Falak ke naazaro, zameen ki bahaaro Sub Eidein manao Huzoor agaye hain Uttho bay saharo chalo gham ke maaro khabar ye sunao Huzoor agaye hain Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain Anokha niraala Woh zee shaan ayaa Woh saray Rasoolaun ka Sultan ayaa Aray kaj kula’ho aray baadshaho Nigahein jhukao Huzoor agaye hain Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain Huwaa char su Rahmataun ka ba’sayra Ujaala ujaala’ sawera, sawera Halima (radi Allahu ‘anha) ko pohnchi khabar Aaminah (Radi Allahu ‘anha) ki Mere ghar main aao, Huzoor agaye hain Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain Hawaun mein jazbaat hain Marhaba ke Fazaun mein naghmaat Salle’Alla ke Daroodaun ke gajrey, Salamaun ke tohfay Ghulamo sajaao, Huzoor agaye hain Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain Sama hai sana ...
Mujhe Dar pay phir bulana, Madani Madine Wale Mae ishq bhi pilana, Madani Madine Wale Meri aankh me samana, Madani Madine Wale Banay dil Tera thikana, Madani Madine Wale Teri jab ke deed hogi, jabhi meri eid hogi Mere Khwaab me Tum ana, Madani Madine Wale Mujhe sab sata rahe hain, mera dil dukha rahe hain Tumhi hausla badhana, Madani Madine Wale Mere sab azeez chootay, mere yaar bhi to roothay Kaheen Tum na rooth jana, Madani Madine Wale Mai agar chay hoon kamina, Tera hoon Shahe Madina Mujhe seenay se lagana, Madani Madine Wale Tere Dar se Shaha behtar, Tere aastaan say badhkar Hai bhala koee thikana, Madani Madine Wale Tera Tujh se hoon sawali, Shaha phairna na khali Mujhe Apna Tum banana, Madani Madine Wale Yeh mareez mar raha hai, Tere haath me Shafa hai Ai Tabeeb jald aana, Madani Mad...
Dil may kissi ko aur basaaya na jaey ga Zikr-e-RASUL-e-Paak bhulaaya na jaey ga WO khud he jaan lain gay, jataaya na jaey ga Hum say tou apna haal sunaaya na jaey ga Hum ko jazaa millay gee MUHAMMAD (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) say Ishq ki Dozakh kay aas paas bhi laaya na jaey ga Kehtay thay yay Bilal(radi Allahu ‘anhu), tashadud pay kufr kay Ishq-e-NABI tou dil say nikaala na jaey ga Bayshak Huzuur Shafa-e-Mehshar hain Munkiroun kya Un ka saamnay Tumhay laaya na jaey ga Maanay ga UN ki baat, KHUDA hashr may Naseer Bin MUSTAFA KHUDA ko manaaya na jaey ga
qadam qadam pe Khuda ki madad pohanchti hai durood se mere dil ko rasad pohanchti hai ye aasmaan bhi wahan tak nahi pohanch sakta jahan tak aap k qadmon ki hadd pohanchti hai sir apna paaye risalat ma’aab per rakh doon to aasmaan pe bulandi-e-qadd pohanchti hai juloos-e-ishq-e-nabi ka ho jis taraf se guzar mere junoon ko bhi lay kar khirad pohanchti hai durood ka dia jata hai jub sawab mujhe bahisht tak meri do guz lahad pohanchti hai salaam-o-naat muzaffar yahan mein parhta hoon qubooliat ki haram se sanad pohanchti hai.
Agar Koi Apna Bhala Chahta Hei Usay chahay jisko, Khuda chahta hei sallallahu `alayhi wa sallam sallallahu `alayhi wa sallam Durood un pe bhejo, salaam un pey bhejo Khuda ki kasam yeh khuda chahta hai. sallallahu `alayhi wa sallam sallallahu `alayhi wa sallam. Khuda ki raza, Mustafa chahtey hain, Khuda Mustafa ki, raza chahta hai. sallallahu `alayhi wa sallam sallallahu `alayhi wa sallam. Fakiroon kay malja, yeh mangta tumhara Madinay main thori sija chahta hei. sallallahu `alayhi wa sallam sallallahu `alayhi wa sallam. Banaley mujhey apna mehman Aaqa Yeh har aik shaho ghada chahta hai. sallallahu `alayhi wa sallam sallallahu `alayhi wa sallam. Karey khuld hasil Habib e Khuda ka, Jo insaan kurbe Khuda chahta hai sallallahu `alayhi wa sallam sallallahu `alayhi wa sallam. Agar koi apna bhala...
Dar pe bulawo makki madni, Bigri banawo makki madni, Deed teri hai, eid meri Deed karawo makki madni, Dar pe bulawo makki madni Mehshar me ho lab pe mere “‘Mujh ko bachawo makki madni” Dar pe bulawo makki madni Apne nawason ke sadqe Dukhre mitawo makki madni, Dar pe bulawo makki madni Gumbad-e-Khazra ke saaye taleh Mujh ko sulawo makki madni, Dar pe bulawo makki madni Mangta hu(n) me sawaali hoon, Ishq-e-Nabi ka pujaari hu(n), Thokaren khaata hu(n) dar dar ki, Dar pe bulawo makki madni, Bigri banawo makki madni Har saas me Madinah he, muskhkil ab mera jeena he, Dil mein tamanna hai Tayba ki, Dar pe bulawo makki madni, Bigri banawo makki madni Barso(n) say akhiya tarsi, Jalwa dikhawo makki madni, Dar pe bulawo makki madni Asdi gunaho me dooba huwa he Jaisa he nibhawo makki...
Hammay apna Woh (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kehtey hain, Muhabbat ho tou aise ho Hammay nazrou may rakhtey hain, Inaayat ho tou aise ho Woh (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) pathar maarne waalo ko detay hain dua aksar Koi lao misaal aise, sharaafat hou tou aise ho Ishaara jab Woh (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) famaey, tou pathar bol uthtay hain Nabuwwat ho tou aise ho, Risaalat hou tou aise ho Wahaaa mujrim ko milti hain pahaei bhi jazaein bhi Madiney may jo lagti hay, adalat ho tou aise ho Maire Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki wilaadat per huwey sab ko ata detey Issey milaad kehtey hain, wilaadat ho tou aise ho Namaz-e-Asr ko qurbaan ker kay Un (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)) ki hasti per Ali Maula (radi Allahu ‘anhu) ne batlaaya, ibaadat ho ...