Jo ho chuka hai jo hoga, huzoor jante hain Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain Khuda ko dekha nahin aur eik maan liya Ke jantay thay sahaba, huzoor jantay hein Munafiqoon ka aqeeda woh gaibdaan nahin Aur sahabiyoon ka aqeeda, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jantay hain Aie ilm e ghaib kay munkir Khuda ko dekha hai? Aur tujhay bhi kehna padega, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain Khabar bhi hai? ke khabar sabki hai unhein kab say Ke jab na ab tha na kab tha, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain Kai unke haath mein kya kya tujhe khabar na mujhe Khuda nay kitna nawaza, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain Woh mominoon ki to janoon say bhi kareeb huye Kahan say kisnay pukara, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa salla...
Gali hondi Madine di Turran da taan mazaa awnda Je baagh honde kajjhian de Phirran da taan mazaa awnda Eh seena Jaali naal honda Sabz Gumbad di chaan hondi Assan muddatan de sarreyaan noon Tharran da taan mazaa awnda Kadi je deed mil jawndi Ohde mazaagh Nainaan di Main dubda roz chup kar ke Tarran da taan mazaa awnda Eh kund walail Zulfa da Hatta chadde je Mukhre ton Deedar-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) yaaro Karann da taan mazza awnda Gali hondi Madine di Turran da taan mazaa awnda Je baagh honde kajjhian de Phirran da taan mazaa awnda
Firaaq-e-Madinah mein dil ghamzada hai, Jigar tukray tukray hua ja raha hai. Chura kar Madinah mera chain cheena, Bata nafs-e-zalim tujhe kia mila hai. Meri aankh se cheena taiba ka manzar, Yeh kis baat ka tu ne badla lia hai. Sikhaya hai phir yeh muqaddar ne mujh ko, Na shikwa kisi se na koi gila hai. Rahoon bus isi ghum mein bay chain sarwar, Muqaddar ne jo daagh-e-furqat dia hai. Muqaddar se jis ja rahoon per shaha ho, Nazar mein Madinah meri iltija hai. Mere dil kay armaan rahe dil hi dil mein, Yehi ghum mere dil ko tarpa raha hai. Sukoon tha mujhe Koocha-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mein, Watan mein mera sub sukoon lut gaya hai. Na dunya ki fikrain na ghum tha wahan per, Yahan aa kar dil aafaton mein phansa hai. Na chootay mere haath se un ka daaman, Jiyun jab talak...
Eik ajab lutf is tarah jeene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Maut aaye dihaar-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mein mujhe Bas yehi eik armaan seene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Eik ajab lutf is tarah jeene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Jis se sharmaaye khushboo-e-baagh-e-janna Woh mehek rooh-e-parwar paseene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Eik ajab lutf is tarah jeene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Chahta hoon jo Naazir madawa-e-gham Woh Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki mubarak kareemi mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Eik ajab lutf is tarah jeene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai
Charche hain yehi ghar ghar, Eidon ki hai eid aayi, Aaye hain Nabi Sarwar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Eidon ki hai eid aayi, Kiya koonch hawaaon ne, Di khabar fizaaon ne, Badle hai sabhi manzar, Eidon ki hai eid aayi, Charche hain yehi ghar ghar, Eidon ki hai eid aayi, Aaye hain Nabi Sarwar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Eidon ki hai eid aayi, Kaha baagh bahaaron ne, Sayyaar sitaaron ne, Kehte hain hain shams-o-qamar, Eidon ki eid aayi, Charche hain yehi ghar ghar, Eidon ki hai eid aayi, Aaye hain Nabi Sarwar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Eidon ki hai eid aayi, Rahmat ka phera huwa, Sab door andhera huwa, Gayi raat aur aayi sahar, Eidon ki eid aayi, Charche hain yehi ghar ghar, Eidon ki hai eid aayi, Aaye hain Nabi Sarwar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), E...
Do jahaan ke Wali (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka do jahaan pe saya hai Unko to Khuda ne Unki marzi se banaya hai Noori noori talwe hai, kaise pyare jalwe hai Chand Unke jalwo ki bheek lene aaya hai Barkato ki raile hai, nooriyo ki mele hai Haleema (radi Allahu ‘anha) teri kotya me Kaun muskuraya hai Toor par kaha Rabb ne, Lan Taraani Musa Lekin mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko, (Rabb ne) arsh par bulaya hai Nabiyo ne salami di, waliyo ne ghulami ki Sar pe Unke Khaaliq ne taaj woh saja hai Mauj mein jab Aate hain, Woh taajwar banate hain Sab pe hai karam Nasir, apna ya paraya hai Wa d-Duha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Chehra hai, Taha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Sehra hai Unke muskurane se zamana jagmagaya hai Do jahaan ke Wali (sal...
Dil dard se bismil ki tarha laut raha ho Seene pe tasalli ko tera haath dharaa ho Gar waqt-e-ajal sar teri chaukhat pe jhuka ho Jitni ho qazaa ek hi sajde mein adaa ho Tum zaat-e-khuda se na judaa ho na khuda ho Allah ko maaloom hai kya jaaniye kya ho Yeh kyun kahuun mujh ko yeh ataa ho yeh ataa ho Woh do ke hameshaa mere ghar bhar ka bhalaa ho Aata hai faqeeron pe unhi pyaar kuch aisa Khud bheek dein aur khud kahe mangta ka bhalaa ho Mangta to hai mangta koi shaahon mein dikhaade Jisko mere Sarkaar se tukraa na mila ho Mitti na hoo barbaad passe marde ilaahi Jab khaak urey meri Madine ki hawaa ho Dekha unhe mehshar mein to rahmat ne pukaaraa Aazad hai jo aap ke daaman se bandha ho Dhoonda hi karein sadr-e-qayaamat ke sipaahi Woh kis ko mile jo tere daaman mein chupa ho Shaabaash Hassan au...
Dare nabi par para rahoon ga, parre hi rehne se kaam hoga Kabhi to qismat khule gi meri, kabhi to mera salam hoga Khilafe maashooq kuch huwa hai, na koi aashiq se kaam hoga Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil, jidhar woh aali maqam hoga Kiye hi jaoon ga arz matlab, milega jab tak na dil ka matlab Na shaam e matlab ki subha hogi, na yeh fasana tamam hoga Jo dil se hai ma’il-e-payambar, yeh is ki pehchan hai muqarrar Ke har dam is be nawa ke lab par, durood hoga salam hoga Isi tawaqqo pe ji raha hoon, yehi tamanna jila rahi hai Nigahe lutfo karam na hogi, to mujh ko jeena haram hoga Dare nabi par para rahoon ga, parre hi rehne se kaam hoga Kabhi to qismat khule gi meri, kabhi to mera salam hoga
Dard e Dil Chahiye Chashm e Tar Chahiye Mujh Ko Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ki Pyaari Nazar Chaahiye Hai Munawwar Ziya Sey Yeh Saara Jahan Sab Key Dil Ki Haqeeqat Hai Unpar ‘Ayaan Merey Dil Ki Tamanna Hai Jaan e Jahan Noor Ki Eyk Kiran Ab Idhar Chaahiye Sarwarey Do Jahan Ka Hai Behad Karam Zaatey Waala Sey Qaayim Hai Mera Bharam Mujh Ko Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Dikhaatey Ho Apna Haram Aap Ki Deed Ko Chashm e Tar Chaahiye Khud Khudaa Ney Banaaya Hai Tum Ko Habeeb Aur Uss Ney Banaaya Hai Tum Ko Tabeeb Marz e ‘Isyaan Sey Ab To Shifa Ho Naseeb Sunnaton Par ‘Amal ‘Umr Bhar Chaahiye Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Mujh Pey Ho Eyk Karam Ki Nazar Baar e ‘Isyaan Sey Ab To Jhuki Hai Kamar Koi Husn e ‘Amal To Nahin Hai Magar Mujh Ko Bakhshish Ka Zaad e S...
Arshe Haq he musnade rif’at Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki Dekhni he Hashr me Izzat Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki Qabr me lehrayenge tha Hasr chashme noor ke Jalwah farma hogi jab tal’at Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki Kaafiro Par Taighe Waala Se Giri Bakre Ghazab Abr-Aasa Cha Gayi Haibat Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ki Laa Wa Rabbil Arsh jisko jo mila Unse mila Bat’ti he Kownain me ne’mat Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki Wo Jahannum me gaya jo Unse mustaghni huwa Hai Khalleelullah ko haajat Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki Sooraj ulte paaw palte chaand ishaare se ho chaak Andhe Najdi dekhle Qudrat Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki Tujhse aur Jan...
Aap ke Darbar se khali gaya koi nahi Hain sakhi lakhon yahaan par Aap (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) sa koi nahin Aap ke dohar mein dono jahaan ki nematein Aap ke lutf-o-karam ki intihaa koi nahin Jab liya Naam-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mushkilein hall ho gayin Kaun kehta hai ke Tere Naam ka assar nahin Aye Darbar Dar-e-Yaar-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aasiyo Aitaraf-e-jurm karlo to sazzaa koi nahin Aap ke hote hue main kyun musibat mein rahon Kya kaheinge log ke mushkil kusha koi nahin Kaun buje aye Niyazi dard-e-dil ka majira Hub-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai humara aasraa koi nahin Aap ke Darbar se khali gaya koi nahi Hain sakhi lakhon yahaan par Aap sa koi nahin
Aaj Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aye moray ghar Salli ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar Ankhon mein maazagh ka surma Sar par taaj Warafa’na ka Husn-e-mujassam Allahu akbar Subh-e-azzal hai Mukhra un ka Shaam-e-awad hai Zulf ka saya Unse hua har qalb munawwar Mehndi lagaon ghar ko sajaon Main angan mein naachon gaaon Tann mann waaron Unke Charan par Aao sakhio mill kar gayein Apne Piya ka jashn manayein Salli ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar Rim jhim barse noor ki barkha Aaya hai mi’raj ka Dulha Dharti aur aakaash se behtar Dosh pe youn Gesu lehraye Bheeni bheeni khusboo aye Rang-o-nighat saara manzar Amina Bi ka Raaj Dulara Kitna anokha kitna pyaara Chaand uttar aaya hai zameen par Ban ke shab-e-miraaj mein Dulha Pohnche jab aflaak pe Aaqa (salla Llahu ...