Us Hussain Ibne Haddar pei lakhoun salam Kar liya nosh jis ne shahdat ka jaam Jis ko Dhoke se Koufe bulaya geya Jis ke bachoen ko Pyasa rulaya geya Khanjar zulm jis par chalaya geya Us ki kamil shahadat pei lakhoun salam Jis ne haq Karbala ka aada kar diya Jis ne Nana ka wa’ada wafa kar diya Jis ne kumbe a kumba fida kar diya Baadshah-e-sakhawat pei lahkoun salam Jis ko ummat ka gham hi satata raha Ashq gharoun mein jo bhi bahata raha Jo muqaddar hamare banata raha Us ki sab se a’al-o-ishrat pei lakhoun salam Jis ke shohar par khanjar chalaya geya Jis ke bethe ko khoun mein nalaya geya Jis ki bethi ko qaadi banaya geya Us khatoon-e-qayamat pei lakhoun salam Samne jis ke Akbar zibaah ho geye Goad mei jis ke Asghar tarapte rahe Jis ko ummat ne teeroun ka tohfa diya Us shaheed-e-M...
Ya Nabi Salaam Alaika, Ya Rasul Salaam Alaika, Ya Habib Salaam Alaika, Salawatullaah Alaika. Jashn-e-Milad un nabi hay, Noor ki chaadar tani hay, Roshani hi roshani hay, Har taraf yay doom machi hay. Ya Nabi Salaam Alaika, Ya Rasul Salaam Alaika, Ya Habib Salaam Alaika, Salawatullaah Alaika. Ya habeeb-e-rab-e-daawar, Azpa-ay Siddeeq-e-Akbar, Aur Umar Usmaan O Haydar, Chashmay baytar Do qalb-e-uzz par. Ya Nabi Salaam Alaika, Ya Rasul Salaam Alaika, Ya Habib Salaam Alaika, Salawatullaah Alaika. Rahmatal Lil Aalameena, Ho ataa aysa kareena, Daykh kar meetaa madina, Ishq-e-main patjaa ay seena. Ya Nabi Salaam Alaika, Ya Rasul Salaam Alaika, Ya Habib Salaam Alaika, Salawatullaah Alaika. Aakhari lamhay jab aa-ain, Kaash wo tashreef laa-ain, Apnay jalwon main gumaa-ain, Joom-e-kar ham gun gunaa-a...
Taajdaare haram ae shahanshaahe deen aap pe hardam karooro duroodo salaam Ho nigahe karam hum pe sultan-e-deen Door reh kar na dam toot jae kahi Kaash taiba mein ae meri maahi mubeen Dafn hone ko mil jae do gaaz zameen Aap pe hardam karooro duroodo salaam… Koi husne amal paas mere nahi Phas na jau Qayamat mein mola kahi Ae shafiye umam laaj rakhna meri Aap pe hardam karooro duroodo salaam… Teri yaadon se mamuur sina rahe Samne mere har dam madina rahe Bas mein deewana ban jau sultaa-e-deen Phir bulalo madine mein attar ko Yeh tarapta hai tayba ke deedar ko Aur is ke siwa aarzoo hi nahi aap pe hardam karooron duroodo salaam Taajdaare haram a shahanshahe deen Aap pe hardam karooro duroodo salaam…