Share This Post

Manqabat / Urdu Lyric

Huzoor Jaante Hain

Jo ho chuka hai jo hoga, huzoor jante hain
Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain

Khuda ko dekha nahin aur eik maan liya
Ke jantay thay sahaba, huzoor jantay hein

Munafiqoon ka aqeeda woh gaibdaan nahin
Aur sahabiyoon ka aqeeda, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jantay hain

Aie ilm e ghaib kay munkir Khuda ko dekha hai?
Aur tujhay bhi kehna padega, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain

Khabar bhi hai? ke khabar sabki hai unhein kab say
Ke jab na ab tha na kab tha, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain

Kai unke haath mein kya kya tujhe khabar na mujhe
Khuda nay kitna nawaza, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain

Woh mominoon ki to janoon say bhi kareeb huye
Kahan say kisnay pukara, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain

Isiliye to sulaya hai apne pehlu mein
Ke yaar e ghar ka rutba, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain

Umar nay tan say juda kar diya tha sar jis ka
Woh apna hai ke paraya, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)jante hain

Nabi ka faisla na maan kar woh jaan say gaya,
Mizaaj Umar (radi Allahu ‘anhu) ka hai kaisa, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain.

Wohi hai paikar e sharm o haiya o zul nuraian,
Maqaam unki haya ka, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain.

Hain jiske moula huzoor uske hain Ali moula (radi Allahu ‘anhu)
Abu Turab (radi Allahu ‘anhu)ka rutba, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain

Yeh khud shaheed hain, betay nawasay potay shaheed
Ali  (radi Allahu ‘anhu) ki shaan e yagana, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain

Main unki baat karoon yeh nahin meri auqaat,
Ke shaan e Fatima Zahra (radi Allahu ‘anha), huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain.

Jina mein kaun hain sardaar nojawanoon kay
Hasan, Hussain (radi Allahu ‘anhum) ke nana, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain

Malaika ne kiya youn to sajda Adam ko
Dar asal kis ko tha sajda, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain

Kahan marein gay Abu Jahal o Utba o Sheiba
Ke Jang e Badr ka naqsha, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain

Woh kitna fasla tha, aur kalaam tha kaisa
Aao adna aur ma aaoha, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain

Milay thay rah mein 9 bar kis liye Musa
Yeh deed e haq ka bahana, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain

Main chup khara houn Mawaja pay sar jhukaye huye
Sunaoon kaise fasana, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain

Chupa rahe hai lagatar mere aiyboon ko
Main kis qadar houn kameena, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain

Khuda hi jaanay UBAID unko hai pata kiya kiya
Hamein pata hai bus itna, huzoor jante hain

Nahi hai zaad e safar pass jin ghulamoon ke
Unhein bhi dar pe bulana, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain

Haran ne oonth ne chiryoon ne ki yehi faryaad
Ke unkay gham ka madawa, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain

Teri aata say Khudaya, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jaante hain

Nahi hai zaad e safar pass jin ghulamoon ke
Unhein bhi dar pe bulana, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain

Teri aata se Khudaya, huzoor jaante (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hain

Main unki baat karoun yeh nahin meri auqaat
Ke shaan e Fatma Zahra (radi Allahu ‘anha), huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain

Teri aata se Khudaya, huzoor jaante hain

Share This Post

Leave a Reply