Us Hussain Ibne Haddar pei lakhoun salam
Kar liya nosh jis ne shahdat ka jaam
Jis ko Dhoke se Koufe bulaya geya
Jis ke bachoen ko Pyasa rulaya geya
Khanjar zulm jis par chalaya geya
Us ki kamil shahadat pei lakhoun salam
Jis ne haq Karbala ka aada kar diya
Jis ne Nana ka wa’ada wafa kar diya
Jis ne kumbe a kumba fida kar diya
Baadshah-e-sakhawat pei lahkoun salam
Jis ko ummat ka gham hi satata raha
Ashq gharoun mein jo bhi bahata raha
Jo muqaddar hamare banata raha
Us ki sab se a’al-o-ishrat pei lakhoun salam
Jis ke shohar par khanjar chalaya geya
Jis ke bethe ko khoun mein nalaya geya
Jis ki bethi ko qaadi banaya geya
Us khatoon-e-qayamat pei lakhoun salam
Samne jis ke Akbar zibaah ho geye
Goad mei jis ke Asghar tarapte rahe
Jis ko ummat ne teeroun ka tohfa diya
Us shaheed-e-Mohabbat pei lakhoun salam
Zehre khanjar bhi haq baat jis ne kahi
Choot par choot seine pei jis ne sahi
Jis ki Sugra Madine mei roti rahi
Us ki Saim shahadat pei lakhoun salam
Wo qaraar-e-dil Sarwar-e-anbiya
Jaan-e-a’alam jigar ghosha-e-murtadaa
walida jin ki hai Sayiyda Tahira (radi Allahu ‘anha)
Us nasab ki sharafat pei lakhoun salam
Dekho dekho wo ma’asome Asghar Ali
Qasim Akbar Almadad A’abaas bhi
Hazrat A’abid huru Faadaar bhi
Is mubarak jama’at pei lakhoun salam
Jab ke meedaan mei aya wo Sheer-e-Khuda
Jin ke rukh se hoye Mahe waanjam fida
Dekh kar un ke jalwe ko ye ghul macha
Is noraani surat pei lakhoun salam
Zakhm katha raha Muskurata raha
Haq ki khadir wo bache katata raha
Sabar ki ipdidaa Ishq ki intehaa
Be misaal-e-saja’at pei lakhoun salam