Har taraf anwar ki barsat hai, Mehfil-e-Sarkaar ki kya baat hai. Raat jo guzri Nabi kay zikr mein, Din se behtar woh hamari raat hai. Kyun mein mangoon jab mere kashkol mein, Naqsh-e-Naal-e-Paak ki khairaat hai. Kyun pareshan hoon mein uqhba key liye, Shafa-e-Rauz-e-Jaza woh Zaat hai. Wali-e-kaun-o-makaan kay zikr say, Wajd mein yeh sari kainaat hai. Yoon to gumbad hai jahaan mein har jagah, Gumbad-e-Khazra teri kya baat hai. Nausha-e-Bazm-e-Jina kay waaste, Anbiya ki saf ba saf baraat hai. Kis tarha likhoon main midhat Aap ki, Jab madha khawan khud Khuda ki zaat hai. Kis qadar Rehaan khush qismat hai tu, Teri bakhshish ka waseela Naat hai. Har taraf anwaar ki barsaat hai, Mehfil-e-Sarkar ki kya baat hai.
Khaliq ne Apne Noor ka, Jalwa dikha diyaa Sab Noor ko Mila ke Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) bana diya Aagayi Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)ki sawaari Apne ghar ko diyo se sajja lo De rahe hain farishte salaami Tum duroodo ki maala banaa lo Aagayi Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki sawaari Apne ghar ko diyo se sajja lo Apne mangto ko Wo paalte hain Wo bhala kisi ko kab taalte hain Sadqa Hasnain-o-Ghaus-ul-Waraa ka Ya Nabi meri jholi me daalo Aagayi Mustafa ki sawaari Apne ghar ko diyo se sajja lo Kar ke Naaton se har soo charaagha Youn manaaeynge jashn-e-bahaara Aashiqo Aamad-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai Deep Khushiyon ke har soo jala lo Aagayi Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki sawaari Apne ghar ko diyo se ...
Kya ajab noor ka behta hai jo darya dil mein Dil hai Taiba mein mera, aur hai Taiba dil mein. Gham ki chaadar jo kabhi odh ke so jata hoon Jaagti rehti hai Aaqa ki tamanna dil mein. Uss ghari meri maddad karte hain mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Jab bhi ho jati hai uljhan koi paida dil mein. Dil issi waaste reh reh ke dhadakta hai mera Kyunke rehte hain hamesha mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)dil mein. Eik eik cheez mujhe saabz nazar aati hai Bass gaya jab se sakhi Gumbad-e-khazra dil mein. Kya ajab noor ka behta hai jo darya dil mein Dil hai Taiba mein mera, aur hai Taiba dil mein.
Main to khud Unke Dar ka gadda hoon, Apne Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko main nazar kya doon Ab to aankhon mein bhi kuch nahin hai, Warna qadmon mein aankhein bicha doon Aane waali hai Unki tareekh, Phool naaton ke ghar ghar saajja doon, Mere ghar mein andhera bohot hai, Apni palkon pe shamma jala doon Rauza-e-pak peshe nazar hai, Saamne mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Dar hai, Mujhko kya kuchh nazar aa raha hai, Tumko lafzon mein kaise bata doon Mere aansu bahut qeemti hain, Inse waabasta hai unki yaadein, Inki manzil hai Khak-e-Madinah, Ye gauhar yun hi kaise lutta doon Main faqat Aap ko jaanta hoon, Aur Ussi Dar ko pehchanta hoon, Is andhere mein kisko pukaroon, Aap farmayein kisko sadda doon Qaafilay jaa rahe hain Madine, Aur hasrat se main tak raha ho...
Meri Jholi Mein Rehte Hain Sada Tukre Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Azal Se Kha Raha Hai Yeh Gada Tukre Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Tukre Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Meri Jholi Mein Rehte Hain Sada Tukre Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Meri Jholi Mein Rehte Hain Sada Tukre Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Parri Hai Kya Mujhe Shahoon Ke Dar Se Ja Ke Main Mangoon Khilata Hai Mujhe Mera Khuda Tukre Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Tukre Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Meri Jholi Mein Rehte Hain Sada Tukre Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Meri Jholi Mein Rehte Hain Sada Tukre Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Mere Raste Ki Har Mu...
Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Nabiyyina, Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Nabiyyina, Ya Shahe Madina, Ya Shah-e-Madina Teri judai mein pal pal jalta hai yeh seena, Muhammada, Muhammada, Muhammada, Muhammada, (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tez bohat hai dhaara, Mera koun sahaara, Kar do ek ishaara, Toofan banne kinaara Tere hawale hai Aaqa, yeh mera safeena. Muhammada, Muhammada, Muhammada, Muhammada, (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Waqt-e-naza jab aa jaaye, Mujh pe karam yeh ho jaaye, Aal-e-Aba ke ho saaye, Naam Tera lab pe jab aaye, Mohsin ko ho jaaye ata, bas Khaak-e-Madina. Muhammada, Muhammada, Muhammada, Muhammada, (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Yeh betaab nigaahein, Har damm ashq bahaaye, Dil deta hai sadaaye, Qadmon mein bulaaye, Ga...
Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka khuda aur khud mustafa. Kyun kahun mera koi sahara nahi. Unke dar ka gada aur mayoos ho, mere sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko yeh gawara nahi. Main Madine se lekin bohat door hoon, yeh khalish mere dil ko gawara nahi. Mustafa ka khuda aur khud Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kyun kahun mera koi sahara nahi. Aap ka ishq hai ishq-e-Rabb-ul-‘ula, aap ka zikr hai khaas zikr-e-Khuda. Khud Khuda ka yeh qur’an mein elaan hai, jo Tumhara nahi woh hamara nahi. Mustafa ka khuda aur khud Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kyun kahun mera koi sahara nahi. Wohi Roze pe bulwaenge eik din, sabz Gumbad bhi dikhlaenge eik din. Apne Roze pe bulwaenge eik din. Ae sikandar zara sabr se kaam le. Unke dar ka ga...
Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se jab tumhara silsila mil jayega Khud ba khud aye dhoonde wale Khuda mil jayega Kya bataoon Unke darr pe jaa ke kya mil jayega Jo tallab hogi, tallab se bhi siwa mil jayega Unke sadqe main Khuda se maang kar dekhe koi Mudda’i ke lab hilenge mudda’a mil jayega Gham nahi gumm ho bhi jayein, rahe firdous-e-bari Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka naam loonga, raasta mil jayega Naam Unka waqt-e-muskhil le ke dekho to zara Na-umeedi mein bhi dil ko aasra mil jayega Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se jab tumhara silsila mil jayega Khud ba khud aye dhoonde wale Khuda mil jayega
Dil pe kalme ki zarb laga, la ilaaha illa Llah dil ke marz ki, hai yeh dawa, laa ilaaha illa Llah sab kaynaat da khaliq Allah, tera mera malik Allah Sab ka raaz hai eik khuda, Laa ilaaha illa Llah Us ka har dam zikr kiya kar, apni mout ka zikr kiya kar Akhir tera maqaam banaa, laa ilaaha illa Llah our zikr to subho shaam kiya kar, har waqt us ka naam liya kar uske naam mein kitna mazaa, laa ilaaha illa Llah
Qalb-e-Aashiq Hain Ab Para Para, Alwada Alwada Mahe Ramazan. Tere Aaney Se Dil Khush Huwa Tha, Aur Zoak-e-Ibadat Badha Tha, Aahh Ab Dil Pe Hain Ghum Ka Galba, Alwada Alwada Mahe-e-Ramazan. Naikiyan Kuch Na Hum Kar Sakain Hain, Aah Issiya He Main Din Katain Hain, Haaye Gaflat Main Tujh Ko Guzara, Alwada Alwada Mah-e-Ramzan. Koi Husn-e-Amal Na Kar Sakaa Hoo, Chand Ansoo Nazar Kar Raha Hoo, Yehi Hai Mera Kul Asasaaa, Alwada Alwada Mah-e-Ramzan. Jub Guzar Jayenge Mah Giyara, Teri Aamad Ka Aamad ka Phir Shoor Hoga, Kiya Meri Zindagi Ka Bharosa, Alwada Alwada Mah-e-Ramzan. Bazm Iftar Sajti Thi Thi Kaisi, Khood Sehri Ki Ronak Bhi Hotee, Sub Sama Hogaya Suna Suna, Alwada Alwada Mah-e-Ramzan. Yaad Ramzan Ki Tarpa Rahee Hai, Aansoo Ki Jarhee Lag Gayee Hain, Keh Raha Hai Har Aik Qatra, Alwada Alwada ...
Naat-e-Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki parta hoon mein Bas issi baat say ghar mein meri rahmat hogi Ik tera naam waseela he mera Ranj o gham mey bhi iss naam sey rahat hogi Ye suna hey kay bahot ghor andheri hogi Qabar ka khowf na rakna ey dil Waha Sarkar e Madina (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki ziarat hogi Unko Mukhtar banaya hey merey Mola ney Khuld mein bas wahi ja sakta hein Jisko Hasnain kay baba ki ijazat hogi Unki chokat pey parey he to bari moj mein hey Lot kay ayengey jab us dar sey Merey dil tu hi bata kya teri halat hogi Hashr ka din bhi ajab deykna vala hoga Zulf lehra key wo jab ayengey Phir qiyamat mein bhi ik aur qiayamat hogi Rashk sey door karey deyktey hogay Zaahid Jab sare Hashr gunahgaro pey Merey aaqa ka karam hoga inayat hogi Kahi Ta Ha kahi ...
Badal de Dil ki duniya dil badal day Mera Ghaflat mein dooba dil badal day Hawa-o-Hirs wala dil badal day Mera Ghaflat mein dooba dil badal day Badal de Dil ki duniya dil badal day Khudaya Fazl farmaa dil badal day Gunah gaari main kab tak Umr kaatoun Badal day Mera rasta dil badal day Sunoun Main naam Tera dharkanon Main Maza aajaye Maula dil badal day Hataaloun aankh apni Maa-siwa say Jiyoun Mein Teri khatir dil badal day Karoun Qurbaan Apni Saari Khushiyaan Tu apna ghum ata kar dil badal day Sehal farmaa musalsal yaad apni Khudaya Reham farmaa dil badal day Para houn Teray dar par dil shikasta Rahoun kyu dil shikasta dil badal day Tera hojaoun itni arzoo hay Bas itni hay tamanna dil badal day Meri faryaad sunlay Mera Mawla Banalay apna banda dil badal day Tera hojaoun itni arzoo hay Bas...