Urdu

Sarware Ambiya Ki Hai Mehfil Saji

Sarware Ambiya (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ki Hai Mehfil Saji Liji Ye Kuch Maza Jhoom Te Jhoom Te Aap Suntey Rahey Mein Sunata Rahun Zikre Salley Ala Jhoom Te Jhoom Te Wajhey Taskine Alam Hai Yaade Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Dafa-aey Ranjo Alum Hai Milade Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Aap Bethein Saja Kar Zara Bazm Ko Hogi Rehmat Khuda Jhoom Te Jhoom Te Sarware Ambiya Ki Hai Mehfil Saji Liji Ye Kuch Maza Jhoom Te Jhoom Te Aap Suntey Rahey Mein Sunata Rahun Zikre Salley Ala Jhoom Te Jhoom Te Ek Bhi Apne Daman Mein Neki Nathi Aankh Mein Ashk The Lab Pe Naate Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Mujh Ko Unke Karam Ne Sahara Diya Unki Aai Ata Jhoom Te Jhoom Te Sarware Ambiya Ki Hai Mehfil Saji Liji Ye Kuch Maza Jhoom Te Jhoom Te Aap Suntey Rahey Mei...

Sultane Jahan Mehboobe Khuda, Teri Shaano Shaukat Kya Kehna

Sultane Jahan Mehboobe Khuda, Teri Shaano Shaukat Kya Kehna Har Shay Pe Likha Hai Naam Tera, Tere Zikr Ki Rafa’aat Kya Kehna Hai Sar Par Taaj Nabuwwatka, Jora Hai Tan Pe Karamat Ka Sehra Hai Jabin Par Shafa’aat Ka, Ummat Pe Hai Rehmat Kya Kehna Sultane Jahan Mehboobe Khuda, Teri Shaano Shaukat Kya Kehna Har Shay Pe Likha Hai Naam Tera, Tere Zikr Ki Rafa’aat Kya Kehna Mairaj Hui Ta Arsh Gaye, Haqq Tum Se Mila Tum Haqq Se Miley Sab Razey Fa Awha Dil Pe Khuley, Yeh Izzato Hashmat Kya Kehna Sultane Jahan Mehboobe Khuda, Teri Shaano Shaukat Kya Kehna Har Shay Pe Likha Hai Naam Tera, Tere Zikr Ki Rafa’aat Kya Kehna Sab Misle Hatheli Peshe Nazar, Har Ghaib Ayan Hain Sine Par Yeh Noore Nazar Yeh Chashm-o-basar, Yeh Ilmo Hikmat Kya Kehna Sultane Jahan Mehboobe Khuda, Teri Sh...

Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga

Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga Mehboobe Khuda Ke Jalwon Se, Iman Ki Ankhen Raushan Hain Bin Dekhey Hi Jab Yeh Alam Hai, Didar Ka Alam Kya Hoga Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga Jab Unke Gada Bhar Detey Hain, Shahane Zamana Ki Jholi Mohtaj Ki Jab Yeh Halat Hai, Mukhtar Ka Alam Kya Hoga Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga Hai Naam Mein Unka Itna Asar, Ji Uthte Hai Murdey Bhi Sun Kar Woh Haal Agar Khud Puchein To, Bimar Ka Alam Kya Hoga Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam ...

Namey Muhammad Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila

Namey Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala Jin Ko Unka Qurb Mila Hai, Ban Gaye Hadi-o-raah Numa Sab Par Unki Chashme Karam Hai, Wah Re Shaane Judo Sakha Namey Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala Dekh Ke Apni Farze Amal Ko, Aasi Jab Sharmaen Gey Ummat Se Kuch Pyar Hai Aisa, Khud Woh Karam Farmaen Gey Namey Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala Un Par Apna Tan Man Warun, Warun Husne Kouno Makaa’n Haasil Unke Sadqey Mein Hai, Izzat-o-azmat Naam-o-nishan Namey Muhammad (salla Llahu ‘a...

Namey Muhammad Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai

Namey Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta Hai Yade Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ka Gulshan Mehka, Mehka Lagta Hai Mehfil Mein Maujud Hain Aqa Aisa Lagta Hai Namey Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta Hai Lab Par Naghmey Salley Ala Ke Hathon Mein Kashkol Dekho To Sarkar Ka Mangta Kaisa Lagta Hai Namey Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta Hai Ghauso, Qutb, Abdaal, Qalandar, Sab Unke Mohtaj Mera Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Sab Waliyon Ka Aqa Lagta Hai Namey Muhammad Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta H...

Muhammad Mustafa Salley Ala Ki Aaj Mehfil Hai

Muhammad Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Salley Ala Ki Aaj Mehfil Hai Habibe Kibriya, Salley Ala Ki Aaj Mehfil Hai Parho Salley Ala, Salley Ala, Salley Ala, Har Dam Ke Mehboobe Khuda, Salley Ala, Ki Aaj Mehfil Hai Muhammad Mustafa Wuzu Se Aaein, Bethein, Ba Adab, Bhejein Durood Unpar Jahan Ke Rehnuma Salley Ala Ki Aaj Mehfil Hai Muhammad Mustafa Farishtey Alamey Bala Se Sun, Sun Kar Yeh Kehte Hain Chalo Noore Khuda, Salley Ala, Ki Aaj Mehfil Hai Muhammad Mustafa Huey Hai Jis Ke Faizey Noor Se Donon Jahan Raushan Usi Shamsud Doha, Salley Ala, Ki Aaj Mehfil Hai Muhammad Mustafa Nikala Jis Ne Chashmah Aab Ka Ungli Se Jangal Mein Usi Behre Sakha, Salley Ala Ki Aaj Mehfil Hai Muhammad Mustafa Duaein Mangley Jo Mangni Hon Haqq Se, Aey Akbar Tere Mushkil Kusha, Salley Ala Ki Aaj Meh...

Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain

Mehboob (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Woh Log Khuda Shahid, Qismat Ke Sikandar Hain Jo Sarware Alam (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)Ka, Milad Manate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Aqa Ki Sanah Khwani, Dar Asl Ibadat Hai Hum Naat Ki Surat Mein, Qur’an Sunate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Jin Ka Bhari Duniya Mein, Koi Bhi Nahin Wali Unko Bhi Mere Aqa, Sine Se Lagate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Jo Sarware Alam Ko, Lajpal Samajhte Hain Daman Talab Bhar Kar, Mehfil Se Woh Jate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain...

Mustafa Jane Rahmet Pe Lakhon Salam

Mustafa Jaan-E-Rehmat Pay Lakhoon Salam Shama-E-Bazm-E-Hidayat Pay Lakhoon Salam …. (Chorus) Mehr-E-Charkh-E-Nabuwat Pay Raushan Durood Bhool-E-Baagh-E-Risalat Pay Lakhoon Salam Chorus Mujh Se Baikas Ki Daulat Pay Lakhoon Durood Mujh Se Baibas Ki Koowat Pay Lakhoon Salam Chorus Hum Ghariboon Kay Aaka Pay Behad Durood Hum Fakiroon Ki Sarwat Pay Lakhoon Salam Chorus Neethe Aankhoon Ki Sharm-O-Haya Par Durood Unchi Beeni Ki Rifat Pay Lakhoon Salam Chorus Syeda Zahida Tyaba Tahira Jaan-E-Ahmad Ki Rahat Pay Lakhoon Salam Chorus Unki Bala Sharafat Pay Aala Durood Unki Bala Siadat Pay Lakhoon Salam Chorus Kaash Mehshar Main Unki Aamad Ho Aur Kay Jay Sub Unki Shaukat Pay Lakhoon Salam Mujh Say Khidmat Kay Kudsi Kahain Ha Raza Mustafa Jaan-E-Rehmat Pay Lakhoon Salam Chorus  

Ae Shahenshah E Madinah

Aye Shahenshahe Madina, assalat-o-wassalam ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam zeenat-e arsh-e mu’alla, assalat-o-wassalam Rabbi-habli-ummati kehte huway paida huay Rab ne farmaya ke bakhsha assalat-o-wassalam ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam, zeenat-e-arsh-e mu’alla, assalat-o-wassalam sar jhuka kar ba adab ishq-e Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) may, keh raha he har sitara assalat-o-wassalam ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam, zeenat-e-arshe-e mu’alla, assalat-o-wassalam mu’mino padhthay raho tum apnay aqa par durood he farishto ka wazifa, assalat-o-wassalam ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam, zeenat-e-arshe mu’alla, assalat-o-wassalam mein woh sunni hu jamil-e qadri marnay ke ba’d mayra laasha bhi kahe...

Madine ki baatein, Madine ki baatein

Madine ki Azmath Madine ke jalwe Madine ke charche Madine ka manzar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ki baatein Madine ki raatein Yahaan to rahte hain mere payambar Jo hai saare aalam ke Sarwar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Isliye hai Taiba kitna munnawar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Kitna hai pyara pyara Madina Ise Rabb ne kitna sawara Madine ki azmath ke mai sadqe jawaan Isme rahte hai mere payambar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ka wo pyara manzar Waha ke phool aur wahaan ke kankar Wahaan ka farsh aur minar-e-anwar Aur waha ka Mihrab-o-Mimbar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Na koi zar hai Na koi par hai chala bhi jaata nahi hai mujh se Phir aa’un kaise tumhare Dar par ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Gumbade Khizra ke pyare nazare Wahaan ki galiyaan wahaan ke raste Wahaan ki diwarein wahaan ke ja...

Qareeb-E-Mustafa He Koii Koii

Qareeb e Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai koii koii Mazay yay luutt-ta he koii koii Bashar samjha unhayn laakhon nay laykin Haqeeqat e aashna he koii koii Ghaneemat jaan jitni bhi mili he Kay mekhaana khula he koii koii Madinay pohnchtay hain yuun to laakhon Par, madina dekhta he koii koii Tayray rozay ki Noori jaaliyon ko Nazar say choomta hai koi koi  

Pekar E Dilruba Ban Kay Aaya

Pekar e dilruba ban kay aaya, ruh e arzo sama ban kay aaya Sab rasul e khuda ban kay aa-ay, wo habeeb e khuda ban kay aaya Hazrat e Amina (radi Allahu ‘anha) ka dulaara, wo Haleema (radi Allahu ‘anha) ki aankhon ka taara Wo shikasta dilon ka sahaara, bay kason ki dua ban kay aaya Dast e qudrat nay esa sajaya, husn e takhleeq ko rashk aaya Jiss ka paya kisi nay na paya, wo khuda ki raza ban kay aaya Taajdaaron nay di he salami, baadshahon nay ki he ghulaami Bay misaal uss ka ism e giraami, Mujtaba Mustafa ban kay aaya Wo Nabi rahmat e aalameen hai, jo bhi unkay zair e nagiin hai Esa ghamkhuar daykha nahiin he, jesa kherulwara ban kay aaya He zahoori barri shan unki, madah karta he quraan unki Naat parrta he hassaan unki, jo mayra rahnuma ban kay aaya