Archives

Jo Shehr-E-Nabi May Jaey Ga

Jo Shehr-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) may jaey ga Wo waapis kaisey aaey ga Jab bichray gaa mar jaey ga Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Dukhiyoo ka ghamkhaar wohi hay Aalam ka mukhtaar wohi hay Hay har aik baat kareenay may Aik dard rahey ga seenay may Hay jis ki jaan Madine may Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Ruumi Habshi, Misri shaami Ho jaawey Maula na jaa we koi khaaki hay ya nuuri hay kab us ko gawaara duuri hay Har aashiq ki majbuuri hay Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Sab ki aankein baras rahi hain Sab ki nazrein taras rahi hain Jo aap ka sag kehlaata hay Jo aap kay tukray khaata hay Jo dekh kay taiba ata hay Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna n...

Jagaa Do Meri Qismat Bhi

Jagaa do meri qismat bhi khudara Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Dikhado mujh ko rozah ka nazarah Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Meri duniya sanwar jaey meri ‘uqba sadhar jaey Agar ho jaey Rahmat ka isharah Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tumahara naam-e-naami hai sukoon-e-qalb ka ba’is Nazar ka noor hai rozah tumhara Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Zamanah choot jaey ruth jaey khalq to kya gham Na choote haath sey daman tumharah Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Jabeen-e-showq mas hoti hai jab rowzah ki jaali sey Chamak jata hai qismat ka sitarah Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tamana-e-Sikandar hai dam-e-aakhar Shah-e-Bat-ha Rahey wird-e-zuban kalmah tumhara ...

Jab Masjid E Nabawi Kay

Jab Masjid e Nabawi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay miinaar nazar aa-ay Allah ki rahmat kay aasaar nazar aa-ay Manzar ho bayaan kesay alfaaz nahiin miltay Jiss waqt Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka darbaar nazar aa-ay Bas yaad raha itna siinay say lagi jaali Phir yaad nahiin kya kya anwaar nazar aa-ay Dukh dard kay maaron ko gham yaad nahiin rehtay Jab saamnay aankhon kay gham-khuar nazar aa-ay Makkay ki fiza-on mayn teba ki hawa-on mayn Ham nay to jidhar daykha sarkaar nazar aa-ay Chhorr aaya zahoori meyn dil o jaan madinay mayn Ab jiina yahaan mujh ko dushwaar nazar aa-ay  

Jis Taraf Chash’me Muhammad Ke Ishaare Ho Gaye

Jis Taraf Chash’me Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Ishaare Ho Gaye Jitne Zarre Saamne Aaey, Sitaare Ho Gaye Ya Muhammad Aap Ki Nazaro(N) Ka Yeh Ijaaz Hai Jis Taraf Nazarei(N) Uthi(N), Sab Tumhaare Ho Gaye May(N) Hoo(N) Aur Yaadei(N) Madinah Aur Hai Tanhaaiyaa(N) Apne Begaane Sabhi Mujh Se Kinaare Ho Gaye Apni Kamli Ka Zara Saayaah Inaayat Ho Mujhe Dil Ke Dushman Ja, Muhammad Dil Se Pyaare Ho Gaye Sabz Ghumbad Ke Ishaare, Sagar Marhaba Jag Maga Kar Zindagi Ke Maah Paare Ho Gaye  

Jiss Ka Koii Saani Nahiin

Jiss ka koii saani nahiin wo Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hamara hai Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki azmat ka had hei na kinaara hai Jo habeeb-e-daawar hei jo makeen-e-khizra hai Sayyida (radi Allahu ‘anha) ka baba hai, Amina ka pyaara hai Aap ki hi chokhatt ke ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) bikaari hein Aap hi ke tukrron pe ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) guzaara hai Zor par ho tufaan bhi or ddagmaga-ai nayya bhi Aap gar karam kar dain to saamne kinaara hei Iss umeed par mein bhi aa kharra hun chokhatt par Wo kabhi to poochain ge kon gham ka maara hai Bhoole na niyaazi kabhi bhool kar bhi yaad-e-Nabi Un ko bhool jaana hi asal main khasaara hai  

Jitna Diya Sarkaar Ne mujh ko

Jitna diya Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ne mujh ko, utnii merii aukaat naheen Yeh to karaam hai inka warnaa, mujh mein toh aisi baat naheen Tu bhi wahi par jake jahaa par, sab kii bigaree bar’tee hai Aik terii takdeer banana, inke liye kuch baat naheen Jo hai merii jaan-o-imaan, kya mein unki nazar karun Paas meray ashko keh ilawa, aur ko’ii sow’ghaat naheen Ishq shahe bad’ha seh pehle, muflis-o-hasta haal thaa mey Naam-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) key mey qur’ban, ab woh meray haalat naheen Ghaur tuh kar Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki tujh par, kitnii haas inaayat hai Kausar tu hai inka sanahaan, Tahir tuh hai inka sanahaan, yeh ma’mulee baat naheen  

Ik Baar Madine Mein

Ik baar Madine mein, ho jaey mere jaana Phir aur na kuch maangein, sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka diwana Pal Pal mera dil tarpe, din raat kare zaaari kab aoun Madine? kab aey meri baari? kab ja ge main dekhoun ga, darbaar woh shahaana? Is aas par jiita houn, ik roz bulaey ge aur gunbad-e-khazra ka, didar karaein ge phir pesh karru gaa main, ashiqo bhara nazrana Ik baar Madine mein ho jaey mera jaana Bechain nighahon ko dedaar ‘ata kar do, Daman mera kuch owse yaa shah-e-ummam barh do Abad Khuda rakhe aaqa tera maikana Itni si tamana hai, ho jaey agar puuri jaane ko madina main, ho jaey jo manzuuri bin diide ki aey shaahan, mar jaey na diwana Ik baar Madina mein ho jaey mera jaana Phir aur na kuch maange, sarkaar ka diwaana  

Hayya ‘ala s-Salah, hayya ‘ala l-Falah

Dee Hazrath e Bilal ne Kabe se jab sada Hayya ‘ala s-Salah, hayya ‘ala l-Falah Irshade Kibriya hai yeh Farmane Mustafa Hayya ‘ala s-Salah, hayya ‘ala l-Falah Paida huwe Rasool to Rehmat baras padhi Thi Arsh se zameen talak Noor ki jhadi Daee Haleema Goud me lekar jo chal padhi Beeamar oonthni me ajab jaan padh gayee Baade saba ne jhoom ke kanaun me yoon kaha Hayya ‘ala s-Salah, hayya ‘ala l-Falah Arshe Baree par Rab ne Bulaya Huzoor ko Jibraeel aye aur Jagaya Huzoor ko Haq ki raza ka jaam peelaya Huzoor ko Chalne lage to Rab ne bataya Huzoor ko Ummat se jaake kehna yehi tohfa hai mila Hayya ‘ala s-Salah, hayya ‘ala l-Falah Islam ke Alam ko uthaya Hussain ne Baatil ke agay sar na jhukaya Hussain kya cheez hai Namaaz bataya Hussain ne Sajde me ...

Ho Gaey Bazme Jahan Mey Khwaar Ham

Ho gaey bazme jahan mey khwaar ham chahthay hai ik nazar Sarkar ham Ham buray hai ya balay jeysay bhi hai, aap key hai aey Shahe Abrar ham kasthi milath bhanwar main phans gaee, Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) uthray paar ham Ab tho qismath mey andheyrey reh gaey, roshni key thay kabhi minaar ham ley gaey kirdar ki dolath aduw, ab hai khaali saahibe gafthaar ham aasi-wo-khaathi sahi leykin Hazoor, Aap ki ulfath say hai sarshaar ham ab na khali haath lowtein Ya Nabi, ho gaey hain haazre darbaar ham Ho gaey bazme jahan mey khwaar ham chahthay hai ik nazar Sarkar ham  

Haq La ilaha illa Llah

Haq La ilaha illa Llah Aese kalme dei raaz niyazi ne Aese dubde behre tare ne Sanu daseya Habeeb pyare ne Haq La ilaha illa Llah Do laal Madine ooh aye ne Bibi Fatima dei oe jaye nei Jibriel ne goad khidaye ne Haq La ilaha illa Llah Bina zikar howe manzori na Dar baar hazoor hazoori na Bin rehbar paindi pori na Haq La ilaha illa Llah Bina tail dei diwa  balda na Bina pani oo botha phal da na Bina murshid rah lab da na Haq La ilaha illa Llah Is kalme dei harf ne chaar miyaan Jiywein chaar Nabi dei yaar miyaaan oo jine ditthi aa kufar noun haar miyaan Haq La ilaha illa Llah Niza waqt kalma naseeb kare Mera shafa’a apna Habeeb kare Meri qabbar Madine kareeb kare (AMEEN) Haq La ilaha illa Llah  

Hasbi Rabbi JallAllah

Hasbi Rabbi jalla Llah Ma fi Qalbi Ghair Allah Awwal -o- Aakhir, hai Allah Zahir -o- Batin, hai Allah Noor e Muhammad, salla Llahu La ilaha illa Allahu La ilaha illa Allahu Kisi Nay poochha keh jannat kee koi qeemat hay kia To Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) nay kaha keh La ilaha illa Allahu La ilaha illa Allahu La ilaha illa Allahu illallahu, illallah, illallahu illallah La ilaha illa Llahu Muhammad ur-Rasula Llah salla Llahu ‘alayhi wa sallam  

Har Dum Ho Mera Vird Madina Hi Madina

har dum ho mera vird Madina hi Madina bas yaad teri dil me rahe roz-o-shabina wo lamha wo din aur wo aajaye mahina phir kash tadapta huva pahunchu mai madina sina ho Madina mera sina so Madina ban jaye mera dil teri ulfat ka khazina aaye noo-e-khuda noor bhari dil pe nazar ho ho noor se pur noor ye be noor nagina Sarkar tamanna hai yuhi umr basar ho bas teri mohabbat me ho marna jina saqi muhje jaam aaisa mohabbat ka pilade utre na kabhi iska nasha aai sha-e-madina tum khak-e-madina mere lashe pe chidakna phir malna kafan par jo mile un ka pasina ATTAR talab gaar hai bas unke karam ka lillah karam jane karam bahre madina