Islamic Lyrics

Sarkar ke ham diwane hain

Sarkar ke hum deewane hain sarkar ke hum kehlate hain sarkar ka sadqa peete hain sarkar ka saqda khate hain jab mauj mein woh aa jate hain bigdhi sab ki ban jati hai jab un ka karam ho jata hai bin mangton ke phir hi jate hain yeh un ki nigahein rahmat hain yeh maal-o-zar ki baat nahin bas wohi Madine jaate hain sarkar jinhein bulwate hain kya khoob suhana mausam tha jibril manadi karte the tashreef Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) latein hain tashreef Muhammad latein hain lajpaal Madine wale ke andaaz sakhawat kya kehna dunya ke shahanshah is dar par ban ban ke bhikari aate hain

Ya Mustafa ataa ho phir izn haazri ka

Ya Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ataa ho phir izn haazri ka Karloon nazaara aakar phir aap ki gali ka Ik baar phir dekhaado Ramzaan mein Madina Beshak banalo Aaqa mehmaan do ghari ka Rota huwa phiraa-oon daaghe jigar dekhaa-oon Afsana bhi sunaa-oon main apni be-kasi ka Phir sabz, sabz gumbad ki dekhloon bahaarein Ab izn dedo Aaqa phir mujhko haazri ka Ya Mustafa gunaahon ki aadate nikal jaa-en Jazbah mujhe ata ho sunnat ki payrwi ka Allah hubbe duniya se tu mujhe bachana Saa-il hoon Ya Khuda main Ishqe Muhammadi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Imaan pe Rabbe rahmat dede tu istiqamat Dede hoon waasta main tujhko tere Nabi ka Ulfat ki bheek dedo deta hoon waasta main Siddeeq ka, Umar ka, Usmaan ka, Ali ka Duniya ke taajdaaron tumse mujhe gharaz kiya Mangta hoon main ...

Tere dar ki fizaon ko salam

Ya Rasoolallah, Tere Dar Ki Fizaon Ko Salaam Gumbade Khadra Ki Thandi, Thandi Chaon Ko Salaam Walhana Jo Tawafe Rozae Anwar Karein Masto Be Khud Wajd Mein Aati Hawaon Ko Salaam Jo Madiney Ki Gali Kuchon Mein Detey Hain Sada Ta Qayamat Un Gadaon Aur Faqiron Ko Salaam Mangtey Hain Jo Wahan Shahon Gada Bey Imtiyaz Dil Ki Har Dharkan Mein Shamil Un Duaon Ko Salaam Kaa達ae, Kaa達ah Ke Khush Manzar Nazaron Par Durood Shahre Battuha Ke Daro Diwar Par Lakhon Durood Masjide Nabawi Ki Subho Aur Shamon Ko Salaam Jo Parha Karte The Ro-Ro Kar Tere Darbar Mein Pesh Karte Hain Yeh Aasi Un Salaamon Ko Salaam Ya Ilahi Sadqae Aaley Rasool Yeh Salaame Aajzaana Ho Qubool Assalatu Wassalaamu Alaika Ya Rasoolallah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Assalatu Wassalaamu Alaika Ya Habiballah

Lajpaala mereya Saiyaan

Lajpaala mereya Saiyaan Tere naal baharaan aiyaan Tera sadqa mast nazaare Tere noor to chamkan taare Tere naal ne sab roshnaiyaan Lajpaala mereya Saiyaan Tere naal baharaan aiyaan Lajpaala mereya Saiyaan Tere naal baharaan aiyaan Tu menu Sohneya rangeyaa Main jinni waar wi mangeyaa Tu khayraan jholi paiyaan Lajpaala mereya Saiyaan Tere naal baharaan aiyaan Lajpaala mereya Saiyaan Tere naal baharaan aiyaan Eho kehnde ne aashiq saare Tere warge Laal pyaare Kaddon jammdiyan ne nit maiyaan Lajpaala mereya Saiyaan Tere naal baharaan aiyaan Lajpaala mereya Saiyaan Tere naal baharaan aiyaan Kaddi turrda te kaddi rukda Chand badlaan ohle lukda Tere Mukh diyan wekh safaiyaan Lajpaala mereya Saiyaan Tere naal baharaan aiyaan Lajpaala mereya Saiyaan Tere naal baharaan aiyaan Tu kita karam Kareemaa Te...

Mere Nabi ne itna nawaza

Mere Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ne itna nawaza jhuk geya sar shukrane mein Lamha lamha guzra mera un ki yaad manane mein Tori tori peeta rahounga kab tak tere mehfil mein Mekhana hai daal de saqi aaj mere peymane mein Apni nazar ke jaam pila kar sab kay hosh urra saqi Mekharon kee bheer lagee hey aaj terey mekhanay main Barson beet gaey hein aaqa aas lagaey beta hoon Aap ka ik din aana hoga merey be kaashanay main Rabb ka hai ihsan niazi aur yeh khaas inayat hey Jeewan gariyan beet rahee hein peet kee preet nibhanay main

Tajdar e Haram

Kismat mein meri chain se jeena likhde Doobe na kabhi mera safeena likh de Jannat bhi gawara hai, magar mere liye Aye Kaatib-e-Taqdeer, Madina likhde Tajdar-e-Haram, ho Nigaah-e-Karam (x2) Hum ghareebon ke din bhi sanwar jayenge Haami-e-bekasaan, kya kahega jahan (x2) Aapke dar se khaali agar jayenge Tajdar-e-Haram, Tajdar-e-Haram Koi apna nahi gham ke maaray hain hum (x2) Aapke dar pe faryaad laaye hain hum Ho Nigah-e-karam, warna chokhat pe hum (x2) Aapka naam le le ke mar jaayenge Tajdar-e-Haram, Tajdar-e-Haram Kya tumse kahoon aye Rab ke Kunwar Tum jaanat ho mann ki battiyaan Dar-e-furqat toh aye ummi-laqab Kaate na kat ti hai ab rattiyaan Turi preet mein sudh budh sab bisri Kab tak rahegi yeh beqabri Gaahe ba-figan duzdeedah nazar Kabhi sun bhi toh lo hamri battiyaan Aapke darr se koi...

Radhitu Billahi Rabba (Arabic – Maher Zain)

Radhitu Billahi Rabba (Arabic) – Lyrics كلمات أغنية رضيت بالله ربا رضيت بالله ربا وبالاسلام دينا وبمحمد صلى الله عليه وسلم نبيا ورسولا في حماك ربي غايتي رضاك والقلب في يقين يحيا على هداك ذو الجلال في علاه ما لنا سواه هو واهب الحياة فلنبتغي رضاه القادر الحليم الغافر الرحيم إن قال كن يكون سبحانه العظيم رضيت بالله ربا وبالاسلام دينا وبمحمد صلى الله عليه وسلم نبيا ورسولا ديننا حياة ديننا عطاء والكون من ضياه يستلهم الصفاء ربنا ارتضاه لنا كامل تمام قد جاء بالسلام والخير للأنام وأنا به رضيت وبنوره هديت سأظل ما حييت أقول في دعائي رضيت بالله ربا وبالاسلام دينا وبمحمد صلى الله عليه وسلم نبيا ورسولا صلوا على النبي صلوا على النبي صلوا على النبي صلوا على النبي رضيت بالله ربا وبالاسلام دينا وبمحمد صلى الله عليه وسلم نبيا ورسولا

Tum par lakhon salaam

Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam. Sab se Aala izzat wale, Ghalba-o-qahr-o-taaqat wale Hurmat wale karamat wale tum par laakhon salaam. Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam. Aap ka chaha Rab ka chaha, Rab ka chaha Aap ka chaha Rab se aisi chahat wale tum par laakhon salaam. Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam. Arshe ula par Rab ne bulaya, apna jalwaye khaas dikhaya Rab se aisi qurbat wale tum par laakhon salaam. Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam. Rab ke pyare rajdulhre, hum hai tumhare tum ho humare Aye daamaan-e-Rehmat wale tum par laakhon salaam. Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam. Khwaab me jalwa apna dikho Noorie ko tum Noorie banao Aye chamkeeli rangat wale tum par laakhon salaam.

Aye Hasnain ke nana

Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) nazre karam farmana Aye Hasnain ke nana Zahra paak ke sadqe humko Taiba me bulana Aye Hasnain ke nana Ya Nabi nazre karam farmana Aye Hasnain ke nana Aap ke dar ka mai hu bhikari Aap hai mere daata Saare rishte naato se hai Pyaara apna naata Aap to hai aata hai jinko sabki laaj nibhana Aye Hasnain ke nana Ya Nabi nazre karam farmana Aye Hasnain ke nana Be saaya hai lekin woh Jag par hai aapka saaya Arshe moh`alla bana mohalla Deed ko Rab ne bulaya Hasr tak na hoga kisika Aisa aana jana Aye Hasnain ke nana Ya Nabi nazre karam farmana Aye Hasnain ke nana Sajh gayi hai meelad ki mehfil Kya hai khoob nazara Kaifo masti me dooba hai Dekho aalam saara Dhund rahi aap ki rehmat Bakshish ka bahaana Aye Hasnain ke nana Ya Nabi nazre karam farmana Aye Has...

Taha di shaan waliya

Taha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) di shaan waliya Arshaan te jaan waliya Shaan teri balle balle Rab vi durood galle Dushmanaan de pairan thalle Chadaraan vichhan waliya Taha di shaan waliya Arshaan te jaan waliya Kiddan sohna naam tera Uncha he maqaam tera Sacha he qhalaam tera Aayataan sunan waliya Taha di shaan waliya Arshaan te jaan waliya Charche ne aam tere Honde subho shaam tere Badshah gulam tere Qismata jagaan waleya Taha di shaan waliya Arshaan te jaan waliya Dil di aas puri huyee Door meri doori huyee Hazri Zahoori huyee Roze te bulaan waliya Taha di shaan waliya Arshaan te jaan waliya

Aye Bayabaan e Arab teri baharo ko salam

Aye Bayabaan e Arab (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) teri baharo ko salam Teri phoolo ko tere paakiza kharo ko salam Jabal e Noor o Jabal e Sor aur un ke Gaaron ko salam Noor barsate pahado ki qitaron ko salam Jhomte hai muskurate hai Mugilaan e Arab Khubsurat wadion ko regzaro ko salam Raat din rehmat barasti hai jaha par jhoom kar Un Tawaf e Kaaba ke Rangeen Nazaron ko salam Sang e Aswad Baab o Mizaab o Maqam o Multazam Aur Ghilaf e Kaaba ke rangeen nazaro ko salam Khub chume hai qadam Sor o Hira ne shah ke Maheke Maheke pyaare pyaare dono gaaron ko salam Jagmagate Gumband e Khazra pe ho roshan durood Masjid e Nabvi ke noorani minaaron ko salam Mimbar o Mehraab e Jana aur sunehri jaaliya Sabz Gumbad ke makeen ko dono pyaaro ko salam Jis qadar Jinn o Bashar me the Sahaba Shah ke Sab ...

Aqse roo e Mustafa

Aqse roo e Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se aisi zebayi mili Khil utha Rang e Chaman phoolon ko raanaayi mili Arze Taiba me muyassar aa gayi do gaz zameen Yuh hamare muntashir ajza ko yaqtayi mili Behre Ishq e Mustafa ka majra ho kya bayaan Lutf aaya dubne ka jitni gehrayi mili Chadar e Zahra ka saaya hai mere sar par Naseer Faiz e Nisbat dekhiye nisbat bhi Zahraayi mili