Ya Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ataa ho phir izn haazri ka
Karloon nazaara aakar phir aap ki gali ka
Ik baar phir dekhaado Ramzaan mein Madina
Beshak banalo Aaqa mehmaan do ghari ka
Rota huwa phiraa-oon daaghe jigar dekhaa-oon
Afsana bhi sunaa-oon main apni be-kasi ka
Phir sabz, sabz gumbad ki dekhloon bahaarein
Ab izn dedo Aaqa phir mujhko haazri ka
Ya Mustafa gunaahon ki aadate nikal jaa-en
Jazbah mujhe ata ho sunnat ki payrwi ka
Allah hubbe duniya se tu mujhe bachana
Saa-il hoon Ya Khuda main Ishqe Muhammadi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka
Imaan pe Rabbe rahmat dede tu istiqamat
Dede hoon waasta main tujhko tere Nabi ka
Ulfat ki bheek dedo deta hoon waasta main
Siddeeq ka, Umar ka, Usmaan ka, Ali ka
Duniya ke taajdaaron tumse mujhe gharaz kiya
Mangta hoon main tu mangta Sarkaar ki gali ka
Meezaan pe sab khare hain aamaal tul rahe hain
Rakhlo bharam Khudaara Attaare qaadri ka
Rakhlo bharam Khudaara apne Saifi ka
Ya Mustafa ataa ho phir izn haazri ka
Karloon nazaara aakar phir aap ki gali ka