Bighari banaao Makki Madani, Dar pe bulaao Makki Madani (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Iss mey muqadas noorani, ankho ka tara Makki Madani Deed teri hai eid meri, jalwa dikhaao Makki Madani Ham hai gunaho mey dobay huway, jeysay hai nibhaao Makki Madani Mehsharr mai ho lab peh yahi,ham ko bachaao Makki Madani Tootay dilon ki daanish hai, naam Tumhara Makki Madani Sadaqah apnay nawasoun ka, dukhray mitaao Makki Madani – O one from Makkah and Madinah I am in difficulty, help solve my problems O one from Makkah and Madinah Call me to your house O one from Makkah and Madinah Your name is noble and shining with light The star of our eyes O one from Makkah and Madinah It is like Eid when I gaze upon you Bless me with your vision O one from Makkah and Madinah We are all lost in sin H...
Khuda ki azmateein kya hai Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)Mustafa jaane Maqame Mustafa kya hai Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)Mustafa jaane Sada karna mere bas mei tha main ne to sada kar di Wo kya dei gei main kya loun ga sakhi jane gadha jane Darana mujh ko to kyoun hai azaab-e-Kabbar se wahid Wahan Sarkaar aye gei khata jane atta jane Meri mathi Madine Paak ki Ra’ah mein poncha dena Kahan le jaye ghi is ko Madine ki hawa jane Kaha Jibreal ne Sidra talak meri risaaiy hai Hai kitni manzilein aage Nabi jane Khuda jane Hamme to shurkhru hona hai Aqa ki nigahoun mein Zamane ka hai kya Nasir bura jane bala jane
Kaabe ke Badrudduja tumpe karoron Durood Taiba ke Shamsu d-Duha tum pe karoron Durood Shaafa’e Roze Jazaa tumpe karoron Durood Daafa’e jumla balaa tum pe karoron Durood Dil karo thanda mera woh kaffe paa chaand sa Seene pe rakhdo zaraa tum pe karoron Durood Aur koyee Ghayb kya tum se Nihaan ho bhalaa Jab na Khudaa hi Chupaa tum pe karoron Durood Wo Shabbe Me’raj raaj woh safe Mehshar ka Taaj Koyee bhi aisa huwa tum pe karoron Durood Kar ke tumhare Gunaah mange tumhee se Panaah Tum kaho Daaman me aa tum pe karoron Durood Tum ho Haafiz-o-Mughees kya ha woh Dushman Khabees Tum ho to phir khauf kya tum pe karoron Durood Ek taraf A’daa’e Deen ek taraf he Haasideen Banda he tanha Shaha tum pe karoron Durood Hum ne khataa me na ki tum ne ataa me ki Koyi kami sarwaraa tum pe karoron Durood
Milaad ki rattiya dhoom yay thhi ik raaj dulaara aawat he Lolaak ka sayhra sar so he wo ahmad pyaara aawat he Huron nay kaha jab bismillah! ghilmaan nay pukaara illal lah! Khud rab nay kaha masha allah mahbub hamaara aawat he Jibreel e amiin yay kehtay chalay eh arshiio tumray bhaag jagay Tazeem ko sab ho jaa-o kharray sardaar hamaara aawat he Yaseen ki chamak he daatan mayn taahaa ka karishma aanghan mayn Walfajr ka jalwa gaalan mayn wo arsh ka taara aawat he Maazaagh ka kajla nein bharay wa sh-shams ka battna mukh pay malay He meem ka gonghatt sayhray talay wo rab ka sanwwaara aaat he Dharti say milaa aafaq charrha mumtaaz yay ghal thha chaaron taraf Lo haq say milnay sallay ala sardaar hamaara aawat he
Hawa ki khusboo bata rahi hay, Woh zulf apni sajaa rahay hain Sawaari Tayba say chal parri hay, Huzuur (salla Llahu ‘alayhi wa salllam) tashreef laa rahay hain Aur kahee pay mehfil hay mehkashou ki, kahee pay mehfil hay dil jallou ki Ye kitnay khushbakht hain jo apnay Nabi ki mehfil saja rahay hain Na paas bhi ho tou suuna saawan, Woh jis pay raazi wohi suhaagan Jinhou nay pakra Nabi ka daaman, Unhi kay ghar jagmagaa rahay hain Habeeb-e-daawar ghareeb parwar Rasool-e-Akram karam kay payker Kissi ko der pay bula rahay hain, kissi kay khawaab may aa rahay hain May apnay Khair-ul-waraa kay sadqay, May Unki shaan-e-ata kay sadqay Bhara hay aybou say meray daaman, Huzuur phir bhi nibha rahay hain Bannay ga jaanay ka phir bahaana, kahay ga aaker koi dewaana Challo Niyaazi challay Madinay, ...
Hum bhi madina jayenge aaj nahi to kal sahi Aqa hame bulainge aaj nahi to kal sahi Galiyo me ghoom ghoom kar khak-e-Madina chum kar Naat-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) sunaeinge aaj nahi to kal sahi hum ne to maan hi liya ke aap hai jaan-e-kainat najdi bhi maan jainge aaj nahi to kal sahi
main Madinay chala, Main madinay chala main Madinay chala, main Madinay chala phir karam ho gaya, main Madinay chala saqia may pila, main Madinay chala mast-o-bay khud bana, main Madinay chala Kaif sa cha gaya, main Madinay chala jhoomta jhoomta, main Madinay chala main Madinay chalamain Madinay chala Ashk thamtay naheen, paon jamtay naheen larkharata huva, main Madinay chala main Madinay chalamain Madinay chala mairay Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka darr, ho ga paish-e-Nazar, chahiaye aur kia, main Madinay chala main Madinay chalamain Madinay chala phir karam ho gaya, main Madinay chala phir karam ho gaya, main Madinay chala mairay ganday qadam, aur unka Haram Laaj rukhna Khuda, main Madinay chala main Madinay chala main Madinay chala Rooh-e-Muztarr ththehar, tu nikal na udha...
Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril e Amin Se Poocho Mairaj Ka Dulha Kain Bana Jibril e Amin Se Poocho Kya Hai Tauqeer e Shah e Umam Insan Se Ho Paye Na Raqam Kya Farshe Zamin Kya Arshe Bari Sab Hai Aaqa Ke Zaire Qadam Sultan e Madina Ka Rutba Jibril e Amin Se Poocho Jibril Se Rabne Farmaya Jannat Ki Sawari Lekar Jaa Mehboob Se Ye Jaakar Kehde Abb Aake Kare Wo Sher Zara Fir Kaise Hui Tamil e Khuda Jibril e Amin Se Poocho Hai Mehwe Rahat Shah e Deen, Shasopanj May Hai Jibril e Amin Bedar Kare Kaise Seh Ko, Ho Jaye Kahi Na Beadbi Taazime Nabi Hoti Hai Kya Jibril e Amin Se Poocho Paas Aake Rasool e Azam Ke Paoo Ke Janib Khade Hue Taazim Baja Laye Pehle Fir Paoo Pe Noori Lab Rakh Ke Talwo Ko Diya Hai Kyun Bosa Jibril e Amin Se Poocho Aqsa May Sawari Jab Pohnchi Nabiyo Ki Jamaat Haazir Thi Karne...
Yaad e mustafa aisii bass gaii he seenay mayn Jism ho kahiin apna dil to hh madinay mayn Koan he yay deevana kis ka he yay deevana Hashar mayn bhi kehta he jana he madinay mayn Koan si jaga un kay aashiqon say khaali he Har jaga he parwanay shamma he madinay mayn Koan he tayra rehbar puuchha to khizar bolay Kali kamli walay heyn rehtay heyn madinay mayn Mayray kamli walay ka ghar to he Madinay mayn Haan magar wo rehtay heyn aashiqon kay seenay mayn Baad mayray marnay kay har zubaan pay charcha tha Aadmi to achha tha mar gaya madinay mayn Kaash un kay kuuchay ay saba la-ay yay peyghaam Chal tujhay bulatay heyn mustafa madinay mayn
Us Hussain Ibne Haddar pei lakhoun salam Kar liya nosh jis ne shahdat ka jaam Jis ko Dhoke se Koufe bulaya geya Jis ke bachoen ko Pyasa rulaya geya Khanjar zulm jis par chalaya geya Us ki kamil shahadat pei lakhoun salam Jis ne haq Karbala ka aada kar diya Jis ne Nana ka wa’ada wafa kar diya Jis ne kumbe a kumba fida kar diya Baadshah-e-sakhawat pei lahkoun salam Jis ko ummat ka gham hi satata raha Ashq gharoun mein jo bhi bahata raha Jo muqaddar hamare banata raha Us ki sab se a’al-o-ishrat pei lakhoun salam Jis ke shohar par khanjar chalaya geya Jis ke bethe ko khoun mein nalaya geya Jis ki bethi ko qaadi banaya geya Us khatoon-e-qayamat pei lakhoun salam Samne jis ke Akbar zibaah ho geye Goad mei jis ke Asghar tarapte rahe Jis ko ummat ne teeroun ka tohfa diya Us shaheed-e-M...
Teri jaaliyoun ke niche teri rehmatoun ke saaye Jise dekhne ho Jannat, wo Madina dekh aye Lo chala houn main lahad mein mere Mustafa se keh do Ke hawa teri gali ki mujhe chorne to aye Roze ke samne mein ye dua’aen mangtha tha Meri jaan nikal to jaye ye samaan badal na jaye Taiba ko jaane wale tujhe deti houn dua’aen Dar-e-Mustafa pei ja kar to jahan ko bhul jaye Kaisi wahan ki raatein kaisi wahan ki baatein Unnhe poch’ Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka jo Madina dekh aye Na ye baat shaan se hai naa yee baat maal-o-zar ki Wohi jata hai Madine Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jisse bulaye Aur wahi ghaam ghusaar mera wo Zahoori yaar mera Meri qabar par jo aa ke Naat Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) sunaye
Sab se aola wa aala hamara Nabi Sab se baala wa waala hamara Nabi Apne Moula ka pyara hamara Nabi Dono aalam ka Dulha ha hamara Nabi Bazme Aakhir ka Shama faroza huwa Noore awwal ka jalwa hamara Nabi Buj gayi jis ke aage sabhi mash’ale Shamma woh lekeh aaya hamara Nabi Jis ke talwon ka dhowan he aabe Hayaat Hai woh jaane Maseeha hamara Nabi Khalq se Awliya Awliya se Rusul Aur Rasoolon se aala hamara Nabi Jaise sab ka Khuda ek he waise hi In ka un ka thumhara hamara Nabi Kawn deta he dene ko muh chahiye Dene waala he sacha hamara Nabi Kya khabar kitne taare khile chhup gaye Par na doobe na dooba hamara Nabi Saare ooncho meh ooncha samajhye jise Hai oos oonche se ooncha hamara Nabi Ghum zadoh ko Raza muzda dije ke he Be kason ka sahara hamara Nabi