Share This Post

Urdu Lyric

Iss Karam Ka Karoon Shukr-e-Kaysay Adaa

Iss karam ka karoon shukr-e-kaysay adaa,
Jo karam mujh pay mayray Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) nay kiyaa,
May sajaata tha sarkaar-e-ki mehfilain,
Mujhko har gham say Rabb nay baree kar diyaa.

Lamha lamha hay mujh par nabi ki ataa,
Dosto aur maangoo may maula say kya,
Kya yay kam hay kay mayray khuda nay mujhay,
Apnay mehboob ka ummati kar diyaa.

Jo bhi aaya hay mehfil main sarkaar ki,
Haazari mil gaee jiss ko darbaar-e-ki,
Koee Siddeeq-e-farooq, usmaan huway,
Aur kissee ko nabi nay ali kar diya

Zikr-e-sarkaar ki hay bhari barkatain,
Mil gaee raahatain, azmatain rif’atain,
May gunahgaar tha, bay amal tha magar,
Mustafa nay mujhay jannati kar diyaa.

Mayray shaahay madina ki kya baat hay,
Un ki dar say millee sab ko khairaat hay,
Sadqay jaaon nay-yaazi main lajpaal kay,
Har gadaa ko sakheenay sakhee kar diya

 

Share This Post

Leave a Reply