Urdu

Kahin Na Dekha Zamane Bar Mein

A beautiful naat by Qari Muhammad Amir Khan.  

Paro la ilaha illa Llah

A beautiful naat by our dear Qari Muhammad Amir Khan. The mehfil took place in Norway.  

Madineh ki Azmaate

Makkah main Kaba hay, Madinah main Kabe ka Kaba hay Makkah main Bait Ullah hay, Madinah main roza e Rasool Ullah hay Makkah main aab-e-zam zam ke chashme, Madinah main Muhammad ke karam ke chashme Makkah main Farshiyo ka Hajj hota hay, Madinah main Arshiyo ka Hajj hota hay Makkah main Jalaal hay, Madinah main Jamaal hay Makkah main Hira ki tanhaaiya hay, Madinah main Gunbad-e-Khazra ki rahnaiya hay Makkah duaao ka markaz, Madina Ataoo ka markaz Makkah main Guzarish , Madinah main Shafarash Makkah main larai haraam hay, Madinah se judaai haraam hay Makkah main maanga jata hay, Madinah main ataa kiya jata hay Makkah main zakhm sunaye jate hay, Madinah main zakhm mitaye jate hay….  

Main To Sarkar Tora Deewana

Main To Sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tora Deewana Ab tou Taiba bula lo ja na na Jaam per jaam ho ata mujh ko Rahey abaad Tera Maykhaana Ab tou Taiba bula lo ja na na Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Tere ghar baar ki ye azmat hya Aae Jibreel bhi ghulamaana Ab tou Taiba bula lo ja na na Bheek lene Tere Madina say Aate hain baadshah faqeeraana Ab tou Taiba bula lo ja na na Aap aae to ka’aba Qibla banna Warna pehlay tha wo sanam khaana Ab tou Taiba bula lo ja na na Jaane waale Hazoor sei kehna Hijr mei jal raha hay dewaana Ab tou Taiba bula lo ja na na Aur baag-e-Panjtan ki khair ho Wasif Ho salaamat rahay ye Maykhaana Mein To Sarkar Tora Deewana Ab tou Taiba bula lo ja na na  

Main Nazar Karun Jaan O Jiigar

Main nazar karun jaan o jiigar, kesa lage gaa Rakhdu daar – e – Sarkaar peh sar, kesa lage gaa Aja’e mukadar seh meray, ghar joh shahedii Main kesa lagun gaa, meraa ghar kesa lage gaa Jaab duur seh hai itna haseen, Ghumbad – e – Hazra Is paar seh esa hai, udar kesa lage gaa Sarkaar neh dar peh tujhe, bulwaya hai maangte Jaab ko’ii mujhe deh gaa khabar, kesa lage gaa Jis haath seh likhun gaa, Muhammad ka qaseeda Us haath meh Jibre’il ka par, kesa lage gaa Ghaus – ul – waraa seh puchlo, ik roz yeh chaal kar Baghdad seh tayba ka safar, kesa lage gaa Aja’e mukadar seh meray, ghar joh shahedii Main kesa lagun gaa, meraa ghar kesa lage gaa Rakh loungaa imaame peh, joh na’alen – e – muqadas Shaho keh muqabil meraa sar, ...

Madinah Yaad Ayaa Hai

Mujhey Taybah main le jaao, Madinah yaad ayaa hai Meray Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko bulwaao, Madinah yaad ayaa hai Terii mehfil sajataa hoon, teray main geet gataa hoon Sar-e-mehfil chaley aao, Madinah yaad ayaa hai Main jetaa roz marta hoon, judaa’ii seh naheen saktaa Meray Aqa ko batlaao, Madinah yaad ayaa hai Merii tariiki-e-dil ka madawaa teraa aanaa hai Meray Aqa chaley aa’o, Madinah yaad ayaa hai Chaley hain qaafley Taybah akelaa chor kar mujh ko Mujhey Taybah main pohncha’o, Madinah yaad ayaa hai Teri furqat ne maaraa hai, terii rehmat saharaa hai Qariib-e-marg hoon aa’o, Madinah yaad ayaa hai Meray mayyat ko le jaanaa, Madinah paak main yaaro Mujhe Taybah main dafnaa’o, Madinah yaad ayaa hai Teri ummat ko mil kar ghairon se apno ne lut...

Madina Madina Hamaara Madina

Madina Madina, Hamaara Madina Hammay Jaan-o-dil say hay pyaara Madina Suhaana suhaana dulaara Madina Har aashiq ki aankhou ka taara Madina Madina Madina, Hamaara Madina Hammay Jaan-o-dil say hay pyaara Madina Sabhi Aashiq-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) keh rahay hain Hammay tou haI jannat say pyaara Madina Madina Madina Madina Madina Madina Madina Hamaara Madina Yeh rangeen fazaaein, ye mehki hawaaein Mu’attar, Mu’amber hai saara Madina Madina Madina Madina Madina Madina Madina Hamaara Madina Madine ke jalwaun ke qurban jaon Hai Qudrat nay kaisa saanwaara Madina Madina Madina Madina Madina Madina Madina Hamaara Madina Wahaan pyaara Kaaba, Yahaan Sabz Gumbad Wo Makkah bhi meetha tou pyaara Madina Madina Madina Madina Madina Madina Madina Hamaara Madina Hammay ja...

Maang Aray Maang

Rahmat ka hai darwaza khhula maang aray maang Deta hei karam un ka sada maang aray maang Aa ja-ai ga ik roz bhi Taibah se bulawaa Har waqt madine ki dua maang aray maang Bhar ja-ai ga kashkol muradon se tera bhi Ban kar mere aqa ka gada maang aray maang Mayoos na ho ye mere lajpaal ka dar hei Hai kiss liye khamosh khharra maang aray maang Sarkar se sarkar ko maanguun ga niyaazi Sarkar ne jiss waqt kaha maang aray maang  

Mein To Panjtan Ka Ghulaam Hun

Meh to panj than ka ghulaam hun Mujhay ishq hain toh Khuda sey hain, mujhay ishq hain toh Rasul hain Meray mun sey aaey mehak sada, joh main naan lun tera bhool sey Mujhey ishq sar-o-saman sey hain, mujhay ishq saray chaman sey hain Mujhay ishq Un ki gali sey hain, mujhay ishq hain Un key wathan sey hai Mujhay ishq hain toh Ali sey hain, mujhay ishq hain toh Hassan sey hain Mujhay ishq hain toh Hussain sey, mujhay ishq Shahe Zaman sey hain Meh toh panj than ka ghulaam hun Huwa keysay then sey woh sar juda, jahan ishq ho wohein Karbala Meri baath un hi ki baath hain, meray saamnay wohi zaath hain Wohi jin ho shayre Khuda kahein, jinhein baabe salli ‘ala kehein Wohi jin ko aale Nabi kahein, wohi jin ko zaathe Ali kahein Wohi pukhta hain mey tho khaam hun Meh toh panjtan ka ghulaam hun ...

Mein Sajdah Karun Ya Ke Dil Ko Sambhalun

Mein sajdah karun ya ke dil ko sambhalun Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki chokhat nazar aa rahi hain Issi be-khudi main kahiin kho na ja-un tarrap kamli waale ki tarrap aa rahi hain Do aalam ka daata mere saamne hei wo, Kaabe ka kaaba mere saamne hain Ada kyun na farz-e-muhabbat karun mein, khuda ki khudaii jhuki ja rahi hain Galai main hein zulfain to neechi nigahain nazar chuumti hei madine ki raahein Farishte bhi barh kar qadam chuumte hein Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki jogan chali aa rahi hain Faqeeri ka mujh main nahiin hai saleeqa, na aata hai kuch maangne ka tareeqa Idhar bhi nigaahe karam kamli waale zamane ki jholi bhari ja rahi hai Farishto sar-e-raah ankhain bicha do uttho behr-e-tazeem sar ko jhuka do Khuda keh raha hei mere dilruba ki wo de...

Mujh Mey UnKi Sana

Mujh May(N) Unki Sana Ka Saliqa Kahaa(N) Woh Shaahe Do Jahaa(N), Woh Kahaa(N) May(N) Kahaa(N) Un Ka Madd-Ha Sara Khaaliqe Asra Woh Rasoole Zamaa(N) Woh Kahaa(N) May(N) Kahaa(N) Un Ke Daaman Se Wabasta Meri Nijaat Unpe Qurbaan Meri Hayaato Mamaat May(N) Gunahgaar Woh Shaaffaaey Aasiyaa(N) Bekaso(N) Ki Amaa(N), Woh Kahaa(N) May(N) Kahaa(N) Woh Madinah Nagina Jo Hai Arsh Ka Woh Madinah Bharam Jo Bana Farsh Ka Woh Madinah Jahaa(N) Rehmate Bekaraa(N) May(N) Bhi Paho(N) Chu(N) Wahaa(N), Woh Kahaa(N) May(N) Kahaa(N) Shak Nahi(N) Aey Riyaz Is May(N) Hargiz Zara May(N) Saraapa Khata Woh Saraapa Ata Naam Un Ka Rahe Kyo(N) Na Virde Zubaa(N) Hai Jo Taskine Jaa(N) Woh Kahaa(N) May(N) Kahaa(N)  

Kamli Wala Kamli Wala

Kamli wala, kamli wala, kamli wala,kamli wala Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kamli orne wala, Apne kamli mein chupale Wo hai badshah-e jahaan, Jameel-o-jaleel wo aisa, dur karde har ek gum ko, wo hain data aisa, mere Aqa, mere aqa, Kamli wala, kamli wala Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kamli orne wala, Apne kamli mein chupale Arzoo hain wo, tamannah hai wo, ilahi ki haseen roshni hai wo, zindagi hai wo, bandagi hai wo, mere Aqa, mere aqa, Kamli wala, kamli wala Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)kamli orne wala, Apne kamli mein chupale Muzammil usi ka naam, Mudassir usi ka naam, hazir-o-Nazir wahi hain, zahir wahi hain, batin wahi, mere Aqa, mere aqa, Kamli wala, kamli wala Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kamli orne wala, Apne kamli mein...