Madinah

Mujh Ko Taiba Main Bula Lo

Mujh Ko Taiba Main Bula Lo Shah-E-Zamani Shah-E-Zamani Aka Maki Madani Dil Ki Hasrat Yeh Nikalo Shah-E-Zamani Nagar Nagar Aur Dagar Dagar Phirta Hoon Mara Mara Mujh Dukhiya Ka Is Duniya Main Koi Nahin Sahara Tumhi Senay Say Laga Lo Shah-E-Zamani Shah-E-Zamani Aqa Makki Madani Dil Ki Hasrat Yeh Nikalo Shah-E-Zamani Teri Ziarat Kay Hain Talib Kardo Duri Yeh Doori Humain Dikha Do Apna Jalwa Hasrat Ho Yeh Puri Chehra Noorani Dikhado Shah-E-Zamani Shah-E-Zamani Aka Maki Madani Dil Ki Hasrat Yeh Nikalo Shah-E-Zamani Rotay Rotay Omer Guzari Milan Ki Sham Na Aaee Kiya Mairay Aaka Aap Ko Mairee Ata Pasand Na Aaee Phir Kuoon Tum Nay Dair Lagaee Shah-E-Zamani Shah-E-Zamani Aqa Makki Madani Dil Ki Hasrat Yeh Nikalo Shah-E-Zamani Haryale Gunbat Ka Manzar Jannat Se Hai Pyara Kabay Ka Kaba Hai Roza Pyara...

Madine Ka Safar Hey

Madine Ka Safar Hey Aur Mey Namdeda Namdeda Jabeen Afsurda Afsurda Qadam Laghzeda Laghzeda Chala Hoon Eik Mujrim Ki Tarha Mey Janib E Taiba Nazar Sharminda Sharminda Badan Larzeda Larzeda Kise Key Hath Ney Mujh Ko Sahara Dey Diya Warna Kahan Mey Aur Kahan Ye Rasty Pechida Pechida Kahan Mey Aur Kahan Us Roza E Aqdas Ka Nazara Nazar Us Samat uthte hey Magar Duzdeda Duzdeda Ghulaman E Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Dour Sey Pehchany Jaty Hein Dil E Girweda Girweda Sare Shoreda Shoreda Madine Jaa Key Hum Samjhy Taqadus Kis Ko Kehty Hein Hawa Pakeeza Pakeeza Faza Sanjida Sanjida Basarat Khoo Gai Lekin Basirat To Salamat Hey Madina Hum Ney Dekha Hey Magar Nadeda Nadeda Wohi Iqbal jis Ko Naaz Tha Kal Khush Mezaji Par Firaq E Taiba Mey Rehta Hey Aab Ranjida Ranjida Madine Ka Safar ...

Tu Kuja Man Kuja

Tu (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ameer-E-Haram Main Fakir-E-Ajam Tere Gun Aur Ye Lab Mein Talab Hi Talab Tu Ata Hi Ata Main Khata Hi Khata Tu Kuja Man Kuja Tu Kuja Man Kuja Tu Hai Ahram-E-Anwar Bandhay Huay Main Duroodon Ki Dastar Bandhay Huay Kaba-E-Ishq Tu Main Tere Charsu Tu Asr Main Dua Tu Kuja Man Kuja Maira Har Saans To Khoon Nichorhay Maira Tairee Rehmat Magar Dil Na Toorhay Maira Kasa-E-Zaat Hoon Tere Khairaat Hoon Tu Sakhi Main Gada Tu Kuja Man Kuja Tu Haqeequat Hai Main Sirf Ihsaas Hoon Tu Samandar Main Bhatki Hui Pyas Hoon Maira Ghar Khaak Par Aur Teri Reh Guzar Sidratul Muntaha Tu Kuja Man Kuja Dagmaga Hoon Jo Halaat Kay Samnay Aayay Tera Tasawr Mujhay Thamnay Mairee Khush Kismati Main Tera Umati Tu Jaza Main Raza Tu Kuja Man Kuja Duriaan Saamnay Say Jo Hathnay Lageen J...

Ho karam Sarkar ab to ho gaey gham beshumaar

Ho karam Sarkar ab to ho gaey gham beshumaar jaan-o-dil thum par fida aey do jahan key taajdaar Mey akeyla aur maas’il zindagee key beshumaar Aap hi kuch kijiey na ey Shahey aali waqar yaad atha hey tawafe Khanaey Ka’ba mujhay aur lipatna multazam say waley khana bar bar sange aswad chuum kar milta mujhay keyf-o-saroor chayn patha deykh kar dil mustajab-o-mustajar ya Khuda dikhlahathi mey pak mizan woh maqam aur safa marwa mujhay behray Rasoole zi waqar ja raha hey kaafila Taiba nagar rotha huwa mey raha jatha hun thanha aey Habibey kirdgaar jald phir thum lo bula aur sabz ghumbad do dikha hazri ki aarzo ney kardiya phir beykaraar Choom kar khake Madinah jhoomtha phirtha tha mey yaad athay hey madinay kay mujhay leyl o nahar Ghumbaday Khazra key jalway aur woh iftariya yaad ath...

Ik Roze Ho Gaa Jaanaa Sarkar Ki Gali Main

Ik roze ho gaa jaanaa sarkar ki gali main, Ho ga khabi tikanaah sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ki gali main, Ankhein tu dekhne ko pehley hi muztarib theen, Dil bhi huwaa ruwanaa sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ki gali main, Go paas kuch nahi hai lekhan yaa dekh lay gaa, Ik din hamien zamaanah sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ke gali main, Kabhi ho haseen tasawar khabi khud main jaaoon chal kar, Rahe yuunhi aanaa jaanaa sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ke gali main, Hain kaheen khazaan ke pehray kaheen do gharhii bahaaray, Mosam sadaa suhana sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ke gali main, Dil main Nabi ki yaadien lab pe nabi ki na’tein, Jaanaa tu aese jaanaa sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ke gali main, Samjhein gey ham Niazii un ki karam nawaazi, Jis din huwey ra...

Ilahi Aarzoo Itni To Kam Se Kam Nikal Jaye

ilahi aarzoo itni to kam se kam nikal jaye Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki chokhat pe mera dum nikaljai ilahi is se badkar aarzoo-e-dil nahi koi Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)samne ho aur mera dum nikaljai dam-e-aaqir Rasul Allah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka didaar ho ya rab phir is ke baad chahe dum rahe ya dum nikaljai nazaa ki hichkiyo me bhi sada-e-mustafa nikle Muhammad, ya Muhammad, Muhammad, ya Muhammad, Muhammad, ya Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kahte kahte dam nikaljai tasawur me Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke qadmo me ye sar ho bas itne se hi waqfe me mera ye dam nikaljai.  

Ik Baar Madiney Jaawa Mey

Ik baar Madiney jaawa mey, feyr murkey kadee na awaan mey Lokee labdey phiran meynu galiya dey wich Kalee Kamlee thaley  chup jaawa mey Kar zikr Madiney waley da ey dey wich balaee teri ey Ik baar tu hoja sohna da Feyr saaree Khudaee teri ey Jittey meray Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) da deyra ey Othey reynda sada saweyra ey Wich qabr dey Aqa aakhan gey Eynu chad deyo ey tey meyra ey Lajpaal jida rakwaala ey O nu kaun mitaawan waala ey Sadi uss sohney nal lag gaey ey Jera toor nibawan walaa ey Manmohney Nabi Makki Madani Ham par bhi karam farma ja na Teray deed key pyasey beytey hai Meray Shaha pyaas bujaa ja na  

Zehre Saya Ae Ghumbad Raat Ka Basera Hai

Zehre saya ae Ghumbad raat ka basera hai Aur sunahri jali mein rohnama sawera hai Jab aja Madine mei hajioun ka dehra hai Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa salam) ke koche mein saailoun ka peera hai Kitni khuld manzar hai raat bhi Madine ki Aik zara ujala hai aik zara andhera hai Tahiroun ki jurmat mein wo kalas ka nazara Shama ko pathangoun ne har taraf se geera hai Meri khush naseebi par rashq aye Rizwan ko Mustafa agar keh dei ye Ghulam mera hai Kabar mein farishtoun se jab Nabi ne farmaya Jaao is ko sohne do ye Ghulam mera hai Raat bhi Madine ki din se kam nahi Ajmal Shaam bhi Madine ki khushnama saweera hai  

Main Bura Hoon Ya Bhala Hoon

Main Bura Hoon Ya Bhala Hoon, Meri Laaj Ko Nibhana Mujhe Janata Hain Aqaa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Terey Naam Se Zamana Ghameh Aashqee Se pehle Mujhe kaun janata Tha Teri Yaad Ne Banadee Meri Zindagee Fasana Mujhe iss ka gham naheen hai Kai badal gaya zamana Meri zindagee hain tumse kaheen tum badal na jaana Too manbaeh ataa hai ke pukaar utha zamana Too karam nawaziyaan keen ke kara ka kya thikana Chaukat pe aa gaya hoon sarkaar aaj sunn lo Meri dukh bhari kahanee mera dukh bhara fasana Terey naam se zahoori mujhe janatee hain dunya Terah ho gaya hoon jab se merah ho gaya zamana  

Aa Jaaye Bulawa Mujhe

Aa jaaye bulawa mujhe AQA Tere Dar se Jis Dar ki ghulaami ko to jibreel bhi tarse Paidal hi nikalte hain, masaafat ka nahin khauf Thakte hi nahin ham to Madine ke safar se Sunnat pe Teri chalne ka aa jaaye qareena Ye abr-e-karam kaash mere dasht pe barse Zarrah bhi lage gohar-o-almaas se badh kar Dekhe to koii khaak-e-arab meri nazar se Ek main hi nahin taalib-e-jalwa mere AQA! Har ek musalmaan Tere deed ko tarse Naamoos-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke liye jaan bhi doon ga Ho jaaun ga waaqif main shahaadat ke hunar se Dunya ke faqat chand hi lamhaat the guzre Ho aaye payambar mere sadiyaun ke safar se Jo shaam-o-sahar Salle Alaa kehta rahe ga Aaye ga bulawa usay AQA ke nagar se Kuch khauf nahin mujh ko kadee dhoop ka Amjad Saaya mujhe miltaa hai Risaalat ke shajar se &...

Ankhouen Mein Bas Geya Hai

Ankhouen mein bas geya hai Madina huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Be kas ka aasera hai Madina huzoor ka Phir ja rahe hai ahle Mohabbat ke qafle Phir yaad aa raha hai Madina huzoor ka Nabiyouen mein jaise afzal-o-A’ala hai mustafa Sherouen mein baadshah hai Madina huzoor ka Jab se qadam pare hai risalat ma’aab ke Jannat se bar geya hai Madina huzoor ka Har zara zara apni jagga ma’ahataab hai Kya jagma’ga raha hai Madina huzoor ka Qudsi bhi chumthe hai addab se yahan ki khaaq Qismat mein jhometha hai Madina huzoor ka Ho naaz kyoun na is ko Neyazi naseeb par Jis ko bhi mil geya hai Madina huzoor ka  

ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR

Madine ki Azmath Madine ke jalwe Madine ke charche Madine ka manzar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ki baatein Madine ki raatein Yahaan to rahte hain mere payambar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Jo hai saare aalam ke Sarwar Isliye hai Taiba kitna munnawar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Kitna hai pyara pyara Madina Ise Rab ne kitna sawara Madine ki azmath ke mai sadqe jawaan Isme rahte hai mere payambar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ka wo pyara manzar Waha ke phool aur wahaan ke kankar Wahaan ka farsh aur minar-e-anwar Aur waha ka Mihrab-o-Mimbar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Na koi zar hai Na koi par hai chala bhi jaata nahi hai mujh se Phir aa’un kaise tumhare Dar par ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Gumbade Khizra ke pyare nazare Wahaan ki galiyaan wahaan ke raste Wahaan ki diwarein wahaan ke jal...