Zikr e kherulwara bay khatar kijiay Haan yahi kaam shaam o sahar kijiay Chaahtay ho jo barsay karam ki ghattaa Aap kay ghar bhi a-ayn habeeb e Khuda (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Naat say roashni apnay ghar kijiay Gham milay ya kay haasil ho koii khushi Lab pay jaari rahay ya nabi ya nabi Iss taraah zindgaani basar kijiay Har taraf say ghulaamon ki he yay sadaa Almadad Mustafa almadad Mustafa Sadqa hasnein ka ik nazar kijiay Zindagi mayn hazaron safar kar liay Dil nay chaaha na chaaha magar kar liay Ab dar e Mustafa ka safar kijiay Chaahtay ho jo barsay karam ki gahattaa Lab pay jaari rahay mustafa mustafa Iss taraah zindgaani basar kijiay Laakhon tufaan heyn laykin kinara nahiin Or naasir ka koii sahara nahiin Ik nazar ik nazar ik nazar kijiay
Zehre saya ae Ghumbad raat ka basera hai Aur sunahri jali mein rohnama sawera hai Jab aja Madine mei hajioun ka dehra hai Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa salam) ke koche mein saailoun ka peera hai Kitni khuld manzar hai raat bhi Madine ki Aik zara ujala hai aik zara andhera hai Tahiroun ki jurmat mein wo kalas ka nazara Shama ko pathangoun ne har taraf se geera hai Meri khush naseebi par rashq aye Rizwan ko Mustafa agar keh dei ye Ghulam mera hai Kabar mein farishtoun se jab Nabi ne farmaya Jaao is ko sohne do ye Ghulam mera hai Raat bhi Madine ki din se kam nahi Ajmal Shaam bhi Madine ki khushnama saweera hai
Zarey zarey pey chaya huwa Noor hai Zarey zarey pey chaya huwa Noor hai Merey meethey Madineh ki kya baat hai Noor sey sab fiza iss ki ma’amoor hai Merey meetey Madineh ki kya baat hai Noor phoolo mai hai Noor galiyo mai hai Noor bazaar mai Noor Galiyon mai hai Dast o kausaar par Noor hi Noor hai Merey meethey Madineh ki kya baat hai Har taraf rehmato ki hai cha’i gatah Mehki mehki hai kya hoob madni fiza Zarey zarey pey qurbaan yaha tor hai Merey meethey Madineh ki kya baat hai Kya byaa dashtey tayba ki ho hoobiya phool to phool, kaantey bi dilkash yaha pathey pathey pey chaya huwa Noor hai Merey meethey Madineh ki kya baat hai Kaif o masti mai doobey huwey raat o din bheeni husboo say mehkey huwey raat din jis ko dekho yaha aa kai masroor hai Merey meethey Madineh ki kya baat hai Baagey ...
Main Bura Hoon Ya Bhala Hoon, Meri Laaj Ko Nibhana Mujhe Janata Hain Aqaa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Terey Naam Se Zamana Ghameh Aashqee Se pehle Mujhe kaun janata Tha Teri Yaad Ne Banadee Meri Zindagee Fasana Mujhe iss ka gham naheen hai Kai badal gaya zamana Meri zindagee hain tumse kaheen tum badal na jaana Too manbaeh ataa hai ke pukaar utha zamana Too karam nawaziyaan keen ke kara ka kya thikana Chaukat pe aa gaya hoon sarkaar aaj sunn lo Meri dukh bhari kahanee mera dukh bhara fasana Terey naam se zahoori mujhe janatee hain dunya Terah ho gaya hoon jab se merah ho gaya zamana
Momino khushiyan manao Kamli wala (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aa gaya Rab-e-Sallim gun gunaaon, Kamli wala aa gaya Chehra-e-wal fajr sey aur gaysu ey wal-layl sey Dil ko aa’inah banaao, Kamli wala aa gaya Jhuk geyaa sajdey main baytullah bhi ta’zeem ko Ab diyey dil key jalaao, Kamli wala aa gaya Godi mein ley kar Halimah Sa’diyah ney yun kahaa ‘Azmaton key geet gaao, Kamli wala aa gaya Jashn-e-milaad-un-Nabi main un key zikr-e-paak sey Najdion par qehr dhaao, Kamli wala aa gaya Chaand sooraj aur sitaaro kehkashaan ard-o-falak Roshni apni barhaao, Kamli wala aa gaya
Aa jaaye bulawa mujhe AQA Tere Dar se Jis Dar ki ghulaami ko to jibreel bhi tarse Paidal hi nikalte hain, masaafat ka nahin khauf Thakte hi nahin ham to Madine ke safar se Sunnat pe Teri chalne ka aa jaaye qareena Ye abr-e-karam kaash mere dasht pe barse Zarrah bhi lage gohar-o-almaas se badh kar Dekhe to koii khaak-e-arab meri nazar se Ek main hi nahin taalib-e-jalwa mere AQA! Har ek musalmaan Tere deed ko tarse Naamoos-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke liye jaan bhi doon ga Ho jaaun ga waaqif main shahaadat ke hunar se Dunya ke faqat chand hi lamhaat the guzre Ho aaye payambar mere sadiyaun ke safar se Jo shaam-o-sahar Salle Alaa kehta rahe ga Aaye ga bulawa usay AQA ke nagar se Kuch khauf nahin mujh ko kadee dhoop ka Amjad Saaya mujhe miltaa hai Risaalat ke shajar se &...
Ankhouen mein bas geya hai Madina huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Be kas ka aasera hai Madina huzoor ka Phir ja rahe hai ahle Mohabbat ke qafle Phir yaad aa raha hai Madina huzoor ka Nabiyouen mein jaise afzal-o-A’ala hai mustafa Sherouen mein baadshah hai Madina huzoor ka Jab se qadam pare hai risalat ma’aab ke Jannat se bar geya hai Madina huzoor ka Har zara zara apni jagga ma’ahataab hai Kya jagma’ga raha hai Madina huzoor ka Qudsi bhi chumthe hai addab se yahan ki khaaq Qismat mein jhometha hai Madina huzoor ka Ho naaz kyoun na is ko Neyazi naseeb par Jis ko bhi mil geya hai Madina huzoor ka
Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) bachalo is aasi ko jo duba huva hai gunaho me ab aap hi ise bachana ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mai qatakaar hoo mai gunahgaar hoo mai siyakar hoo mujh bad ko aap hi bachana ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) tum malik-o-muqtaar ho jise chahe jo chahe use ataa karde meri bhi jholi bhardena ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mere bad aamal ke sabab mujh par azab ho jab qabr me mujhe tum bachane aana ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) sunta hoo logon se ke aqa ghar tashrif laye qaab me mere qaab me bhi tum aana ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) tere dar ki haazri ke liye kab se hoo shaha betab mujhe dar pe tum bulana ya Rasula Llah (salla Llahu ‘al...
Madine ki Azmath Madine ke jalwe Madine ke charche Madine ka manzar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ki baatein Madine ki raatein Yahaan to rahte hain mere payambar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Jo hai saare aalam ke Sarwar Isliye hai Taiba kitna munnawar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Kitna hai pyara pyara Madina Ise Rab ne kitna sawara Madine ki azmath ke mai sadqe jawaan Isme rahte hai mere payambar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ka wo pyara manzar Waha ke phool aur wahaan ke kankar Wahaan ka farsh aur minar-e-anwar Aur waha ka Mihrab-o-Mimbar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Na koi zar hai Na koi par hai chala bhi jaata nahi hai mujh se Phir aa’un kaise tumhare Dar par ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Gumbade Khizra ke pyare nazare Wahaan ki galiyaan wahaan ke raste Wahaan ki diwarein wahaan ke jal...
Aey Sabz Ghumbad Waale Manzoor Dua Karna Jab Waqte Naza Aaey Didaar Ata Karna Aey Noorey Khuda Aakar, Aankho Mei Sama Jaana Ya Dar Pe Bula Lena, Ya Khwaab Mei Aa Jaana Aey Pardaah Nashi Dil Ke, Parde Mei Raha Karna Mehboobe Ilaahi Sa, Koi Na Hasin Dekha Yeh Shaan Hai Unki Ke, Saayaah Bhi Nahi Dekha Allah Ne Saaey Ko, Chaaha Na Juda Karna Maí Qabr Andheri Mei, Ghabraa-Unga Jab Tanha Imdaad Ko Meri Tum, Aa Jaana Zara Shaaha Roshan Meri Turbat Ko, Lillaah Zara Karna Mujrim Hu Jahaa Bhar Ka, Mehshar Mei Bharam Rakhna Ruswaaey Zamaana Hu, Aaqa Kamli Mei Chupa Lena Maqbool Dua Meri, Mehboobe Khuda Karna Chehre Se Ziya Paai, Sab Chaand Sitaaro Ne Is Dar Se Shifa Paai, Dukh Dard Ke Maaro Ne Aata Hai Unhe Sabir, Har Dukh Ki Dawa Karna
Ban ker faqeer jao, Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki galli may Dil ki muraad pao, Sarkaar ki galli may Aisa kareem koi tujh ko na phir millay ga Baithay raho gadao, Sarkaar ki galli may Jannat may rehnay waali, huurou say koi keh day Aik tum bhi ghar banao, Sarkaar ki galli may Kis kis ko may bataou, khud ja kay koi daikhay Jannat ka der khulla hay, Sarkaar ki galli may
Ban kay Noor e Khuda, Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aagaey Marahaba Marhaba, Marhaba Marhaba Mustafa aagaey Marhaba Marhaba Mustafa aagaey Ujri dunya thi AAqa ney aabaad ki Her taraf dhuum Unkay hay Meelaad ki Sab kay Mushkil kusha, Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Ho gaey Nuur dunya kay zulmat tallay Jin kay aanay say Mao ko baytay millay Sarwar-e-Ambiyaa Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Ban kay Noor e Khuda, Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Arsh per Jashan Jin ka manaaya gaya Sab Rasulon ko jiss may bulaaya gya Haa wohi Dil Ruba Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Ban kay Noor e Khuda, Mustafa (salla Llahu ‘alayhi...