Milad

Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga

Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga Mehboobe Khuda Ke Jalwon Se, Iman Ki Ankhen Raushan Hain Bin Dekhey Hi Jab Yeh Alam Hai, Didar Ka Alam Kya Hoga Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga Jab Unke Gada Bhar Detey Hain, Shahane Zamana Ki Jholi Mohtaj Ki Jab Yeh Halat Hai, Mukhtar Ka Alam Kya Hoga Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga Hai Naam Mein Unka Itna Asar, Ji Uthte Hai Murdey Bhi Sun Kar Woh Haal Agar Khud Puchein To, Bimar Ka Alam Kya Hoga Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam ...

Namey Muhammad Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila

Namey Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala Jin Ko Unka Qurb Mila Hai, Ban Gaye Hadi-o-raah Numa Sab Par Unki Chashme Karam Hai, Wah Re Shaane Judo Sakha Namey Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala Dekh Ke Apni Farze Amal Ko, Aasi Jab Sharmaen Gey Ummat Se Kuch Pyar Hai Aisa, Khud Woh Karam Farmaen Gey Namey Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala Un Par Apna Tan Man Warun, Warun Husne Kouno Makaa’n Haasil Unke Sadqey Mein Hai, Izzat-o-azmat Naam-o-nishan Namey Muhammad (salla Llahu ‘a...

Namey Muhammad Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai

Namey Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta Hai Yade Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ka Gulshan Mehka, Mehka Lagta Hai Mehfil Mein Maujud Hain Aqa Aisa Lagta Hai Namey Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta Hai Lab Par Naghmey Salley Ala Ke Hathon Mein Kashkol Dekho To Sarkar Ka Mangta Kaisa Lagta Hai Namey Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta Hai Ghauso, Qutb, Abdaal, Qalandar, Sab Unke Mohtaj Mera Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Sab Waliyon Ka Aqa Lagta Hai Namey Muhammad Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta H...

Muhammad Mustafa Salley Ala Ki Aaj Mehfil Hai

Muhammad Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Salley Ala Ki Aaj Mehfil Hai Habibe Kibriya, Salley Ala Ki Aaj Mehfil Hai Parho Salley Ala, Salley Ala, Salley Ala, Har Dam Ke Mehboobe Khuda, Salley Ala, Ki Aaj Mehfil Hai Muhammad Mustafa Wuzu Se Aaein, Bethein, Ba Adab, Bhejein Durood Unpar Jahan Ke Rehnuma Salley Ala Ki Aaj Mehfil Hai Muhammad Mustafa Farishtey Alamey Bala Se Sun, Sun Kar Yeh Kehte Hain Chalo Noore Khuda, Salley Ala, Ki Aaj Mehfil Hai Muhammad Mustafa Huey Hai Jis Ke Faizey Noor Se Donon Jahan Raushan Usi Shamsud Doha, Salley Ala, Ki Aaj Mehfil Hai Muhammad Mustafa Nikala Jis Ne Chashmah Aab Ka Ungli Se Jangal Mein Usi Behre Sakha, Salley Ala Ki Aaj Mehfil Hai Muhammad Mustafa Duaein Mangley Jo Mangni Hon Haqq Se, Aey Akbar Tere Mushkil Kusha, Salley Ala Ki Aaj Meh...

Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain

Mehboob (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Woh Log Khuda Shahid, Qismat Ke Sikandar Hain Jo Sarware Alam (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)Ka, Milad Manate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Aqa Ki Sanah Khwani, Dar Asl Ibadat Hai Hum Naat Ki Surat Mein, Qur’an Sunate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Jin Ka Bhari Duniya Mein, Koi Bhi Nahin Wali Unko Bhi Mere Aqa, Sine Se Lagate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Jo Sarware Alam Ko, Lajpal Samajhte Hain Daman Talab Bhar Kar, Mehfil Se Woh Jate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain...

Qareeb-E-Mustafa He Koii Koii

Qareeb e Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai koii koii Mazay yay luutt-ta he koii koii Bashar samjha unhayn laakhon nay laykin Haqeeqat e aashna he koii koii Ghaneemat jaan jitni bhi mili he Kay mekhaana khula he koii koii Madinay pohnchtay hain yuun to laakhon Par, madina dekhta he koii koii Tayray rozay ki Noori jaaliyon ko Nazar say choomta hai koi koi  

Pekar E Dilruba Ban Kay Aaya

Pekar e dilruba ban kay aaya, ruh e arzo sama ban kay aaya Sab rasul e khuda ban kay aa-ay, wo habeeb e khuda ban kay aaya Hazrat e Amina (radi Allahu ‘anha) ka dulaara, wo Haleema (radi Allahu ‘anha) ki aankhon ka taara Wo shikasta dilon ka sahaara, bay kason ki dua ban kay aaya Dast e qudrat nay esa sajaya, husn e takhleeq ko rashk aaya Jiss ka paya kisi nay na paya, wo khuda ki raza ban kay aaya Taajdaaron nay di he salami, baadshahon nay ki he ghulaami Bay misaal uss ka ism e giraami, Mujtaba Mustafa ban kay aaya Wo Nabi rahmat e aalameen hai, jo bhi unkay zair e nagiin hai Esa ghamkhuar daykha nahiin he, jesa kherulwara ban kay aaya He zahoori barri shan unki, madah karta he quraan unki Naat parrta he hassaan unki, jo mayra rahnuma ban kay aaya  

Pukaro ya RasululLlah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)

Tum bhi kar key Unka charcha, apney dil chamkaaow Uchay mey ucha Nabi ka jhanda Azmat wala Nabi ka jhanda Ghar ghar mey lehraaow Pukaro! Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Ya Habeeballah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Subho Tayba mey huwi bat-tha hai bara noor ka Sadqah leyney Noor ka aya hai tara Noor ka Barawi key chaand ka mujra hai sajda noor ka Bara bur jo sey juka ik ik sitara noor ka Tum bhi kar key Unka charcha, apney dil chamkaaow Uchay mey ucha Nabi ka jhanda Azmat wala Nabi ka jhanda Ghar ghar mey lehraaow Pukaro! Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Ya Habeeballah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Baaghey Tayba mey suhana phool phoola Noor ka Mast bu hai bulbulay parthi hai kalma Noor ka Taaj waley deykh kar Teya imama Noor ka Sar jh...

Ne’amatein Baant Ta Jis Simt Woh Zeeshaan Gaya

Ne’amatein baant ta jis simt woh zeeshaan gaya Saath hi munshiaey rehmat ka qalam daan gaya Le khabar jald ke ghairon ki taraf dhiyaan gaya Mere Maula mere Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) tere qurbaan gaya Aah woh aankh ke nakaame tamanna hi rahi Hai woh dil jo tere dar se pur arman gaya Dil hai woh dil jo teri yaad se ma’moor raha Sar he woh sar jo tere Qadmon pe qurbaan gaya Unhein jana unhein mana na rakhha ghair se kaam Lillah Al Hamd mai duniya se Musalmaan gaya Aur tum par mere Aqa ki Inayat na sahi Najdiyo! Kalmah padhane ka bhi ehsaan gaya Aaj le unki Panah aaj madad maang unse Phir na maanege Qayamat mein agar maan gaya Uff ray munkar yeh badha joshe ta’assub akhir Bheed me haath se kam bakht ke Imaan gaya Jaano dil hosh wa khirad sab to Madine pahonche Tum nahi ch...

Lagiyan Ne Mojan Hon Laayi Rakh Soniya

Lagiyan Ne Mojan Honr Laayi Rakh Soniya Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) De Gulaman Da Main Adna Ghulam Aan Loki Kehnde Khas main Te Amaan Tu Wii Aam Aaan Parda je Paaya Hai Te Paayi Rakhin Soniyan Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya Lagiyan Ne Mojan Honr Laayi Rakh Soniya Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya Kisse No Main Apna Dukhra Sunaya Nayi Tere Baajon Kisse Meno Seene Naal Laaya Nayi Seene Naal Laaya Aey Te Laaye Rakhin Sonya Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya Lagiyan Ne Mojan Honr Laayi Rakh Soniya Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya Hashr Dihare Jaddon Amlan To Tolran Sharm de Maare Main Te Kujh Nayi Bolna Kamli Wich Apni Chupayi Rakhin Soniya Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soni...

Mustafa Aa Gaey Mustafa Aa Gaey

Chaar su Rahmatoon ke ujaale huwey Bazm-e-kowneyn ke peyshwaa aa gaey Zaraey aflaak se baatein karney lagey Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aa gaey Mustafa aa gaey Gham ke maarey huwey muskaraaney lagey Zulmatoon ke makeen jagmagaane lagey Be kasoon ke muqaddar thekaaney lagey Sab ke muhsin habeeb-e-Khuda (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aa gaey Hazrat-e-Musa jin ko taraste rahey Ibn-e-Maryam bhi jin ki khabar dey gaey Pehley aaey huwey jin ke peechay kharhey Aaj woh khaatim-ul-anmbiya (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aa gaey Be zabaanon ko tarz-e-sadaa bakhsh di Fani insaaniyat ko baqaa bakhsh di Dushman-e-jaan ki har ik khata bakhsh di Ban key Rehmat Shafi-ul-waraa aa gaey Shab gazeedah ko nur-e-sahar de diya Kor-e-deedah ko zowq-e-nazar de diya Be nawa ko dua ka ...

Kamli Wala Kamli Wala

Kamli wala, kamli wala, kamli wala,kamli wala Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kamli orne wala, Apne kamli mein chupale Wo hai badshah-e jahaan, Jameel-o-jaleel wo aisa, dur karde har ek gum ko, wo hain data aisa, mere Aqa, mere aqa, Kamli wala, kamli wala Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kamli orne wala, Apne kamli mein chupale Arzoo hain wo, tamannah hai wo, ilahi ki haseen roshni hai wo, zindagi hai wo, bandagi hai wo, mere Aqa, mere aqa, Kamli wala, kamli wala Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)kamli orne wala, Apne kamli mein chupale Muzammil usi ka naam, Mudassir usi ka naam, hazir-o-Nazir wahi hain, zahir wahi hain, batin wahi, mere Aqa, mere aqa, Kamli wala, kamli wala Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kamli orne wala, Apne kamli mein...