Khaak-e-Madinah hoti, main khaak saar hota. Khaak-e-Madinah hoti, main khaak saar hota. Aaqa aggar karam se Taiba mujhe bulaate, Roze par sadqe hota, Unn par nisaar hota. Mar mitt ke khoob lagti mitti meri thikaane. Gar Unn ki rahguzzar par, mera mizaar hota. Bechayn dil ko ab tak samjha bujha ke rakha. Baad iske ab to Aaqa nahin intezaar hota. Woh bekasson ke Aaqa, bekass ko ghar bulaate. Kyun sab ki thokarron par, parrh kar khwaar hota. Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ab to bulwa lo, mujh se mujrim ko bhi paas Apne. Main khud ko waar deta, bas khaak saar hota. Taiba main gar muyassar, do gazz zameen hoti. Unn ke qareeb basta, dil ko karaar hota. Aaqa ke qadmon mein gar, do gazz zameen hoti. Unn ke qareeb basta, dil ko sukoon hota. Khaak-e-Madinah hoti, main khaak saar hota. Kh...
Shehr-e-Taiba ke chaman ki har kalli ki khayr ho. Mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke Madine ki galli ki khayr ho. Su-e-Taiba jaa rahe hain kafile ushaaq ke. Har gadda-e-Mustafa ki hazri ki khayr ho. Maangte hain khayr aksar log apne waste. Mustafa ke labb pe hai, har ummati ki khayr ho. Aap ke Siddique ka rutba rahe baala sadda. Aap ke Shabbir o Shabbar, aur ‘Ali ki khayr ho. Jab Bilal-e-basefa ko kafiron ne di saza. Ishq bola tere ashiq ki ashiqi ki khayr ho Aap ko pohncha diya jab ghaar mein Siddique ne. Khud Khuda bola tumhari dosti ki khayr ho. Karbala mein haqq ada tune kiya islaam ka. Aaye ‘Ali ke Laal teri bandagi ki khayr ho. Likh rahe hain jo sana-e-Mustafa, Nasir sadda. Aise saare shayaron ki shayari ki khayr ho. Shehr-e-taiba ke chaman ki har kalli ki...
Na baharein na hi gulzaar nazar aate hain Jiss taraf dekh lo Sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) nazar aate hain Aaj bik jaun, ke yeh mauka na ayega kabhi Aaj woh khud hi kharidaar nazar aate hain Aise lagta hai mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) challe aate hain Raqs karte dar-o-deewar nazar aate hain Ankh se ansoo nahi, sajde gira karte hain Jab tere Gumbad-o-Minaar nazar aate hain Jis ki qismat mein ho Taiba ki galli ke phere Woh na jannat ke tallabgaar nazar aate hain Aise lagta hai mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) challe aate hain Wajd karte dar-o-deewar nazar aate hain Qadmon ka kaam hai yeh dagmaagate hain Dil to gir jaayein jahaan wahin parre rehte hain Unke aane ki gharri hai woh hain aane waale Mere Sarkar ki mehfil ko hum saajaye hue hain Mai...
Allah kare ke ho jaaye guzar Taiba ki galliyon se. Main saari zindagi kar doon bassar Taiba ki galliyon mein. Hua jo Aamina Bi ki goad mein Tera zahoor Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Khud Jibriel ne yeh di khabbar Taiba ki galliyon mein. Jo dekha Gumbad-e-khadra ke saaye mein kharre ho kar. Jamaal-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aaya nazar Taiba ki galliyon mein. Tere Darbaar ka darba banoo main bhi kabhi Aaqa. Mere Dilbar mujhe bhi ho fakhar Taiba ki galliyon mein. Hawaaein rehmaton ki wahaan subho o shaam chalti hain. Barasta noor hai sham o sahar Taiba ki galliyon mein. Tere dar ke galli kooche jo palkhon par uthaoon main. Meri saari guzar jaaye ummar Taiba ki galliyon mein. Jo tukre ho gaya tha mere Aaqa ke ishaare par. najdi tum ne nahi dekha qamar Taiba ki...
Har taraf anwar ki barsat hai, Mehfil-e-Sarkaar ki kya baat hai. Raat jo guzri Nabi kay zikr mein, Din se behtar woh hamari raat hai. Kyun mein mangoon jab mere kashkol mein, Naqsh-e-Naal-e-Paak ki khairaat hai. Kyun pareshan hoon mein uqhba key liye, Shafa-e-Rauz-e-Jaza woh Zaat hai. Wali-e-kaun-o-makaan kay zikr say, Wajd mein yeh sari kainaat hai. Yoon to gumbad hai jahaan mein har jagah, Gumbad-e-Khazra teri kya baat hai. Nausha-e-Bazm-e-Jina kay waaste, Anbiya ki saf ba saf baraat hai. Kis tarha likhoon main midhat Aap ki, Jab madha khawan khud Khuda ki zaat hai. Kis qadar Rehaan khush qismat hai tu, Teri bakhshish ka waseela Naat hai. Har taraf anwaar ki barsaat hai, Mehfil-e-Sarkar ki kya baat hai.
Main to khud Unke Dar ka gadda hoon, Apne Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko main nazar kya doon Ab to aankhon mein bhi kuch nahin hai, Warna qadmon mein aankhein bicha doon Aane waali hai Unki tareekh, Phool naaton ke ghar ghar saajja doon, Mere ghar mein andhera bohot hai, Apni palkon pe shamma jala doon Rauza-e-pak peshe nazar hai, Saamne mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Dar hai, Mujhko kya kuchh nazar aa raha hai, Tumko lafzon mein kaise bata doon Mere aansu bahut qeemti hain, Inse waabasta hai unki yaadein, Inki manzil hai Khak-e-Madinah, Ye gauhar yun hi kaise lutta doon Main faqat Aap ko jaanta hoon, Aur Ussi Dar ko pehchanta hoon, Is andhere mein kisko pukaroon, Aap farmayein kisko sadda doon Qaafilay jaa rahe hain Madine, Aur hasrat se main tak raha ho...
Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Nabiyyina, Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Nabiyyina, Ya Shahe Madina, Ya Shah-e-Madina Teri judai mein pal pal jalta hai yeh seena, Muhammada, Muhammada, Muhammada, Muhammada, (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tez bohat hai dhaara, Mera koun sahaara, Kar do ek ishaara, Toofan banne kinaara Tere hawale hai Aaqa, yeh mera safeena. Muhammada, Muhammada, Muhammada, Muhammada, (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Waqt-e-naza jab aa jaaye, Mujh pe karam yeh ho jaaye, Aal-e-Aba ke ho saaye, Naam Tera lab pe jab aaye, Mohsin ko ho jaaye ata, bas Khaak-e-Madina. Muhammada, Muhammada, Muhammada, Muhammada, (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Yeh betaab nigaahein, Har damm ashq bahaaye, Dil deta hai sadaaye, Qadmon mein bulaaye, Ga...
Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka khuda aur khud mustafa. Kyun kahun mera koi sahara nahi. Unke dar ka gada aur mayoos ho, mere sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko yeh gawara nahi. Main Madine se lekin bohat door hoon, yeh khalish mere dil ko gawara nahi. Mustafa ka khuda aur khud Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kyun kahun mera koi sahara nahi. Aap ka ishq hai ishq-e-Rabb-ul-‘ula, aap ka zikr hai khaas zikr-e-Khuda. Khud Khuda ka yeh qur’an mein elaan hai, jo Tumhara nahi woh hamara nahi. Mustafa ka khuda aur khud Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kyun kahun mera koi sahara nahi. Wohi Roze pe bulwaenge eik din, sabz Gumbad bhi dikhlaenge eik din. Apne Roze pe bulwaenge eik din. Ae sikandar zara sabr se kaam le. Unke dar ka ga...
Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se jab tumhara silsila mil jayega Khud ba khud aye dhoonde wale Khuda mil jayega Kya bataoon Unke darr pe jaa ke kya mil jayega Jo tallab hogi, tallab se bhi siwa mil jayega Unke sadqe main Khuda se maang kar dekhe koi Mudda’i ke lab hilenge mudda’a mil jayega Gham nahi gumm ho bhi jayein, rahe firdous-e-bari Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka naam loonga, raasta mil jayega Naam Unka waqt-e-muskhil le ke dekho to zara Na-umeedi mein bhi dil ko aasra mil jayega Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se jab tumhara silsila mil jayega Khud ba khud aye dhoonde wale Khuda mil jayega
Tala’al-Badru ‘alayna, min thaniyyatil-Wada’ wajaba al-shukru ‘alayna, ma da’a li Llahi da’ O the White Moon rose over us From the Valley of Wada’ And we owe it to show gratefulness Where the call is to Allah Ayyuha al-mab’uthu fina ji’ta bi-al-amri al-muta’ Ji’ta sharrafta al-Madinah marhaban ya khayra da’ O you who were raised amongst us coming with a work to be obeyed You have brought to this city nobleness Welcome! best call to God’s way Tala’al-Badru ‘alayna, min thaniyyatil-Wada’ wajaba al-shukru ‘alayna, ma da’a lillahi da
Ya Rabb Meri Soi Huyi Taqdeer Jaga Day Aankhein Mujhay Di Hain To Madina Bhi Dikha De. Sun Nay Ki Jo Quwat Mujhe Bakhshi Hai Khuda Wand Phir Masjid E Nabawi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ki Azanein Bhi Suna De. Huroon Ki Na Ghulman Ki Na Jannat Ki Talab Hai Madfan Mera Sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ki Basti Main Bana De. Mudat Say Mein Inn Hathoon Say Karta Hoon Duaein In Hathon Main Ab Jali Sunehri Bhi Thama De. Moun Hasher Mein Mujhko Na Chupana Parhay Ya Rab Mujh Ko Teray Mehboob Ki Chadar Mein Chupa De. Ishrat Ko Bhi Ab Khushbu E Hassan Aata Kar Jo Lafz Kahay Hein Unhein To Tu Naat Bana De. Ya Rabb Meri Soi Hui Taqdeer Jaga De Ankhein Mujhe Di Hein To Madina Bhi Dikha De
Ban jaan toon vi. ban jaa tuun vi yaar madine waaley da je karna deedare madine waaley (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) da kade nai ja sakhda o wich jahannam de jide dil wich pyaare Madine waaley (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) da oona da muur dil naai lagda kidhre wii takaja jinnah darbare Madine waaley (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) da Allah kare main mur wi ja ke weekh lawaan Oo noori darbaare Madine waaley (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) da Tere saare roog gawawe qa mola Naam te le ik waare Madine wale (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) da Peere faqeer ameer wazeer shehansha wi Sadka kande yaar Madine waaley (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) da Tere haj namaaz zakaataan kis kaari Dil wich nai je pyaare Madine waleey (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ...