Aa jaaye bulawa mujhe AQA Tere Dar se Jis Dar ki ghulaami ko to jibreel bhi tarse Paidal hi nikalte hain, masaafat ka nahin khauf Thakte hi nahin ham to Madine ke safar se Sunnat pe Teri chalne ka aa jaaye qareena Ye abr-e-karam kaash mere dasht pe barse Zarrah bhi lage gohar-o-almaas se badh kar Dekhe to koii khaak-e-arab meri nazar se Ek main hi nahin taalib-e-jalwa mere AQA! Har ek musalmaan Tere deed ko tarse Naamoos-e-Muhammad ke liye jaan bhi doon ga Ho jaaun ga waaqif main shahaadat ke hunar se Dunya ke faqat chand hi lamhaat the guzre Ho aaye payambar mere sadiyaun ke safar se Jo shaam-o-sahar Salle Alaa kehta rahe ga Aaye ga bulawa usay AQA ke nagar se Kuch khauf nahin mujh ko kadee dhoop ka Amjad Saaya mujhe miltaa hai Risaalat ke shajar se
Gali hondi Madine di Turran da taan mazaa awnda Je baagh honde kajjhian de Phirran da taan mazaa awnda Eh seena Jaali naal honda Sabz Gumbad di chaan hondi Assan muddatan de sarreyaan noon Tharran da taan mazaa awnda Kadi je deed mil jawndi Ohde mazaagh Nainaan di Main dubda roz chup kar ke Tarran da taan mazaa awnda Eh kund walail Zulfa da Hatta chadde je Mukhre ton Deedar-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) yaaro Karann da taan mazza awnda Gali hondi Madine di Turran da taan mazaa awnda Je baagh honde kajjhian de Phirran da taan mazaa awnda
Firaaq-e-Madinah mein dil ghamzada hai, Jigar tukray tukray hua ja raha hai. Chura kar Madinah mera chain cheena, Bata nafs-e-zalim tujhe kia mila hai. Meri aankh se cheena taiba ka manzar, Yeh kis baat ka tu ne badla lia hai. Sikhaya hai phir yeh muqaddar ne mujh ko, Na shikwa kisi se na koi gila hai. Rahoon bus isi ghum mein bay chain sarwar, Muqaddar ne jo daagh-e-furqat dia hai. Muqaddar se jis ja rahoon per shaha ho, Nazar mein Madinah meri iltija hai. Mere dil kay armaan rahe dil hi dil mein, Yehi ghum mere dil ko tarpa raha hai. Sukoon tha mujhe Koocha-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mein, Watan mein mera sub sukoon lut gaya hai. Na dunya ki fikrain na ghum tha wahan per, Yahan aa kar dil aafaton mein phansa hai. Na chootay mere haath se un ka daaman, Jiyun jab talak...
Eik ajab lutf is tarah jeene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Maut aaye dihaar-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mein mujhe Bas yehi eik armaan seene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Eik ajab lutf is tarah jeene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Jis se sharmaaye khushboo-e-baagh-e-janna Woh mehek rooh-e-parwar paseene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Eik ajab lutf is tarah jeene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Chahta hoon jo Naazir madawa-e-gham Woh Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki mubarak kareemi mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Eik ajab lutf is tarah jeene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai
Dil Yaar da nazraana, Le Yaar de kol aaye Mere Yaar di marzi eh, Gall laawe ya thukraawe Naal apne urra le jaa, Mere athroo hawaae ni, Mahboob noo rowaan gi, Sanu hor na tarhpaawe, Jannat di nahi khwahish, Mere mola eh tamanna eh, Sarkaar de qadman vich, Meri jaan nikal jaawe, Kaun enna noon samjhaawe, Kehn apne jeya ohnu, Jiddi kaaliyan Zulfaan di, Rabb Aap kasaam khaawe, Raah Yaar da takna eh, Fir aes rah to na hattna eh, Mahboob di marzi eh, Oh aawe ya na aawe, Jannat vich mazaa aawe, Sarkaar je farmaawan, Le aao Zahoori noon, Aethe naat suna jaawe, Dil Yaar da nazraana, Le Yaar de kol aaye Mere Yaar di marzi eh, Gall laawe ya thukraawe
Dare nabi par para rahoon ga, parre hi rehne se kaam hoga Kabhi to qismat khule gi meri, kabhi to mera salam hoga Khilafe maashooq kuch huwa hai, na koi aashiq se kaam hoga Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil, jidhar woh aali maqam hoga Kiye hi jaoon ga arz matlab, milega jab tak na dil ka matlab Na shaam e matlab ki subha hogi, na yeh fasana tamam hoga Jo dil se hai ma’il-e-payambar, yeh is ki pehchan hai muqarrar Ke har dam is be nawa ke lab par, durood hoga salam hoga Isi tawaqqo pe ji raha hoon, yehi tamanna jila rahi hai Nigahe lutfo karam na hogi, to mujh ko jeena haram hoga Dare nabi par para rahoon ga, parre hi rehne se kaam hoga Kabhi to qismat khule gi meri, kabhi to mera salam hoga
Dard e Dil Chahiye Chashm e Tar Chahiye Mujh Ko Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ki Pyaari Nazar Chaahiye Hai Munawwar Ziya Sey Yeh Saara Jahan Sab Key Dil Ki Haqeeqat Hai Unpar ‘Ayaan Merey Dil Ki Tamanna Hai Jaan e Jahan Noor Ki Eyk Kiran Ab Idhar Chaahiye Sarwarey Do Jahan Ka Hai Behad Karam Zaatey Waala Sey Qaayim Hai Mera Bharam Mujh Ko Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Dikhaatey Ho Apna Haram Aap Ki Deed Ko Chashm e Tar Chaahiye Khud Khudaa Ney Banaaya Hai Tum Ko Habeeb Aur Uss Ney Banaaya Hai Tum Ko Tabeeb Marz e ‘Isyaan Sey Ab To Shifa Ho Naseeb Sunnaton Par ‘Amal ‘Umr Bhar Chaahiye Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Mujh Pey Ho Eyk Karam Ki Nazar Baar e ‘Isyaan Sey Ab To Jhuki Hai Kamar Koi Husn e ‘Amal To Nahin Hai Magar Mujh Ko Bakhshish Ka Zaad e S...
– Oh Shehr Madina jad main takeya Mere thand pai gayi vich sinay Othay main reh ke aa gaya Saadiq Akhan reh giyan shehar Madinay – Aaqa meriyan akhiyan madine wich reh gayan Muk gaya visa tay judaiyan phir pai gaiyan Tusan te menoon dar te sadeya, Wele Mainu shehroon kadiya Tere dar diyan sohniyan yaadan, Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mera saath na chadeya Nit diyan sochan hun, jind meri legaiyan Aabe Zamzam peende reyan, do din sukh naal jeende reyan Tere ghar di chaukat de assi, mangte roz sadende reyan Mangiyan muraadan si jo, chauli meri pai gaiyan Phir main wekhan roza tera, soh rab di dil karda mera Je kidre manzoori howe, laalaan othe pakka dera Lakhan majburiyan ne, rawan wich pai gaiyan Aaqa teri shaan nu wekhan, chuk de kul jahaan nu wekhan Jere tere kol ...
Aap ke Darbar se khali gaya koi nahi Hain sakhi lakhon yahaan par Aap (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) sa koi nahin Aap ke dohar mein dono jahaan ki nematein Aap ke lutf-o-karam ki intihaa koi nahin Jab liya Naam-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mushkilein hall ho gayin Kaun kehta hai ke Tere Naam ka assar nahin Aye Darbar Dar-e-Yaar-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aasiyo Aitaraf-e-jurm karlo to sazzaa koi nahin Aap ke hote hue main kyun musibat mein rahon Kya kaheinge log ke mushkil kusha koi nahin Kaun buje aye Niyazi dard-e-dil ka majira Hub-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai humara aasraa koi nahin Aap ke Darbar se khali gaya koi nahi Hain sakhi lakhon yahaan par Aap sa koi nahin
Bohot din hoo gaye, Taiba ke raste dekh to Aayein Chalo uss Shehr ko ik baar phir se dekh to Aayein Uttar jaayegi mehroomi ki chaadar Shehr-e-Taiba mein Chamak utheinge qismat ke sitaare dekh to Aayein Judaai ke dhuleinge naqsh gehre dil ki takhti se Charhega rang qurbat wo, nazaare dekh to Aayein Ussi din aarzuon ke khandar mein roshni hogi Dar-e-Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke roshan ujaale dekh to Aayein Huzoori ki wo pehli pehli saa’at khoob rulaati hai Nigaahon ko ussi dar ki tallab hai dekh to Aayein Haseen palkhon ka chilmann kholeinge jaa kar Madine mein Sadaa aankhon mein rakheinge wo jalwe dekh to Aayein Mehekti khushbooein khud hi pataa uss Shehr ka deingi Ujaagar utho himmat karlo chalke dekh to Aayein Bohot din hoo gaye, Taiba ke raste dekh to Aayein Chalo uss...
Hum bhi aye kaash Madine mein bulaaye jaate Shah-e-Konain (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke mehmaan banaaye jaate Zindgaani ko bhi jeene ka saleeqa aata Raat bhar Unki huzoori mein jagaaye jaate Wajd mein hoke bhi eik hosh ki dunya hoti Parde aankhon se meri itne hattaaye jaate Aapke (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) qurb ki khushbu ki sa’adat ka nasha Dekhte Roza-e-Purnoor ko aate jaate Eik jharri ansuon ki nazr-e-aqeedat karte Daagh-e-isyaan bhi issi tarha mittaaye jaate Martaba apna bhi shahon se zyada hota Unki dehleez pe jab Shaad bithaaye jaate. Hum bhi aye kaash Madine mein bulaaye jaate Shah-e-Konain (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke mehmaan banaaye jaate
Zarrey jharr kar tere payzaron ke Taaj-e-Sar bante hain Saiyaaron ke Hum se chorron pe jo farmayein karam Khil’ate zar bane pushtaaron ke Mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka woh dar hai jis par Maathe ghiss jaate hain Sardaaron ke Mere ‘Isaa tere sadqe jaoon Tor be-tor hain bimaron ke Tere abru ke tassaduq pyare Band qurrey hain gariftaaron ke Jaan-o-dil tere qadam par waare Kya naseebe hain tere yaaron ke Siddique ki sadaqat -Zindabad! Farooq ki adalat – Zindabad! Uthmaan ki sakhawat – Zindabad! Haidar ki shujahat – Zindabad! Siddq-o-Adl-o-karam-o-himmat mein Char su shohrrey hain in chaaron ke Tere tasleem-e-‘Ali maidaan mein Sar jhukkey rehte hain talwaaron ke Kaise Aqaaon ka banda hoon Raza Bol baale meri Sarkaron ke Zarrey jharr kar t...