wird-e-zuban kalmah tumhara ...
Jab Masjid e Nabawi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay miinaar nazar aa-ay Allah ki rahmat kay aasaar nazar aa-ay Manzar ho bayaan kesay alfaaz nahiin miltay Jiss waqt Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka darbaar nazar aa-ay Bas yaad raha itna siinay say lagi jaali Phir yaad nahiin kya kya anwaar nazar aa-ay Dukh dard kay maaron ko gham yaad nahiin rehtay Jab saamnay aankhon kay gham-khuar nazar aa-ay Makkay ki fiza-on mayn teba ki hawa-on mayn Ham nay to jidhar daykha sarkaar nazar aa-ay Chhorr aaya zahoori meyn dil o jaan madinay mayn Ab jiina yahaan mujh ko dushwaar nazar aa-ay
Ik baar Madine mein, ho jaey mere jaana Phir aur na kuch maangein, sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka diwana Pal Pal mera dil tarpe, din raat kare zaaari kab aoun Madine? kab aey meri baari? kab ja ge main dekhoun ga, darbaar woh shahaana? Is aas par jiita houn, ik roz bulaey ge aur gunbad-e-khazra ka, didar karaein ge phir pesh karru gaa main, ashiqo bhara nazrana Ik baar Madine mein ho jaey mera jaana Bechain nighahon ko dedaar ‘ata kar do, Daman mera kuch owse yaa shah-e-ummam barh do Abad Khuda rakhe aaqa tera maikana Itni si tamana hai, ho jaey agar puuri jaane ko madina main, ho jaey jo manzuuri bin diide ki aey shaahan, mar jaey na diwana Ik baar Madina mein ho jaey mera jaana Phir aur na kuch maange, sarkaar ka diwaana
Ho gaey bazme jahan mey khwaar ham chahthay hai ik nazar Sarkar ham Ham buray hai ya balay jeysay bhi hai, aap key hai aey Shahe Abrar ham kasthi milath bhanwar main phans gaee, Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) uthray paar ham Ab tho qismath mey andheyrey reh gaey, roshni key thay kabhi minaar ham ley gaey kirdar ki dolath aduw, ab hai khaali saahibe gafthaar ham aasi-wo-khaathi sahi leykin Hazoor, Aap ki ulfath say hai sarshaar ham ab na khali haath lowtein Ya Nabi, ho gaey hain haazre darbaar ham Ho gaey bazme jahan mey khwaar ham chahthay hai ik nazar Sarkar ham
har dum ho mera vird Madina hi Madina bas yaad teri dil me rahe roz-o-shabina wo lamha wo din aur wo aajaye mahina phir kash tadapta huva pahunchu mai madina sina ho Madina mera sina so Madina ban jaye mera dil teri ulfat ka khazina aaye noo-e-khuda noor bhari dil pe nazar ho ho noor se pur noor ye be noor nagina Sarkar tamanna hai yuhi umr basar ho bas teri mohabbat me ho marna jina saqi muhje jaam aaisa mohabbat ka pilade utre na kabhi iska nasha aai sha-e-madina tum khak-e-madina mere lashe pe chidakna phir malna kafan par jo mile un ka pasina ATTAR talab gaar hai bas unke karam ka lillah karam jane karam bahre madina
Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte, jo yaad e Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se dil ko garmaya nehi karte ZabaN parr shikwae ranj o alam laya nehi karte, Nabi ke naam lewa gham se gabraya nehi karte yeh he darbaar Aqa ka yahaaN milta he bemange, are nadaN yahaan daman ko phelya nehi karte Yeh darbaar e Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hi Yahaan apno ka kya kehna, Yahaan se hath khali gher bhi jaya nehi karte Are o na samaj qurbaan hoja onke roze perr, yeh lamhe zindagi me baar baar aya nehi karte Muhammad Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki shaan e rehmet to zarah dekho, sittam sehte to hain lekin sittam daya nehi karte Muhammad Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke baagh keh sabh phool aise hain, Yeh bepaani ke tarr rehte ha...