Islamic Lyrics

Teray rowzay they aawan mey, Madinay wich rehn waleya

Teray  (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) rowzay they aawan mey, Madinay wich rehn waleya jali aakhiyan naal lawan mey, Madinay wich rehn waleya wich qabr dey aaja lagiyan towd nibhaa jana tera ummati sada waan mey, Madinay wich rehn waleya jad waqt naza howey, bas Teri nigha howey tera ummati sada waan mey, Madinay wich rehn waleya Sadqah Shaane kareemi da bharam rakhna Naeemi da Teriyan ne’matan sanawaan mey, Madinay wich rehn waleya Sadqah Shaane kareemi da bharam rakhna ham sab ka Teriyan ne’matan sunandey rawa, Madinay wich rehn waleya  

Do Jahaan Ke Waali Ka

Do jahaan ke waali (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka do jahaan pe saya hea Un ko to khuda ne un ki marzi se banaya hea Noori noori jalwe hean keise pyaare jalwe hean Chaand un ke jalwon ki bheek lene aaya hea Waduha ka chehra hea taaha ka sehra hea Un ke muskurane se zamana jagmagaya hea Toor pe kaha rab ne lantarani musa ko Lekin mere aaqa ko arsh pe bulaya hea Nabiyon ne salami di valiyon ne ghulami ki Sar pe un ke khaaliq ne taaj wo sajaya hea Lete hean dua’en wo karte hean jafa’en wo Seene se laga’en uss ko jiss ne bhi sitaya hea Barkaton ke rele hean nooyon ke mele hean Haleema teri kuttya mean koan muskuraya hea  

Nabiyon Nabiyon Nabiyon

yaa wajeehad deenee wal karamee wa halefal ilmee wal hikamee nabiyun nabiyun nabiyun nabi (2times) ya rasool allahee salamun alayk ya rafee’aa shanee wa darajee rasulun rasulun rasulun rasul(2 times) yaa wafeeyal ahadi wa deemaee waa hamidas sayi wa shiyami aminun aminun aminun amin(2 times) ya rasul allahee ya imdatanaa ya imaamal ambiyaa il umanaa khatimun khatimun khatimun khatimun(2 times) wal fakeedil mhadi muttarifun minhu bil lflaasi wal adami rahimun rahimun rahimun rahim(2 times) wa salaatulaahi khaaliqinaa tataghash-sha sayyidal umamee mustafa mustafa mustafa mustafa(2 times) ahmadal mukharee sayyidinaa addadal auraqi wad diyami kamilun kamilun kamilun kamil(2 times) khaira annal fadla muntaqabun min azimil fadli wal karamee karimun karimun karimun karim(2 times)  

A is for Allah

A is for Allah When you feel all alone in this world And there’s nobody to count your tears Just remember, no matter where you are Allah knows Allah knows . When you carrying a monster load And you wonder how far you can go With every step on that road that you take Allah knows Allah know CHORUS No matter what, inside or out There’s one thing of which there’s no doubt Allah knows Allah knows And whatever lies in the heavens and the earth Every star in this whole universe Allah knows Allah knows When you find that special someone Feel your whole life has barely begun You can walk on the moon, shout it to everyone Allah knows Allah knows When you gaze with love in your eyes Catch a glimpse of paradise And you see your child take the first breath of life Allah knows Allah kn...

Be khud kiye dete hain andaz hijabana

Be khud kiye dete hain andaz hijabana Aa dil mey tujhe rakh loon aey jalw ae janana Kyun aankh mila’ee thi kyun aag laga’ee thi ab rukh ko chupa beyt-hay kar kay mujhay deewanah Jis ja nazar aathay ho sajday wahi kartha hoon iss say nahi kuch matlab kaba ho ya buth khana Ji chahta hey thofay mey dey doon mey unhin ankheyn darshan ka tho darshan ho nazranay ka nazrana Mey howsh howaas apnay iss baath pey kho beyt-ha hans kar jo kaha thu nay aaya mera deewanah Duniya mey mujhay thu nay gar apana banaya hey Mehshar mey bhi keh deyna yeh hey mera deewanah Ithna to karam karna aey nargis masthana Jab jaan labo par ho tum deed kara janana Baydam meri qismath mey sajday hey isi dar key choowta hey na choowtay ga sang dar jananah Ji chahta hey thofay mey dey doon mey unhin ankheyn dars...

Mujhe Taiba mein le jao Madina yaad aya hai, Madina yaad aya hai

Mujhe Taiba mein le jao Madina yaad aya hai, Madina yaad aya hai Mere Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)  ko bulwaao Madina yaad aya hai, Madina yaad aya hai Teri mehfil sajate hai tere ham geet gaate hai Sarre mehfil chale aao Madina yaad aya hai, Madina yaad aya hai Chale hai Kafile Taiba akela chor kar mujh ko Mujhe Taiba mein ponchao Madina yaad aya hai, Madina yaad aya hai Teri furkat ne mara hai teri rehmat sahara hai kareebe maarg houn aao Madina yaad aya hai, Madina yaad aya hai Meri mayiyat ko le jaao Madina Paak mein yaaro Mujhe Taiba mein dafnaao Madina yaad aya hai, Madina yaad aya hai Hoyi hai jaan ki dushman tere Tahir ki ye duniya Isse kamli mein chupaao Madina yaad aya hai, Madina yaad aya hai Ye Tahir tera dewana teri ummat ka khadim hai Mission is ka bhi pahlaao Ma...

Mujhay ataa koii naam hoga, issi tawaqqo pay ji raha huun

Mujhay ataa koii naam hoga, issi tawaqqo pay ji raha huun Mayra bhi koii maqaam hoga, issi tawaqqo pay ji raha huun Madina e paak kay safar mayn wo marhalay aa-ayn gay yaqeenan Safar simatt kar dogaam hoga, issi tawaqqo pay ji raha huun Jahaan ghulamaan e mustafa kay hazaar haan qaafilay rukayn gay Wahaan mayra bhi qayaam hoga, issi tawaqqo pay ji raha huun Huzur ki bazm e khaas hogi huzur say arz e haal hogi Mujhay bhi izn e kalaam hoga, issi tawaqqo pay ji raha huun Huzur farma-ayn gay yay mujh say, hamayn bhi naatayn sunaaii ja-ayn Qaseedah gustar ghulaam hoga, issi tawaqqo pay ji raha huun  

Madine ki Azmath Madine ke jalwe

Madine ki Azmath Madine ke jalwe Madine ke charche Madine ka manzar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ki baatein Madine ki raatein Yahaan to rahte hain mere payambar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam Jo hai saare aalam ke Sarwar Isliye hai Taiba kitna munnawar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Kitna hai pyara pyara Madina Ise Rab ne kitna sawara Madine ki azmath ke mai sadqe jawaan Isme rahte hai mere payambar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ka wo pyara manzar Waha ke phool aur wahaan ke kankar Wahaan ka farsh aur minar-e-anwar Aur waha ka Mihrab-o-Mimbar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Na koi zar hai Na koi par hai chala bhi jaata nahi hai mujh se Phir aa’un kaise tumhare Dar par ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Gumbade Khizra ke pyare nazare Wahaan ki galiyaan wahaan ke raste Wahaan ki diwarein wahaan ke jalw...

Aqa ko pukaar bandey

Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko pukaar bandey, Aqa ko pukaar! Insha’Allah ho jaey ga tera beyra paar Kya kehna darbar Nabi ka ,uss ki shaan aali hai. Hargiz na mehroom woh lauta uss dar ka jo sawaali hai Aao chalain ham sooey madinah, chowr ke sab ghar bar. Un ke haath main kul kunji hai Rabb ne unain Mukhtar kiya Ham ko Un ka mangta banaya aur Un ko Sarkaar kiya Jo Sarkaar ke dar ka gada hai, woh khud hai mukhtar Thumma dana fatadallaa ka mansab Sarkaar ko hasil hai Puhnch na paya koi uss jah, jo sarkaar ki manzil hai Asraa ki shab uznu minni Maulaa ki thi pukaar. Aala Hazrat ne ya Rabb yeh dars hamian sikhlaya hai Jo gustakh-e-khuda ya Nabi hai apna nahi woh paraya hai Haan aisey gustakhoon par hai Khaliq ki phatkaar Kiyun ghamgeen hai tu ay sayyed dar par who bulwain ...

MAKKI MADANI

Bighari banaao Makki Madani, Dar pe bulaao Makki Madani (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Iss mey muqadas noorani, ankho ka tara Makki Madani Deed teri hai eid meri, jalwa dikhaao Makki Madani Ham hai gunaho mey dobay huway, jeysay hai nibhaao Makki Madani Mehsharr mai ho lab peh yahi,ham ko bachaao Makki Madani Tootay dilon ki daanish hai, naam Tumhara Makki Madani Sadaqah apnay nawasoun ka, dukhray mitaao Makki Madani – O one from Makkah and Madinah I am in difficulty, help solve my problems O one from Makkah and Madinah Call me to your house O one from Makkah and Madinah Your name is noble and shining with light The star of our eyes O one from Makkah and Madinah It is like Eid when I gaze upon you Bless me with your vision O one from Makkah and Madinah We are all lost in sin H...

Khuda Ki Azmateein Kya Hai Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Mustafa jaane

Khuda ki azmateein kya hai Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)Mustafa jaane Maqame Mustafa kya hai Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)Mustafa jaane Sada karna mere bas mei tha main ne to sada kar di Wo kya dei gei main kya loun ga sakhi jane gadha jane Darana mujh ko to kyoun hai azaab-e-Kabbar se wahid Wahan Sarkaar aye gei khata jane atta jane Meri mathi Madine Paak ki Ra’ah mein poncha dena Kahan le jaye ghi is ko Madine ki hawa jane Kaha Jibreal ne Sidra talak meri risaaiy hai Hai kitni manzilein aage Nabi jane Khuda jane Hamme to shurkhru hona hai Aqa ki nigahoun mein Zamane ka hai kya Nasir bura jane bala jane  

Kaabe Ke Badrudduja

Kaabe ke Badrudduja tumpe karoron Durood Taiba ke Shamsu d-Duha tum pe karoron Durood Shaafa’e Roze Jazaa tumpe karoron Durood Daafa’e jumla balaa tum pe karoron Durood Dil karo thanda mera woh kaffe paa chaand sa Seene pe rakhdo zaraa tum pe karoron Durood Aur koyee Ghayb kya tum se Nihaan ho bhalaa Jab na Khudaa hi Chupaa tum pe karoron Durood Wo Shabbe Me’raj raaj woh safe Mehshar ka Taaj Koyee bhi aisa huwa tum pe karoron Durood Kar ke tumhare Gunaah mange tumhee se Panaah Tum kaho Daaman me aa tum pe karoron Durood Tum ho Haafiz-o-Mughees kya ha woh Dushman Khabees Tum ho to phir khauf kya tum pe karoron Durood Ek taraf A’daa’e Deen ek taraf he Haasideen Banda he tanha Shaha tum pe karoron Durood Hum ne khataa me na ki tum ne ataa me ki Koyi kami sarwaraa tum pe karoron Durood