Baithe baithe kaam saara ho gaya Sabz gumbad ka nazara ho gaya kar liya Allah ne usko pasand, jo mere Aaqa ka pyaara ho gaya Mil gaya sadqa mujhe Aaqa ka, zindagi bhar ka guzara ho gaya Naam naam-e-Mustafa salle ‘ala, besaharon ka sahara ho gaya Aap ke darbaar gohar baar se, Saare mangton ka guzara ho gaya Mohsin aasi hai yakeen yeh hashr mein woh kahenge, tu hamara ho gaya Zindagi bhar naat main parhta raha Meri bakshish ka sahaara ho gaya
ae biyaban-e-‘arab teri baharon ko salaam tere phulon ko tere pakiza kharon ko salaam jabl-e-noor o jabl-e-saur aur unke gharon ko salaam noor barsaate paharon ki qitaaron ko salaam jhoomte hain muskuratein hain mughiran-e-arab khoobsoorat wadiyon ko reg-guzaron ko salaam raat din rahmat barasti hai jahan par jhoom kar un tawaf-e-kaaba ke rangeen nazaron ko salaam jo musalman kaba ka karte hain tawaaf unke balke sare hi sajdah guzaron ko salaam sang-e-aswad baab-o-mizaan woh muqaam-e-multazam aur ghilaf-e-kaaba ke rangeen nazaron ko salaam mustajaro mustajabo bir-e-zamzam aur mataaf aur hateem-e-paak ke dono kinaron ko salaam rukn-e-shaami aur iraqi aur yamani par darood jagmagate noor barsate minaaron ko salaam khoob choomein hain qadam saur-o-hira ne shah ke mehke mehke pyaare pyaa...
Akhee Sohnay nuu waye nee, Jay Tayra guzar ho way May mar kay v nae marda, jay Tayri Nazar ho way Dam dam naal ziker karaa, May Tayriyaa shaanaa daa Tayray naam tou waar dey vaa, jinni meri ummer ho way May mar kay v nae marda, jay Tayri Nazar ho way Dewaanay o baythay ravvoo, Mehfil nuu saja kay tay Shayad mayra Aaqa daa, Itthou v guzer ho way May mar kay v nae marda, jay Tayri Nazar ho way Ay ho dil wich Niyaazi day, Ikko aas charoukni ay Sohnay day Shaher ander, kittay meri kabar ho way May mar kay v nae marda, jay Tayri Nazar ho way Oodi zaat tay her waylay, Phool charan duruuda day Charcha mayray Aaqa da, her shaam-o-Saher ho way Akhee Sohnay nuu waye nee, Jay Tayra guzar ho way May mar kay v nae marda, jay Tayri Nazar ho way
Allah hi Allah mere Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) di, sab toh shaan niraali eh, sab de aayb chupaawaan waali, aaqa di zaat niraali eh, teriya ummeeda da gulshan, harya barya rehnda eh, jis din to main sabz gumbad di, wekh laayi haryaali eh, Allah hi Allah mere nabi di, sab toh shaan niraali eh, sab de aayb chupaawaan waali, aaqa di zaat niraali eh, lakh rawe koi karda bhawe, dil vich allah allah hoo, je nahi sil vich ishq nabi da, samjho o bhandha khaali eh, Allah hi Allah mere nabi di, sab toh shaan niraali eh, sab de aayb chupaawaan waali, aaqa di zaat niraali eh, us di misl misaal na koi, oo de jeya lajpaal na koi, sohniya de o dil vi rehde, koojea da wee o saaiin eh, Allah hi Allah mere nabi di, sab toh shaan niraali eh, sab de aayb chupaawaan waali, aaqa di zaat niraali e...
ab kahan jaon tarap ke dil ki yeh khwahish nikaal ae madine ki zameen meri bhi gunjaish nikaal ae rahe ishq e Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kar ke fanah tak rahbari mujh se aasi ki bhi koi soorat e bakhshish nikaal aye fiza taiba ki mere gird halqa khench kar mu’dat e umr e rawan se arsa e gardish nikaal bargah e Mustafa mein dil se yeh aai sada aaj ki taareekh se taareekh e paidaish nikaal pesh kar de na qamar sarmaya e naat e nabi hashr mein jab hukm ho ga nama e pursish nikaal
aankhon ko woh pur kaif nazare nahin bhule woh din jo madine mein guzare nahin bhule bechain hai ik baar uthe phir wohi ungli mohtaab ko aqa ke ishare nahin bhule ghir jaon main ji chahe mera phir se bhanwar mein aqa ne diye the jo sahare nahin bhule islam ke gulshan ko bachaya tha jinhon ne karbal ko woh zahra ke dulare nahin bhule Taiba ki haseen raat mein faarooqi humari taqdeer ke chamke jo sitare nahin bhule