Urdu

Bazm E Tasawwuraat Saji Thi Abhi Abhi

Bazm e tasawwuraat saji thi abhi abhi Nazron mayn Mustafa ki gali thi abhi abhi Seenay mayn ruk gya tha mayra dam iss liay Taibah say dil ddoar hili thi abhi abhi Itna karam huaa kay muqaddar badal ga-ay Un kay karam ki baat chali thi abhi abhi Maaloom kar rahay thay farishton say jibraiil Kiss ki zubaan pay naat e nabi thi abhi abhi Shabbir chashm e tar ki haqiiqat na poochhiay Maah e arab say aankh mili thi abhi abhi  

BASA HUVA HAY NABI KA DIAR AANKHON MAIN

BASA HUVA HAY NABI KA DIAR AANKHON MAIN SAJAYE BAITHHA HOON EK JALVA ZAAR AANKHON MAIN DIAR-E-PAK KA HER MANZAR-E-HASEEN-O-JAMEEL RUHAY GA KA’BA QAZA YAD GAR AANKHON MAIN BASA HUVA HAY NABI KA DIAR AANKHON MAIN ATA KIA JO MADINAY KE BASION NAY MUJHE MEHAK RUHA HAY AB TAK VOH PIAR AANKHON MAIN. AB ISS SAY BARH KE KOI SURMA AUR KIA HO GA? SAMAIT LAYA HOON MAIN KUCH GHUBAR AANKHON MAIN. BASA HUVA HAY NABEE KA DIAR AANKHON MAIN BAGHAIR DEKHE MADEENA INHAIN NAZAR AAYA HAIN MUNFARID MERI AANKHAIN HAZAR AANKHON MAIN. BASA HUVA HAY NABI KA DIAR AANKHON MAIN TARAP HAY DIL MAIN MADEENAY KE JALVA ZARON KEE! AUR INTIZAR-E-SAFAR BAYQARAR AANKHON MAIN. BASA HUVA HAY NABEE KA DIAR AANKHON MAIN SUNAOUN GA VOH KAHANI HUZOOR KO JA KER CHCHUPAYE BAITHA HOON JO ASHKBAR AANKHON MAIN HAY E’ETMAD BHE...

Badi Ummid Hai Sarkaar Qadmon Mein Bulaaei Ge

Badi Ummid Hai Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Qadmo(N) Mei(N) Bulaaei(N) Ge Karam Ki Jab Nazar Hogi, Madiney Ham Bhi Jaaei(N) Ge Agar Jaana Madiney Mei(N) Hua, Gham Ke Maaro(N) Ka Makine Gumbade Khadra Ko Haale Dil Sunaaei(N) Ge Qasam Allah Ki Hoga Woh Manzar Deed Ke Qaabil Qiyaamat Mei(N) Rasoolallah Jab Tashrif Laaei(N) Ge Gunahgaaro(N) Mei(N) Khud Aake Shaamil Paarsa Ho(N) Ge Shafiye Hashr Jab Daamaane Rehmat Mei(N) Chupaaei(N) Ge Ghame Ishqe Nabi Se Hoga Jab Maamoor Dil Nayyar Tere Jhurmat Qade May(N) Bhi Sitaarei(N) Jagmagaaei(N) Ge  

Chand Ki Qindeel Sooraj Ka Diya Tere Liye

sab ke sab loh-o-qalam hain lab kusha tere liye chand ki qindeel sooraj ka diya tere liye kiya shab-e-meraj istiqbal khaliq ne kiya kona kona aasmanon ka saja tere liye chand do tukre kiya baik janbish angush se chand sheeshe se ziada kuch na tha tere liye hum to ajiz hain teri midhat se aae mamhoh-e-rab khud sarapa naat hia tera khuda tere liye rang,khushboo,chandni,barsaat badal sab tere khak per yeh farsh sabze ka bicha tere liye hamid-o-mahmood-o-ahmad majid-o-amjad hai tu ha karan taaba karan yeh silsila tere liye un ki had hai tur-e-sina tu hadoon se mawara manzil kosin tu hai ibtida tere liye  

Bhar Do Jholi Meri

Shah-e-Madeena (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)  suno ilteja Khuda ke liye Karam ho mujh pe Habeeb-e-Khuda Khuda ke liye Huzoor ghuncha-e-ummeed ab to khil jaaye Tumhaare dar ka gadaa hoon to bheek mil jaaye Bhar do jholi meri ya Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Lautkar main na jaaunga khaali Tumhaare aastaane se zamaana kya nahin paata Koi bhi dar se khaali maangne waala nahin jaata Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tum zamaane ke mukhtaar ho ya nabi Bekason ke madadgaar ho ya nabi Sab ki sunte ho apne ho ya ghair ho Tum ghareebon ke gham-khwaar ho nabi Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena Hum hain ranj-o-museebat ke ...

Aanay Walo Yay To Bataao

Aanay walo yay to bataao shehr madina kesa he Sar un kay qadmon mayn rakh kar jukh kar jiina kesa he Gunbaday khazra kay sa-ay mayn beytth kay tum to aa-ay ho Uss sa-ay mayn Rabb kay aagay sajda karna kesa he Dil aankhayn or ruuh tumhari lagti heyn sehraab mujhay Dar pay un kay beytth kay zamzam piina kesa he Diiwano aankhon say tumharitna puuch to laynay do Waqt e dua rozay pay un kay aansu bahana kesa he Waqt e rukhsat dil ko apnay chhoarr wahaan tum aa-ay ho Yay batlaa-o ishrat un kay dar say bichharrna kesa he  

Aagae Mustafa Ki Sawaari

Khaliq ney apney Nuur ka, Jalwa dikha diyaa Sab Nuur ko Mila kay Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) bana diya Aagae Mustafa ki sawaari Apne ghar ko diyo sey saga loo Dey rahey hain farishtey salaami Tum duruudo ki maala banaa loo Aagae Mustafa ki sawaari Apne ghar ko diyo sey saga loo Apney mangto ko wo paaltey hain Wo bhala kis ko kab taaltey hain Sadqa Hasnain (radi Allahu ‘anhu) o Ghausul Waraa (rahimahu Llah) ka Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) meri jholi may daalo Aagae Mustafa ki sawaari Apne ghar ko diyo sey saga loo Ker kay Naato sey her so charaaga Youu manaaey gay jashney bahaara Aashiqo Aamad-e-Mustafa hay Deep Khushiyoo kay her suu jala lo Aagae Mustafa ki sawaari Apne ghar ko diyo sey saga loo Waqt chamkey ga aik din hamaarey Dekh lain gay wo dil...

Meri Qismat Ko Jaga Do Ya Rasool

meri qismat ko jaga do ya Rasool ek jhalak apni dikha do ya Rasool khwaab mein tashreef la kar aik baar deed ka sharbat pila do ya Rasool aa gaya beemaar aye mere tabeeb to shifaye kamila do ya Rasool umr bhar teri sana khwani karoon har rukawat ko hata do ya Rasool woh kabhi bhi uth nahi sakta jise tum nigaahon se gira do ya Rasool baksh dega har khata meri Khuda tum zara lab ko hilaa do ya Rasool umr isiaa kay sabab barbaad hai tum khatayein bakshwa do ya Rasool na kahoon tum se to phir kis se kahoon meri bigri ko bana do ya Rasool chaand ko ungli se mehd-e-paak mein jis taraf chaho jhuka do ya Rasool sooi mil jaye andhera bhi ho gar tum jo aa kar muskura do ya Rasool tum jo chaho to phira kar shams ko raat ko bhi din bana do ya Rasool ghair kay dar per mein jaoon kis liye jub talab se t...

Jalwa-e-Janaan

Jalwa-e-Janaan, Jalwa-e-Janaan Jalwa-e-Janaan, Jalwa-e-Janaan Maula Yaa Salli Wa Sallim Da’aiman Abadan Ala Habibika Khairi Khlaqi Kulli’ini Maula Yaa Salli Wa Sallim Da’aiman Abadan Ala Habibika Khairi Khlaqi Kulli’ini Na Koi Aap Sa Ho Ga Na Koi Aap Jesa Tha Koi Yusaf Say Poochay Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ka Husn Kaisa Tha Zameen-o-Aasmaan Main Koi Bhi Misaal Na Mili Maula Yaa Salli Wa Sallim Da’aiman Abadan Ala Habibika Khairi Khlaqi Kulli’ini Daleel-e-Zindagi Wo Hain Kamaal-e-Bandagi Wo Hain Koi Bhi Daur Ho Us Main Meraj-e-Aadmi Wo Hain Wohi Toh Deen-o-Duniya Hai Jo Baatain Aap Nay Kahin Jalwa-e-Janaan, Jalwa-e-Janaan Jalwa-e-Janaan, Jalwa-e-Janaan Maula Yaa Salli Wa Sallim Da’aiman Abadan Ala Habibika Khairi Khlaqi Kull̵...

Mujh Ko Taiba Main Bula Lo

Mujh Ko Taiba Main Bula Lo Shah-E-Zamani Shah-E-Zamani Aka Maki Madani Dil Ki Hasrat Yeh Nikalo Shah-E-Zamani Nagar Nagar Aur Dagar Dagar Phirta Hoon Mara Mara Mujh Dukhiya Ka Is Duniya Main Koi Nahin Sahara Tumhi Senay Say Laga Lo Shah-E-Zamani Shah-E-Zamani Aqa Makki Madani Dil Ki Hasrat Yeh Nikalo Shah-E-Zamani Teri Ziarat Kay Hain Talib Kardo Duri Yeh Doori Humain Dikha Do Apna Jalwa Hasrat Ho Yeh Puri Chehra Noorani Dikhado Shah-E-Zamani Shah-E-Zamani Aka Maki Madani Dil Ki Hasrat Yeh Nikalo Shah-E-Zamani Rotay Rotay Omer Guzari Milan Ki Sham Na Aaee Kiya Mairay Aaka Aap Ko Mairee Ata Pasand Na Aaee Phir Kuoon Tum Nay Dair Lagaee Shah-E-Zamani Shah-E-Zamani Aqa Makki Madani Dil Ki Hasrat Yeh Nikalo Shah-E-Zamani Haryale Gunbat Ka Manzar Jannat Se Hai Pyara Kabay Ka Kaba Hai Roza Pyara...

Madine Ka Safar Hey

Madine Ka Safar Hey Aur Mey Namdeda Namdeda Jabeen Afsurda Afsurda Qadam Laghzeda Laghzeda Chala Hoon Eik Mujrim Ki Tarha Mey Janib E Taiba Nazar Sharminda Sharminda Badan Larzeda Larzeda Kise Key Hath Ney Mujh Ko Sahara Dey Diya Warna Kahan Mey Aur Kahan Ye Rasty Pechida Pechida Kahan Mey Aur Kahan Us Roza E Aqdas Ka Nazara Nazar Us Samat uthte hey Magar Duzdeda Duzdeda Ghulaman E Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Dour Sey Pehchany Jaty Hein Dil E Girweda Girweda Sare Shoreda Shoreda Madine Jaa Key Hum Samjhy Taqadus Kis Ko Kehty Hein Hawa Pakeeza Pakeeza Faza Sanjida Sanjida Basarat Khoo Gai Lekin Basirat To Salamat Hey Madina Hum Ney Dekha Hey Magar Nadeda Nadeda Wohi Iqbal jis Ko Naaz Tha Kal Khush Mezaji Par Firaq E Taiba Mey Rehta Hey Aab Ranjida Ranjida Madine Ka Safar ...

Naat Sunta Rahoon

Naat Sunta Rahoon Naat Parhta Rahoon Aankh Purnam Rahay Dil Machalta Rahay Najm-E-Naam-E-Muhammad Zuban Par Rahay Zikr Hota Rahay Saans Chalta Rahay Chorus Baisaharoon Ka Koi Sahara Nahin Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kay Siwa To Guzara Nahin Unki Chasm-E-Karam Ho To Kuch Ghum Nahin Chahay Sara Zamana Badalta Rahay Chorus Ishq Ahmad Si Duniya Main Naimat Nahin Mal O Zar Ki Bhi Koi Haqiqat Nahin Badshaoon Say Behtar Bhikari Hai Woh Unkay Dar Pay Tukrhoon Pay Jo Palta Rahay Chorus Kiya Bhala Asakay Zindagi Kay Mazay Door Reh Kar Habib-E-Khuda Say Mujhay Uski Halat Karoon To Karoon Kia Biyan Har Ghari Jo Furkat Main Jalta Rahay Chorus Yeh Dua Hai Salamat Sada Ghum Rahay Ta Abad Rab Tais-E-Qayam Rahay Aatishay Ishq Har Dum Bharhakti Rahay Khoon Roota Rahoon Dil Pighalta Rahay C...