kaun hai jiska muqaddar, Mustafa ne saanwara nahi Tere Dar ke siwa SHAH ab do jahan me guzara nahi Koee manay nah manay yeh sun le bus yehi faesla hai Khuda ka Jo Tumhara nahi Ya Habeebi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) wo to hargiz hamara nahi Aao nukhtaun ka mai bhaid kholoon, kyun hai be nukhta Naam e Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Naam par jo bojh nukhte ka aae, RABB ko yeh bhi gawara nahi Hai dawa har alam ki yeh sahil, bus mere Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko pukaro Jabse naat e Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai zabaan par, mera gardish me tara nahi
kiskay jalwo ki jhalak hai ye ujala kiya hai har taraf wiada hairat zada tak ta kita hai mange man manti munh mangi murade le ga na yaha na hai na mangta se ye kahna kiya hai hum hai unke wo hai tere to huve hum tere is se badkar teri samt aur wasila kiya hai un ki ummat me banaya unhe rahmat bheja yu na farma ke tera raham me dawa kiya hai sadqa pyare ki haya na la mujhse hisab baqsh be puche lajaye ko laja na kiya hai zahad un ka mai gunahgaar wo mere shafi itni nisbat mujhe kiya kam hai tu samjha kiya hai bebasi ho jo mujhe pusishe aamal ke waqt dosto kiya kahu us waqt tamanna kiya hai kash fariyad meri sunakr ye farmaye huzoor haan koi dekho ye kiya shor hai ghogha kiya hai kon aafat zada hai kis pe bala tuti hai kis musibat me giraftar hai sadma kiya hai kis se kahta hai ke lillah qab...
Eh Sarware Dunya O Deen (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Teri Niraali Shaan Heh Dar Heh Tera Rashke Haram Chehra Tera Quraan Heh Khatme Rasool, Mukhtare Gul Nabiyo Ka Thu Sultaan Heh Surat Teri, Husne Azal Tujhpe Jaha Qurbaan Heh Mangtoh Ko Aaka Rak Baram Karde Karam Shahe Umam Dookiyo Ki Mushkil Taalna Tere Liye Asaan Heh Mehraj Ka Doolha Heh Thu Khaliq Ke Dar Pochcha Heh Thu Thu Heh Habibe Kibriya Thu Arsh Ka Mehmaan Heh Darse Tere, Vaabastagi Dono Jaha Ki Behtari Nisbat Teri Yaa Mustafa Imaan Ki Pehchaan Heh
kiya majal kisi ki jo sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki barabari kare ungli se ishara karde chand ke tukde ho jai. sarkar ke akhlaq ki quran jo taarif kare pyare Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke akhlaq se kafer bhi musalma ho jai mere Aqa muqtar hai majboor nahi pyare mangta aya jo wo sultan ho jai sarkar namaz me kabe ki samt rukh kare sahaba kahte the jo sarkar kare wo ho jai namaz-e-asr ali (radi Allahu ‘anhu) qaza nahi ada kare sarkar ishara karde duba hua suraj wapis ho jaey ho nazre inayat hum asiyo par sarkar mere taake hamari qismat ke sab gardishe dur ho jai sarkar JABER pe ho jai karam ki nazre Madine mein iska lasha dafn ho jai
Mere Wird-e-Lab Hai Nabi Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Mere wird-e-lab hay nabi nabi Mera dil makan-e-habeeb hay Main mareeze ishqe Rasool (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) houn Wo habeeb mera tabeeb hay Mere wird-e-lab hay nabi nabi Mera dil makan-e-habeeb hay Main mareeze ishqe Rasool (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) houn Wo habeeb mera tabeeb hay Mere wird-e-lab hay Nabi Nabi Mera us gali se hay rabta Jahan sur jukhatay hain unbeea’a Mera us gali se hay rabta Jahan sir jukhatay hain unbeea’a Jahan rehmaton ka nuzool hay Jahan rehmaton ka muzool hay Wo jo urshe huq kay kareeb hay Mere wird-e-lab hay Nabi Nabi Main bara ameer-o-kareeb houn Shay do sra ka aseer houn Main bara ameer-o-kareeb houn Main bara ameer-o-kareeb houn Shay do sra ka aseer houn Duray Mustafa ka ...
Naat Sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki pardhata huN mey, Bas issi baat say ghar mey meray Rahmat ho gi Ik Tera naam wasilah hai mera… Zikr-e-Sarkaar wasilah hai mera… Ranj-o-gham mey bhi issi naam say rahat ho gi Kyun keh Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka naam bhi kya ism-e-azam hai, jahaan koi na kaam aaey, wahan yeh kaam aata hai! Subhan’Allah! Aur yeh suna hai keh bohot gowr andheyri ho gi…. Qabr ka khowf na rakhna ey dil, wahan Sarkar-e-Madinah ki ziyarat ho gi Qabr ka khowf na rakhna ey dil, wahan Sarkar kay Chehray ki ziyarat ho gi Subhan’Allah! Unko Mukhtar banaya hai meray Mowla nay, Khuhld mey bas wahi jaa sakta hai Jis ko Hasnain kay baba ki ijazat ho gi. Subhan’Allah! Hashr ka din bhi ajab deykhney waala ho ga, Zu...
Aashiqon khusiyan manaow Kamli wala (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aa gaya Rabb-e-sallim gun gunaao Kamli wala (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aa gaya Chehra-e-walfajr sey aur gaysuey wal-layl sey Dil ko aiinah banaao Kamli wala (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aa gaya Jhuk geya sajdey mey baitullah bhi ta’zeem ko Ab diyey dil ko jalaao Kamli wala (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aa gaya Gode main ley kar Halima Sadiyah (radi Allahu ‘anha) ne yuun kahaa ‘Azmatun key geet gaao Kamli wala (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aa gaya Jashn-e-Milaad-un-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) main un key zikr-e-paak sey Najdioon par qehr dhaao Kamli wala (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)aa gaya Chaand suraj aur sitaro kehkashaan ard-o-falak Rowsh...
jitna mere khuda ko hai mera Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aziz konain me kisi ko naho ga aziz kiyu jaye hum kahi ke ghani tum ne kar diya ab to ye dar pasand ye ghar ye gali aziz jo kuch teri riza hai khuda ki wahi khushi jo kuch teri kushi hai khuda ko wahi aziz khak-e-madina par Allah mout de wo murda dil hai jisko na ho zindagi aziz shan-e-karam ko ache bure se gharaz nahi use sabhi pasand hai use sabhi aziz mangta ka haat utha to Madina hi ki taraf tera hi dar pasand teri hi gali aziz konain de diye hai tere iqteyaar me Allah ko bhi kitni hai qatir teri aziz mahshar me do jaha ko khuda ki khushi ki chah mere huzoor ki hai khuda ko hai khushi aziz Quraan kha raha hai usi haat ki qasam hum kon hai khuda ko hai teri gali aziz Taiba ke hote khuld-e-bari kiya karu HASSAN mujh ...
Mubarak ho Muhammad Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) tashreef lei aye Abbhie Jibreal utre bhi na the Ka’abe ke mimbar se Ke itne mein sada ayi ye Abdullah ke ghar se Jashne Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se pyar hai Hamme Jashne Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se pyar hai Aamad hai mebhoob-e-Khuda ki Sab ka bera paar hai Tahashar sada gunje ghi youn sale ala ke tarane Aate hai Horu Malaik aamad ka jashane manane Seine pei tasveere Madina Rab pei darood kaha hai Mitha hai naam-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mithi hai in ki boli Deedar-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) karne aye Nabiyoun ki toli Aalaane Khuda khud karta hai ye mera shahkaar hai Jab Rehmat ban kar aya wo Amina Bi ka pyara Hai donno jahan mein chamka wo...
Jis Taraf Chash’me Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Ishaare Ho Gaye Jitne Zarre Saamne Aaey, Sitaare Ho Gaye Ya Muhammad Aap Ki Nazaro(N) Ka Yeh Ijaaz Hai Jis Taraf Nazarei(N) Uthi(N), Sab Tumhaare Ho Gaye May(N) Hoo(N) Aur Yaadei(N) Madinah Aur Hai Tanhaaiyaa(N) Apne Begaane Sabhi Mujh Se Kinaare Ho Gaye Apni Kamli Ka Zara Saayaah Inaayat Ho Mujhe Dil Ke Dushman Ja, Muhammad Dil Se Pyaare Ho Gaye Sabz Ghumbad Ke Ishaare, Sagar Marhaba Jag Maga Kar Zindagi Ke Maah Paare Ho Gaye
Jiss ka koii saani nahiin wo Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hamara hai Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki azmat ka had hei na kinaara hai Jo habeeb-e-daawar hei jo makeen-e-khizra hai Sayyida (radi Allahu ‘anha) ka baba hai, Amina ka pyaara hai Aap ki hi chokhatt ke ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) bikaari hein Aap hi ke tukrron pe ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) guzaara hai Zor par ho tufaan bhi or ddagmaga-ai nayya bhi Aap gar karam kar dain to saamne kinaara hei Iss umeed par mein bhi aa kharra hun chokhatt par Wo kabhi to poochain ge kon gham ka maara hai Bhoole na niyaazi kabhi bhool kar bhi yaad-e-Nabi Un ko bhool jaana hi asal main khasaara hai
Jitna diya Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ne mujh ko, utnii merii aukaat naheen Yeh to karaam hai inka warnaa, mujh mein toh aisi baat naheen Tu bhi wahi par jake jahaa par, sab kii bigaree bar’tee hai Aik terii takdeer banana, inke liye kuch baat naheen Jo hai merii jaan-o-imaan, kya mein unki nazar karun Paas meray ashko keh ilawa, aur ko’ii sow’ghaat naheen Ishq shahe bad’ha seh pehle, muflis-o-hasta haal thaa mey Naam-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) key mey qur’ban, ab woh meray haalat naheen Ghaur tuh kar Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki tujh par, kitnii haas inaayat hai Kausar tu hai inka sanahaan, Tahir tuh hai inka sanahaan, yeh ma’mulee baat naheen