Tum se kya mangoun main Tum khud hi samajh lo, Mawla Mawla, mawla, mawla, mere mawla Mawla, mawla, mawla, mere mawla darare darare mathe pe mawla maramat muqadar ki kar do mere mawla Tere dar jhuka houn, mita houn bala houn maramat muqadar ki kar do mawla maramat muqadar ki kar do mawla jo bhi tere dar aya jhukne apne sar ko woh surur mein sab ko jhumta nazar aya pyaas le ke aya tha, darya ho bhar laya Noor ki barish mein bheegta aya Mawla, mawla, mawla, mere mawla Mawla, mawla, mawla, mere mawla darare darare mathe pe Mawla maramat muqadar ki kar do mere mawla Sar utha ke maine to kitni khawahish ki thin kitne khaab dekhe the, kitni koshishein ki thin Jab Tu rubaru aya, nazrein na mila paya sajdah aik pal mein maine kya nahi paya Mawla, mawla, mawla, mere mawla Mawla, mawla, mawla, mere m...
jo Nabi par nisaar hota hai woh barra purmkaar hota hai jo musalsal darood parhta hai usko bhi rab se pyaar hota hai miraaj ki shab hai noorani mehboob se hai milne ki gharri mujhe yaad aate hain Nabi Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jibril se maula ne yeh kaha tum jao Madine abhi abhi mujhe yaad aate hain Nabi Nabi buraq bahisht se le jao mehboob ko mere le ao mujhe yaad aate hain Nabi Nabi Jibril se rab ne farmaya khushboo se hawaein tar kar do hai arsh pe dekho dhoom machi mujhe yaad aate hain Nabi Nabi jab soorah e taha ki koi quran mein tilawat karta hai azaad mera dil ro ro kar tanhai mein aahein bharta hai mujhe yaad aate hain Nabi Nabi sahil ne safi ko pohncha di aur arsh ke zeene pohncha di bas itni tamanna hai tujh se Allah Madine pohncha de mujhe yaad aate hain Nabi Na...
kiya majal kisi ki jo sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki barabari kare ungli se ishara karde chand ke tukde ho jai. sarkar ke akhlaq ki quran jo taarif kare pyare Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke akhlaq se kafer bhi musalma ho jai mere Aqa muqtar hai majboor nahi pyare mangta aya jo wo sultan ho jai sarkar namaz me kabe ki samt rukh kare sahaba kahte the jo sarkar kare wo ho jai namaz-e-asr ali (radi Allahu ‘anhu) qaza nahi ada kare sarkar ishara karde duba hua suraj wapis ho jaey ho nazre inayat hum asiyo par sarkar mere taake hamari qismat ke sab gardishe dur ho jai sarkar JABER pe ho jai karam ki nazre Madine mein iska lasha dafn ho jai
Dee Hazrath e Bilal ne Kabe se jab sada Hayya ‘ala s-Salah, hayya ‘ala l-Falah Irshade Kibriya hai yeh Farmane Mustafa Hayya ‘ala s-Salah, hayya ‘ala l-Falah Paida huwe Rasool to Rehmat baras padhi Thi Arsh se zameen talak Noor ki jhadi Daee Haleema Goud me lekar jo chal padhi Beeamar oonthni me ajab jaan padh gayee Baade saba ne jhoom ke kanaun me yoon kaha Hayya ‘ala s-Salah, hayya ‘ala l-Falah Arshe Baree par Rab ne Bulaya Huzoor ko Jibraeel aye aur Jagaya Huzoor ko Haq ki raza ka jaam peelaya Huzoor ko Chalne lage to Rab ne bataya Huzoor ko Ummat se jaake kehna yehi tohfa hai mila Hayya ‘ala s-Salah, hayya ‘ala l-Falah Islam ke Alam ko uthaya Hussain ne Baatil ke agay sar na jhukaya Hussain kya cheez hai Namaaz bataya Hussain ne Sajde me ...
Dil ko unke se Khuda juda na kare Bay kisi loot le Khuda na kare Iss me Raude ka sajdah ho ke Tawaaf Hosh me jo na ho woh kya na kare Ye wahi hai ke bakhsh dete hain Kaun in jurmaun par saza na kare Sab tabeebaun ne de diya hai jawaab Aah E’saa agar dawah na kare Dil kahaan le chala Haram se mujhe Aray tera bura Khuda na kare A’zr ummed a’fwu gar na sune Roosiyah aur kya bahana kare Dil me Raushan hai Sham’a Ishq e Huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kaash josh e hose hawa na kare Hashr me hum bhi sair dekhinge Munkar aaj Unse ilteja na kare Za’eef mana magar yeh zalim dil Unke raste me to thaka na kare Jab Teri khoo hai sab ka jee rakhna Wahi achcha jo dil bura na kare Lay Raza sab chale Madine ko Mai na jaoon aray Khuda na kare
Azal Ki Khushboo Ho jismein Pinhaa’n koi batae tu naam aisa wo naam-e-Ahmed (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke phool barsein Bayan Aisa Kalam Aisa Azal Ki Khushboo Wohi Hai Qur’an wohi ha furqa’n wohi hai rab jiska hai sama khaa’n Farishte pardh pardh ke jhoomte hain Durood aisa Salam aisa Azal ki khushboo Hai deen-e-haq mein jamal-e-yazdaan hai arsh bhi jispe naaza’n wohi tu laya hai deen aisa wohi tu laya nizaam aisa Azal ki khushboo wo jis ka saya tu arsh par hai wo jis ka zaroon ke dil mein ghar hai wohi jo chamka tu phir na dooba wohi hai mahe tamam aisa Azal ki khushboo nazar be yaqsaa’n ghulam-o-aaqa buzurgon par tar hai sirf taqwa koi jahan mein hai deen aisa kahin hai koi nizaam aisa Azal ki khushboo Woh jis andheri gali se guzra badal diy...
Hammay apna Woh (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kehtey hain, Muhabbat ho tou aise ho Hammay nazrou may rakhtey hain, Inaayat ho tou aise ho Woh (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) pathar maarne waalo ko detay hain dua aksar Koi lao misaal aise, sharaafat hou tou aise ho Ishaara jab Woh (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) famaey, tou pathar bol uthtay hain Nabuwwat ho tou aise ho, Risaalat hou tou aise ho Wahaaa mujrim ko milti hain pahaei bhi jazaein bhi Madiney may jo lagti hay, adalat ho tou aise ho Maire Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki wilaadat per huwey sab ko ata detey Issey milaad kehtey hain, wilaadat ho tou aise ho Namaz-e-Asr ko qurbaan ker kay Un (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)) ki hasti per Ali Maula (radi Allahu ‘anhu) ne batlaaya, ibaadat ho ...