Urdu

Shahe Madina

Shahe Madina, shahe madina, shahe madina Taiba ke wali sare nabi tere dar ke sawali Shahe Madina, shahe madina, shahe madina Terey liye hi dunya bani hai, neele falak ki chadr tani hai Tu agar na hota dunya thi khali, sare nabi tere dar ke sawali Jalwe hai sare terey hi dam se, aabad aalam terey karam se Baqi har ek shay naqshe khayalo, sare nabi tere dar ke sawali Tune jahan ki mehfil sajai, taarikyon mein shamma jalai Kandhe pe tere kamli hai kaali, sare nabi tere dar ke sawali Mazhab hai tera sab ki bhalai, maslak hai tera mushkil kushai dekh ke apni umat ki khasta haali, sare nabi tere dar ke sawali Hai noor tera shamso qamar mein, tere laboon ki laali sahar mein Phoolon ne teri khusbu chura li, sare nabi tere dar ke sawali Kaba ka kaba tera hi ghar hai, tere karam pe sab ki nazar hai ...

Woh Nabiyon Main Rehmat Laqab Panay Wala

Woh Nabiyon Main Rehmat laqab panay wala Usey say hai Islam ka bola bala Woh Nabiyon Main Rehmat laqab panay wala Usey say hai Islam ka bola bala Woh sar chashmai noor-e-fathghay mubeen hai Wohi mash anayra hay azmo yakeen hai Usey say hamaray dilon main ujala Usey say hai Islam ka bola bala Woh Nabiyon Main Rehmat laqab panay wala Usey say hai Islam ka bola bala Usey kay yeh gham par hai ahsaan saray Kadam manzelaain chomtey hain hamaray Usey nain andhayron say ham ko nikala Usey say hai Islam ka bola bala Woh Nabiyon Main Rehmat laqab panay wala Usey say hai Islam ka bola bala Sahara diya us kay naqshey qadam nain Usey kee tawajo usey kay kadam nain Zamanain kay girtay houon ko sanbhala Usey say hai Islam ka bola bala Woh Nabiyon Main Rehmat laqab panay wala Usey say hai Islam ka bola ba...

Koi Saleeqa Hai Aarzoo Ka Na Bandagi Meri Bandagi Hai

Koi saleeqa hai aarzoo ka, na bandagi meri bandagi hai Yeh sab tumhara qaram hai aaqa keh baat ab tak bani hui hai Kissi ka ehsan kyon uthain, kissi ko haalat kyon batain Tumhein se mangein gey tum hi do gey, tumhare dar se hi loo lagi hai Ata kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat Mein iss karam ke kaha tha qabil, huzur ki banda parwari hai Shoor o fikro nazar ke dairey, had ka in se barh na paain Na choo sake un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho Khuda ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni hai Bashir kahiye nazir kahiye, unhein siraje munir kahiye Jo sar ba sar hai kalam-e-rabbi, woh merey aaqa ki zindagi hai Ammal ki merey asas kiya hai, bajuz nadamat ke paas kiya hai Rahe salamat tumhari nisbat,...

Kiya Khabar Kiya Sazaaa Much Ko Miltii

Kiya Khabar Kiya Sazaaa Much Ko Miltii Meraiii Aakaa Nai Izzat Bachalii Kiya Khabar Kiya Saza Much Ko Miltiii Meraiii Aakaa Nai Izzat Bachaliii Farde Isya Merii Much Say Lekar Farde Isya Meriiii Much Say Lekar Kalii Kamliii Mai Apni Chupali Woo Ataa Par Ataa Kar Nai Walaiii Or Hum Bhii Nahii Tal Nai Walaiii Wooo Ataa Par Ataa Kar Nai Walaiii Or Hum Bhii Nahii Tal Nai Walaiiii Jasi Jhorii Hai Wasay Bhikariii Jasa Data Haii Wasay Sawaliii Jasi Jhorii Hai Wasay Bhikariii Jasa Data Haii Wasay Sawaliii Maii Gada Hoon Magar Kiskay Darr Kaaaaaaa Wo Jo Sultanai Kono Makaa Haiiiii Mai Gada Hoon Magar Kiskay Darr Kaaaaaaa Wo Jo Sultanai Kono Makaa Haiiiiiii Ye Golamii Bariii Mustanak Haiii Ye Golamii Bariii Mustanak Haiii Meraii Sar Par Haii Taje Bilaliii Ye Golamii Bariii Mustanak Haiii Meraii Sar ...

Jab Gunmbaday Khuzra Pae Woh Pehli Nazar Gae

Jab gunmbaday Khuzra pae woh pehli nazar gae, Ankhon k rastay meray dil main utar gae, sir hum tha lab thay khamosh thay ankhain thi ashkbar ik saate baydar thi jo ke ghur gae Ankhon k rastay meray dil main utar gae, main barish-e-karam main naha sa gaya udhar woh barish-e-karam meray dama ko bhar gae dil bhi hai shad shad tabiayt hai pur bahar lagta hai aj meri madinay khabar gae ho na ho aj kuch mera zikr huzoor main hua warna meri taraf khushi dekh k muskurai kyun taiba se lautna kisi ashiq se poochiye aisa hai jaisay rooh badan se guzar gae  

Gar Talab Sey Kuch Masewa Chahey

Gar Talab Sey Kuch Masewa Chahey Un Ka Daman Nahi Chorna Chahey Dil Ko Deed E Rukhey Mustafa Chahey Ainey Key Liey Aina Chahey Hath Mey Daman E Mustafa Aa Giya Eik Gunahgar Ko Aur Kia Chahey Ley Chalo Aab Madine Ko Jaga Karo Mujh Ko Taiba Ki Abo hawa Chaey Gar Talab Sey Bhe Kuch Masewa Chahey Un ka Daman Nahi Chorna Chahey Tum Miley To Do alam Ki Dolat Mile Is Sey Barh Kar Humey Aur Kia Chahey Nematain Dono Alam Ki Dey Kar Mujhy Pochty Hein Bata Aur Kia Chahey Samny Sarware Do jahan Aa Gay Hashr Mey Aur Bismil Ko Kia Chahey Gar Talab Sey Bhe Kuch Masewa Chahey Un Ka Daman Nahi Chorna Chahey  

Apni Atta Ka Haq Ney Ye manzar Dekha Diya

Apni Atta Ka Haq Ney Ye manzar Dekha Diya Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya Kohey Shahe Arab ka Bana Kar Mujhy Faqeer Shahe Ka Martaba Mery Dil Sey Ghata Diya Esa Karim Esa Sakhi Aur Kon Hey Mangta Jo Aya Mangny Sultan Bana Diya Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya Pohncha Diya Khuda Ney Dare Shah Par Humy Allah Ney Ye Naat Ka Acha Sila Diya Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya Hum Sey Ziada Kon Hey Dunia Mey Khush Naseeb Hum Ko Khuda Ney Un Ka Sana Khawan bana Diya Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya Rashke Falaq hey Mery Muqadar Ki Rifatein Mujh Ko Ghulam un Ka Khuda Ney Bana Diya Ankho Mey Bas Giya Hey Jamale Khuda Riaz Deedar Jab sey Un ka Khuda Ney Kara Diya Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya  

Allah ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho

Allah ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho Qalb Ko Us Ki Royet ki Hey Arzoo Jis ka Jalwa Hey Alam Hey Har Char Soo Balky Khud Nafs Mey Hey Wo Subhana Ho Arsh Par Hey Magar Arsh Par Hey Magar Arsh Ko Justajo Allah Ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho Arsh O Farsh O Zaman O Dehaq Aey Khuda Jis Taraf Dekhta Hoon Hey Jalwa Tera Zary Zary Ki Ankhon Mey Tu He Ziya Qatry Qatry Ki Tu He Tu Hey Abroo Allah Ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho Tu Kise jaan ki Aur Harja Hey Tu Tu Munaza Muqam Sey Mubala Rasool Ilmo Qudrat Sey Har Jaah He Tu Ku Ba Ku Tery Jalway Hein Har Har Jaga Aey Haku Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Naghma San Jany Gulshan Mey Charcha Tera Jab Chay Zikry Haq Key Hein Subho Masan Apni Apni Chahat Apni Apni Sada Sab Ka Matlab Hey Wahid Key Wahid Hey Tu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Ta...

Aaya Hai Bulawa Mujhay Darbar-e-Nabi Se

pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi se (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat tohfa ye mila hai sarkar-e-Nabi se ayaa hai bulawa mujhe darbare-Nabi se darbare-Nabi se bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-Nabi se ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se darbare-Nabi se irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar ye pooch le aake koi beemar-e-Nabi se aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se darbar-e-Nabi se pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi se aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se darbar-e-Nabi se pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi se aaya hai bulawa muj...

Agar Koi Apna Bahla Bhahta Hai

Agar koi apna bahla bhahta hai Usey chahi jiskpo, KHuda chahta hai Durood un pe bejo salaam un pe bejo Yahi momino se, Khuda chahta hai Khuda ki raza, Mustafa chahtey hai Khuda Mustafa ki, raza chahta hai Faqiron ke malja, yeh mangta tumhara Madine mein thori, silja chahta hai Sana khwan banaya, sana go banaya Sahi dum se tu, aur kya chahta hai Agar koi apna bhala chahta hai Usey chahi jisko, Khuda chahta hai  

Sarwar Kahoon Ke Maalik-o Mawlaa Kahoon Tujhe

Sarwar kahoon ke Maalik-o Mawlaa kahoon tujhe Baaghe Khaleel kaa gul-e zaybaa kahoon tujhe Hirmaan naseeb hoon tujhe ummeed gah kahoon Jaane muraado kaane tamanna kahoon tujhe Gulzaar-e Quds ka gul-e rangeen adaa kahoon Darmaan-e dard-e bulbul-e shaydaa kahoon tujhe Subhe watan pe shaam-e gareeban ko doon sharaf Bekas nawaaz gesu-on waalaa kahoon tujhe Allah re! tere jisme munawwar ki taabishen Ay jaan-e jaan main jaane tajalla kahoon tujhe Mujrim hoon apne afwa ka saamaan karoon shahaa, Yaanee Shafee-e- roz-e jazaa ka kahoon tujhe! Is murdah dil ko muzda Hayaat-e abad ka doon Taab-o tawaan-e jaan-e Maseeha kahoon tujhe Tere to wasf ayb-e tanaahee se hain baree Hayraan hoon mere shaah main kya kya kahoon tujhe Keh legi sab kuch unke sanaa khwaan ki khaamoshee Chup ho rahaa he keh ke main k...

Arsh Ka Dulha Aaya Hai

A’alam Mein Baraat Rachi Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Jugmug Jugmug Duniya Saji Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Arsh Se Utra Noor Khuda Ka Noor Badamaan Saari Duniya Inki Zia Se Ye Chamki Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Kufur Ki Boo Kafoor Hui Hai Shah-e-Dinaa Ki Aamad Se Khushboo-e-Iman Pehli Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Khushiyon Ke Fuwaaray Ublay Kaysi Masti Chayi Hai Ghar Ghar Mein Shaadi Utri Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Nikhre Nikhre Gulshan Saaray Rung Ajab Hain Phoolon Ke Daali Daali Youn Mehki Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Hoor-O-Ghilmaan Saaray Malaik Jinn-O-Insaan Taab’ay Hain Donoo A’alam Par Shahi Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Farsh Pe Chamka Arsh Ka Taara Amina Bi Ke Ghar Utra Do A’alam Mein Dhoom Machi Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Ma’iraj Ki Manzil Pe Ujaagar Tanha Fayiz Sarwar Hain Baraati Har Aik...