Share This Post

Urdu Lyric

Ghul Utha Hai Chaar Soo

Ghul utha hai chaar soo, phir Amad e Ramadaan hai
Khil uthay mur jhae dil, taza huwa Imaan hai

Ya Khuda hum aasiyaun par, yeh bada ehsaan hai
Zindagi me phir ata, hum ko kiya Ramadaan hai

Tujh pay sadqe jaoon Ramadaan! Tu Azeemush shaan hai
Ke Khuda ne tujh me hi, Nazil kiya Qur’an hai

Abre Rehmat chaa gaya hai, aur sama hai noor noor
Fazle Rab se maghfirat ka, ho gaya samaan hai

Har ghadi Rehmat bhari hai, har taraf hai Barkatein
Mah e Ramadaan Rehmataun aur Barkataun ki kaan hai

Agaya Ramadaan, Ibadat par kamar bandh lo
Faiz le lo jald ke, din tees ka mehmaan hai

Aasiyaun ki maghfirat ka, lekar aya hai paighaam
Jhoom jao mujrimo! Ramadaan me ghufraan hai

Bhaiyo Behno karlo, gunahaun se tauba ke ab
Pad gaee dozakh pay, taalay qaid me shaitaan hai

Sunnate sab jhoom kar, apnate jao bhaiyo!
Khuld ke Dar khul gae hai, dakhila asaan hai

Masjidein abaad hai, zor e gunah kam hogaya
Mah e Ramadaan ul Mubarak, ka yeh Faizaan hai

Roza daar! jhoom jao kyun Deedaar e Khuda
Khuld me hoga tumhe, yeh wada e Rahmaan hai

Do jahaan ki Ne’amatein, milti hai roza daar ko
Jo nahi rakhta hai roza wo bada nadaan hai

Ek Roza jo khaza karde, suno nau laakh saal
Wo jahannam me jalay, Sarkaar ka farmaan hai

Ya ILAHI! Tu Madine me, kabhi Ramadaan dikha day
Mud’dataun say dil me yeh, Attar ke armaan hai

 

Share This Post

Leave a Reply