Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay ishq nay jis ko haseen banaaya hay
Wohi Fareed, Wohi Data ban kay aaya hay
Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay ishq nay
Jahaa kahee bhi kadam maira dagmagaaya hay
Sahaara denay karam Aapka (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) he aaya hay
Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay ishq nay
Sata sakkay gee na humko ye garmiy-e-Mehsher
Hamaaray ser pay Habeebay KHUDA (S.A.W.W) ka saaya hay
Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay ishq nay
Issi tamanna may jeeta hoo koi ye keh day Ya RASOOLALLAH (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Challo challo tumhay Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) nay bulaaya hay
Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay ishq nay
Bura samajh kay jahaan nay jo tak diya jiss ko
Tairey (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) karam nay ussay bhi gallay lagaaya hay
Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay ishq nay
Farishtay aatay hain rehmat kay uss kay ghar jiss nay
Tumhari zikr ki mehfil say ghar sajaaya hay
Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)kay ishq nay
Jo sang kha kay bhi ta’if may muskuraaya hay
Wo koi aur nahi Aamna (radi Allahu ‘anha) ka jaaya hay
Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay ishq nay
Ghammay Habeebay KHUDA (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) nay jissay nawaaz diya
Aleem aalamay gham may bhi muskuraaya hay
Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay ishq nay jis ko haseen banaaya hay
Wohi Fareed, Wohi Data ban kay aaya hay