Akhee Sohnay nuu waye nee, Jay Tayra guzar ho way May mar kay v nae marda, jay Tayri Nazar ho way Dam dam naal ziker karaa, May Tayriyaa shaanaa daa Tayray naam tou waar dey vaa, jinni meri ummer ho way May mar kay v nae marda, jay Tayri Nazar ho way Dewaanay o baythay ravvoo, Mehfil nuu saja kay tay Shayad mayra Aaqa daa, Itthou v guzer ho way May mar kay v nae marda, jay Tayri Nazar ho way Ay ho dil wich Niyaazi day, Ikko aas charoukni ay Sohnay day Shaher ander, kittay meri kabar ho way May mar kay v nae marda, jay Tayri Nazar ho way Oodi zaat tay her waylay, Phool charan duruuda day Charcha mayray Aaqa da, her shaam-o-Saher ho way Akhee Sohnay nuu waye nee, Jay Tayra guzar ho way May mar kay v nae marda, jay Tayri Nazar ho way
Allah hi Allah mere Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) di, sab toh shaan niraali eh, sab de aayb chupaawaan waali, aaqa di zaat niraali eh, teriya ummeeda da gulshan, harya barya rehnda eh, jis din to main sabz gumbad di, wekh laayi haryaali eh, Allah hi Allah mere nabi di, sab toh shaan niraali eh, sab de aayb chupaawaan waali, aaqa di zaat niraali eh, lakh rawe koi karda bhawe, dil vich allah allah hoo, je nahi sil vich ishq nabi da, samjho o bhandha khaali eh, Allah hi Allah mere nabi di, sab toh shaan niraali eh, sab de aayb chupaawaan waali, aaqa di zaat niraali eh, us di misl misaal na koi, oo de jeya lajpaal na koi, sohniya de o dil vi rehde, koojea da wee o saaiin eh, Allah hi Allah mere nabi di, sab toh shaan niraali eh, sab de aayb chupaawaan waali, aaqa di zaat niraali e...
ab kahan jaon tarap ke dil ki yeh khwahish nikaal ae madine ki zameen meri bhi gunjaish nikaal ae rahe ishq e Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kar ke fanah tak rahbari mujh se aasi ki bhi koi soorat e bakhshish nikaal aye fiza taiba ki mere gird halqa khench kar mu’dat e umr e rawan se arsa e gardish nikaal bargah e Mustafa mein dil se yeh aai sada aaj ki taareekh se taareekh e paidaish nikaal pesh kar de na qamar sarmaya e naat e nabi hashr mein jab hukm ho ga nama e pursish nikaal
aankhon ko woh pur kaif nazare nahin bhule woh din jo madine mein guzare nahin bhule bechain hai ik baar uthe phir wohi ungli mohtaab ko aqa ke ishare nahin bhule ghir jaon main ji chahe mera phir se bhanwar mein aqa ne diye the jo sahare nahin bhule islam ke gulshan ko bachaya tha jinhon ne karbal ko woh zahra ke dulare nahin bhule Taiba ki haseen raat mein faarooqi humari taqdeer ke chamke jo sitare nahin bhule
jab gumbad-e-khazra ke anwaar nazar aye anwaar ke jhurmat mein sarkar nazar aye taiba ke tasawwur ne jeene ka maza bakhsha main kaise kahoon jeena dushwaar nazar aye naghmat daroodon ke honton pe hue jaari jab shehr-e-muhabbat ke aasar nazar aye makke se madine tak mehdood nahi jalwe ushaak ko har janib sarkar nazar aye aankhein meri roshan ho jayein jigar thanda jis waqt mujhe mera manthar nazar aye
dil di tasbih utte bandeya Allah Allah karda ro uthdeyan baindeya chaldeyan phirdeyan dam ohda hi barda ro har ik da oh palan wale har ik da oh sahara ae auhdiyan ne ae qul tajalliyan ohda chanan sara ae shae rag ton wi nerhe hai au qaul quran da pyaara ae shaam saware khulla rehnda auhda paak dawara ae sache rab de wekh kamal rehnada ae har wele tere naal sar ton dukh denda ae taal kar ke munh apna qibla ru karda ro Allah Allah hu dil di tasbih utte bandeya allah allah karda ro alif Allah chambe di booti murshid man wich lai hu nafi ithbat da pani mileya har rage har jaye hu andar booti mushk machaya jaan phullan te ai hu jiwe murshid kamil bahu je ae booti lai hu sache rab de wekh kamal rehnada ae har wele tere naal sar ton dukh denda ae taal kar ke munh apna qibla ru karda ro allah alla...
Hai dil mein ishq-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka jalwa. Nazar mein Murshid samaa rahe hain. Hamaare Murshid hamaare aangan Mein aaj tashreef laa rahe hain. Hamare Murshid ke sab sawali Koi gaya aaj tak na khaali Gadda nawazi ki shaan yeh hai Ke sab ki bighri bana rahe hain Hai dil mein ishq-e-Nabi ka jalwa Nazar mein Murshid samaa rahe hain Hamaare Murshid hamaare aangan Mein aaj tashreef laa rahe hain Zaroor faiz-e-karam milega Zaroor dil ka chamman khilega Hum apne Murshid ki aaj Mehfil sajja rahe hain. Hai dil mein ishq-e-Nabi ka jalwa Nazar mein Murshid samaa rahe hain Hamaare Murshid hamaare aangan Mein aaj tashreef laa rahe hain Hai Unke sar par Ali ka Saya Nabi ne hind ul wali banaya Jahaan se Murshid hamaare guzre Woh raaste jagmaga rahe hain Hai dil mein ishq-e-Na...
Mere aqa dete hain jholi sab ki bhar te hain jis ne manga us ne paya mere Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) dete hain Mangte khali haath na lotein kitni mili khairat na poocho un ka karam phir un ka karam hai un ke karam ki baat na poocho Main kya aur kya meri haqiqat yeh sab hai sarkar ki nisbat main to bura hoon lekin meri laaj hai kis ke haath na poocho Haal agar kuch apna sunaya un ke karam ka shikwa ho ga main apne halaat mein khush hoon mujh se mere halaat na poocho Akhir main bas itna kahoon ga jaag utha ashkon ka muqadar yaad-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mein rote rote kaise kati hai raat na poocho
mere Rabb kahan pe nahin hai Tu Teri shaan jalla jalalahu Teri zarre zarre mein hai namu Teri shaan jalla jalalahu Teri qudraton ka shumaar kya Teri wus’aton ka hisaab kya Tu muhit-e-aalam-e-rang-o-boo Teri shaan jalla jalalahu Tera faiz faiz-e-amim hai Tu hi mera Rabb-e-karim hai mere dil mein hai Teri aarzoo Teri shaan jalla jalalahu jisse chahe Tu woh aziz hai jisse Tu na chahe zaleel hai Tere haath zillat o aabru Teri shaan jalla jalalahu
hai itni shadeed ab to tamanna e Madina har sans se aati hai sada haaye Madina raiyan jaandeyan shehr Madine nun sarkar deya mehmano lae pegham mera wi jawin nale hanjuan da nazrana aakhin har sans se aati hai sada haaye Madina ae baad e saba pegham mora sultan e Madina ko dijo ke har sans se aati hai sada haaye madina bimaar ko ghaflat hai behosh si taari hai aur har saans se aati hai sada haaye madina kadi ave ga din ya rab jadon bat-ha nun jawan main kadi tehran main makke wich madina ghar banawan main na khwahish khuld di dil wich na hooran di talab mainu eho kaafi ae jannat tere kuche nun banawan main Madine waleya main nun wikha rasta madine da bana ke pair akhiyan nun te sir de bhaar aawan main har saans se aati hai sada haaye madina aqa mere aqa mujhe Taiba mein bula lo sone nahi d...
Sarkar ke hum deewane hain sarkar ke hum kehlate hain sarkar ka sadqa peete hain sarkar ka saqda khate hain jab mauj mein woh aa jate hain bigdhi sab ki ban jati hai jab un ka karam ho jata hai bin mangton ke phir hi jate hain yeh un ki nigahein rahmat hain yeh maal-o-zar ki baat nahin bas wohi Madine jaate hain sarkar jinhein bulwate hain kya khoob suhana mausam tha jibril manadi karte the tashreef Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) latein hain tashreef Muhammad latein hain lajpaal Madine wale ke andaaz sakhawat kya kehna dunya ke shahanshah is dar par ban ban ke bhikari aate hain
Ya Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ataa ho phir izn haazri ka Karloon nazaara aakar phir aap ki gali ka Ik baar phir dekhaado Ramzaan mein Madina Beshak banalo Aaqa mehmaan do ghari ka Rota huwa phiraa-oon daaghe jigar dekhaa-oon Afsana bhi sunaa-oon main apni be-kasi ka Phir sabz, sabz gumbad ki dekhloon bahaarein Ab izn dedo Aaqa phir mujhko haazri ka Ya Mustafa gunaahon ki aadate nikal jaa-en Jazbah mujhe ata ho sunnat ki payrwi ka Allah hubbe duniya se tu mujhe bachana Saa-il hoon Ya Khuda main Ishqe Muhammadi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Imaan pe Rabbe rahmat dede tu istiqamat Dede hoon waasta main tujhko tere Nabi ka Ulfat ki bheek dedo deta hoon waasta main Siddeeq ka, Umar ka, Usmaan ka, Ali ka Duniya ke taajdaaron tumse mujhe gharaz kiya Mangta hoon main ...