Dil mein Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki yaad ne, dera jama liya Saare ghamon mein aapke gham ne bacha liya Jab tak bike na the, to koi poochta na tha Sarkar ne khareed ke anmol kar diya diya Murshid tu ne dekh kar anmol kar diya Dunya mein tum ne, jab apna banaya hai Mehshar mein bhi keh dena, yeh hai mera deewana Jab tak bike na the, to koi poochta na tha Sarkar ne khareed ke anmol kar diya Murshid tu ne dekh ke anmol kar diya Anmol kar diya Murshid tere aane se, yeh josh hai masti ka Sheeshe pe gira sheesha, paimane pe paimana Nazron se mila nazre bhar de mera paimana Aabaad khuda rakhe murshid tera ma khana Ahsan tera bhool na sake ham kabhi Nazre pila ke aapne Rabb se mila diya Rabb se mila diya Kyoun aankh larai thi, kyoun aag lagai hai Khud rukh ko chupa baithe kar ke ...
Apni rehmat ke samander mein utar jaane de Apni rehmat ke samander mein utar jaane de Be thikana hoon azal se mujhe ghar jaane de Apni rehmat ke samander mein utar jaane de Su e Bat-ha liye jaati hai hawa e Bat-ha Boo e Dunya mujhe ghumraha na kar jaane de Maut par meri shaheedon ko be rushk aega Apne qadmon, pyare qadmoun, se lipat kar mujhe mar jaane de //Mujhko leke to hai sahara Tera Shaha apne kadmoun se lipat kar mujhe mar jaane de // Khahishe zaat bohot saat diya hai tera Ab jidhar mere Nabi hain udar jaane de bethikana houn azal see mujhe ghar jaane de Bas ab jidhar mere Nabi hain udar jaane de //pukar mujh ko na dunya chala houn sue Rasul tujhko tilaash meri mujh ko justajue Rasul // ab jidar mere Nabi hain udar jaane de Rok Rizwaan Na Muzaffar ko Dar-e-Jannat par Kyuki ye Nabi ka...
Bari karim Teri zaat ya RasulaLlah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam Bari karim Teri zaat ya RasulaLlah Bari karim Teri zaat ya RasulaLlah Tere karam ki hai kya baat ya Rasula Llah Tere karam, tere karam, tere karam ki hai kya baat ya RasulaLlah Bari karim Teri zaat ya RasulaLlah x2 Bhari hai jholiyan tu ne sada faqiron ki x 3 hamein bhi deed ki khairat ya Rasula LLah Tere karam ki kya hai ya RasulaLlah Bhari hai jholiyan tu ne sada faqiron ki, Aqa Bhari hai jholiyan tu ne sada faqiron ki x 3 hamein bhi deed ki khairat ya Rasula LLah Khudai us muqadar par rashk karti hai Jisse mila hai tera saath ya RasulaLlah nazar ke samne ho jalwe sabz gumbad ke x 3 kabhi to aaey woh lamhaat ya RasulaLlah Karam nawaz teri zaat dono alam mein x 3 Idhar bhi nazr e inayat ho ya RasulaLlah Bhari hai jhol...
Teri nahi misal koi Tu hai be misal Aey Rabb e Zul jalal Aey Rabb e Zul jalal Zarre ko aaftaab banana tera kamal Aey Rabb e Zul jalal hamd o sana Teri Tere mahboob ki karoun Tawfiq kar ata jiyoun main ya maroun Tere hi dhikre paak mein guzre yeh mah o saal Aey Rabb e Zul jalal aey Rabb e Zul jalal amada youn to mujh ko girane pe tha jahan lekin teri nigah e karam se aey mehrbaan na kaam ho gaey hain na kaam ho gaey hain mere dushmano ke chaal Aey Rabb e Zul jalal Ummat Tere Nabi ki bohat mushkilon hain Apas mein ikhtilaf, nafrat dilon hai Sadqe mein Mustafa ke Mawla inhe sambhal Aey Rabb e Zul jalal Teri koi misal nahi Tu hai be misal Aey Rabb e Zul jalal Aey Rabb e Zul jalal
Main hoon tera sawali, main hoon tera sawali. Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) tera sawali, maula tera sawali. Main hoon tera sawali, Aaqa tera sawali Sarkar Madine mein bula kyun nahi lete Damaan mein mujhe Apne chupa kyun nahin lete Main aun Madine meri auqaat nahi hai Sarkar bulalein to koi barri baat nahi hai Kab kehta hoon khaaron Khazeena mujhe de do Aye logo faqat yaad-e-kareena de do Jo sab se haseen hai woh nageena de do Tum saara jahaan le lo, Madina mujhe de do Chashm-e-karam hi naaz ghulam pe bhi dalo Sarkar humein Apna hi deewana bana lo Sadqey mein ghouz paak ke aur khwaja piya ke Allah ke Mehboob Madine mein bula lo Gar tum na sunoge to meri kaun sunega Gar tum na sunoge to meri kaun sunega Gar tum na sunoge to meri kaun sunega Gar tum na karoge to karam kaun kareg...
Ashab-e Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) haq ke wali, ABu Bakr o Umar, Usman aur Ali. ABu Bakr o Umar, Usman aur Ali Ashab-e Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) haq ke wali, ABu Bakr o Umar, Usman aur Ali. Yaarane Nabi mein sab se jali ABu Bakr o Umar, Usman aur Ali, ABu Bakr o Umar, Usman aur Ali. Woh sham-e Haram ke parwane, woh khatm-e Rasul ke deewane Woh sham-e Haram ke parwane, woh khatm-e Rasul ke deewane hain jin se mehki deen ki kali ABu Bakr o Umar, Usman aur Ali. Ashab-e Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) haq ke wali, Bu Bakr o Umar, Usman aur Ali. Yaarane Nabi mein sab se jali ABu Bakr o Umar, Usman aur Ali. ABu Bakr o Umar, Usman aur Ali. Islam ne jin ko ‘izzat di, islam ko quwat jin se mili Islam ne jin ko ‘izzat di, islam ko q...
Us Hussain Ibn e Haidar (radi Allahu ‘anhum) pei lakhoun salam Kar liya nosh jis ne shahdat ka jaam Jis ko Dhoke se Koufe bulaya geya Jis ke bachoen ko Pyasa rulaya geya Khanjar zulm jis par chalaya geya Us ki kamil shahadat pei lakhoun salam Jis ne haq Karbala ka aada kar diya Jis ne Nana ka wa’ada wafa kar diya Jis ne kumbe a kumba fida kar diya Baadshah-e-sakhawat pei lahkoun salam Jis ko ummat ka gham hi satata raha Ashq gharoun mein jo bhi bahata raha Jo muqaddar hamare banata raha Us ki sab se a’al-o-ishrat pei lakhoun salam Jis ke shohar par khanjar chalaya geya Jis ke bethe ko khoun mein nalaya geya Jis ki bethi ko qaadi banaya geya Us khatoon-e-qayamat pei lakhoun salam Samne jis ke Akbar zibaah ho geye Goad mei jis ke Asghar tarapte rahe Jis ko ummat ne teeroun ka tohfa diy...
Rooh e Shabbir Woh Manzar To Bata, Jab Huwee Shehr e Madina Say Judai Ho Gi. O the soul of Shabbir (title of Sayyidina Imam Hussain), could you describe that scene When you departed from the city of Madina? Yeh To Zainab Hi Bata Sakti Hai, Laut Kar Kaisay Madinay Main Woh Aai Ho Gi. Only Zainab (Sister of Sayyidina Imam Hussain) could be able to describe that; How she had returned to Madina (after the martyrdom of Sayyidina Imam Hussain and family)! Kar Kay Rozay Ki Taraf Chehra Yeh Bolay Shabbir, Ham Rahain Ya Na Rahain Nana Huzoor, Hashr Tak Aap Ki Ummat Ki Bhalai Ho Gi. Turning towards the tomb of Holy Prophet (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), this is what Shabbir said: O esteemed grandfather (Holy Prophet salla Llahu ‘alayhi wa sallam), whether we live or not, Your (salla Ll...
Sarkaar-e-Ghous-e-Azam Nazr-e-Karam Khudara Mera Khaali Kaasa Bhar Do Mein Faqeer Hoon Tumhara Jholi Ko Meri Bhar Do Warna Kahe Gei Duniya Aisay Sakhi Ka Mangta Phirta Hai Maara Maara Sab Ka Koi Na Koi Duniya Mein Aasra Hai Mera Bajuz Tumharay Koi Nahin Sahara Ye Ata e Datstageeri Koi Mere Dil Se Pooche Wahi Aagaye Madad Ko Mene Jab Jaha (n) Pukara Maula Ali (radi Allahu ‘anhu) Sadqa Ibn e Ali Ka Sadqa Maula Ali Sadqa Khawaja Piya Maula Ali Ka Sadqa Ahmad Raza Ka Sadqa Maula Ali Ka Sadqa Ghanj e Shakar Ka Sadqa Maula Ali K Sadqa Data Piya Ka Sadqa Mere Laaj Rakhlo Ya Ghaus Me Fakir Hu(n) Tumhara
Ya Shahenshah-e – Madina, as-salatu wa s-salam Zeenat-e Arsh-e Mu’alla, as-salatu wa s-salam Rabbi-Habli-Ummati Kehte Huway Paida Huay Haq Ne Farmaya Ke Bakhsha, as-salatu wa s-salam Mu’mino Partay Raho Tum Apnay Aqa Par Durood Hai Farishto Ka Wazifa, as-salatu wa s-salam Bud Shikan Aya Hai Keh Kar Sar Ke Balbut Ghir Pare Jhoom Kar Kehta Tha Kaaba, as-salatu wa s-salam Jab Farishtay Qabr Mein Jalwa Dikha-e Aap Ka Ho Zabban Par Pyaare Aqa, as-salatu wa s-salam, Mein Woh Sunni Hu Jamil-e Qadri Marnay Ke Baad Mayra Laasha Bhi Kahe Ga, as-salatu wa s-salam
Kis Lab Pe Kya Dua Hai, Sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Jaante Hai, Kis Ke Dilo Main Kya Hai, Sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Jaante Hai, Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Jaante Hai Murda Hai Ya Ke Zinda, Bache Hai Ya Ke Bacha Pukhta Hai Ya Ke Kacha , or Kis Ka Hai Ye Nutfa Kis Ko Bhala Khabar Hai, Majboor Har Bashar Hai Maa Ke Shikam Mai Kya Hai, Sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Jaante Hai Shakhe Khujoor Lekar, Qabro Pe Dalte Hain, Mayyat Ki Har Sazaa Ko, Pal Bhar Main Taalte Hai, Murda Hai Kis Jagee Ka, Iska Hai Majara Kya Qabro Mai Haal Kya Hai, Sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Jaante Hai Kabhi Swaad Keh Rahe Hai,Kabhi Qaaf Keh Rahe Hai, Kabhi Ayn Keh Rahe Hai, Kabhi Haa Keh Rahe Hai, Jibreel Keh Rahe Hai, Ye Raazgi Ki Baate...
Dung Hai sab dekh kar adha idhar adha udhar Ho Gaya pal me kamar adha idhar adha udhar Chand hi kya aasma ko bhi agar kehthe huzoor Wo bhi ghir ta toot kar adha idhar adha udhur Ala hazrat ke ghulamo se ulujna chor do Phek denge kaat kar adha idhar adha udhar Jab Raza ki uth gayi talwaar to phir kya huwa Ho gaya najdi ka sar adha idhar adha udhar Ik taraf makke ki sarhad ik taraf shehre nabi Kaash ho ta mera ghar adha idhar adha udhar Dushmanane Mustafa as-salatu wa s-salam ko dekh lena pul siraat Daal denga kaat kar adha idhar adha udhar