Karam ke badal baras rahe hain, dilon ki kheti hari bhari hai
yeh kon aya ke zikr jinka, nagr nagr hai galli galli hai
Diye dilon ke jala ke rakha, Nabi ki mahfil saja ke rakhna
Jo rahat-e-dil sukun jaan hai, woh zikr zikr-e-Muhammadi hai
Jo gaaliyah sun ke dein duaein, barro ko apne galle lagaey
saraapa lutf-o-karam jo thahri woh mere aqa ki zindigi hai
Nabi ko apna Khuda na mano, Khuda se lekin juda na jano
Yeh Ahl-e-iman ka yeh aqida, Khuda Khuda hai Nabi Nabi hai
Main apni qismat pe kyoun na jhumoun, main kyoun na waliyon ke dar ko chumoun
Main naam-e-laiwa Mustafa ka, Khuda ke bandon se dosti hai
Hai dosh par jin ke kamli kali wohi to hain do jahan ke waali
koi sawali na bejha khali yeh shan mere karim ki hai
Na mangu dunya ke tum khazane Niyazi chalein Madine
ke badshah se bharh ke pyare Nabi ke dar ki ghadagari hai