Khaliq ne Apne Noor ka, Jalwa dikha diyaa
Sab Noor ko Mila ke Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) bana diya
Aagayi Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)ki sawaari
Apne ghar ko diyo se sajja lo
De rahe hain farishte salaami
Tum duroodo ki maala banaa lo
Aagayi Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki sawaari
Apne ghar ko diyo se sajja lo
Apne mangto ko Wo paalte hain
Wo bhala kisi ko kab taalte hain
Sadqa Hasnain-o-Ghaus-ul-Waraa ka
Ya Nabi meri jholi me daalo
Aagayi Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo se sajja lo
Kar ke Naaton se har soo charaagha
Youn manaaeynge jashn-e-bahaara
Aashiqo Aamad-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai
Deep Khushiyon ke har soo jala lo
Aagayi Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki sawaari
Apne ghar ko diyo se sajja lo
Bakht chamkenge eik din hamaare
Dekh lenge wo dilkash nazaare
Aap ko jo bhi sab se hain pyaare
Un ke sadqe mein hum ko bulaa lo
Aagayi Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo se sajja lo
Jin ke haatho mein hai Un ka daaman
Naam-e-Ahmad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai jis dil ki dhadkan
Jo hai pehchaan hum aashiqo ki
Jhoom kar Unka naara laga lo
Aagayi Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki sawaari
Apne ghar ko diyo se sajja lo
Poore ho jaenge un ke armaan
Kar rahe hain Wo bakhshish ka samaan
Jashn-e-Milaad ki barkaton se
Apne Qalbo Nazar jagmaga lo
Aagayi Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki sawaari
Apne ghar ko diyo se sajja lo
Midhat-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hi ke sadqe
Hai Moin apne sab kaam bante
Har gharri zikr ho Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka
Iss ko apna wazeefa bana lo
Aagayi Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki sawaari
Apne ghar ko diyo se sajja lo
Aagayi Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki sawaari
Apne ghar ko diyo se sajja lo
De rahe hain farishte salaami
Tum duroodo ki maala banaa lo
Aagayi Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki sawaari
Apne ghar ko diyo se sajja lo
Khaliq ne Apne Noor ka, Jalwa dikha diyaa
Sab Noor ko Mila ke Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) bana diya
mohamedferoz
Greetings of peace to you. Can you please tell me who penned this Kalaam. Jazakallah
naat-mp3
MashaAllah Amazing Effort. Keep it up bro.