Us Hussain Ibne Haddar pei lakhoun salam Kar liya nosh jis ne shahdat ka jaam Jis ko Dhoke se Koufe bulaya geya Jis ke bachoen ko Pyasa rulaya geya Khanjar zulm jis par chalaya geya Us ki kamil shahadat pei lakhoun salam Jis ne haq Karbala ka aada kar diya Jis ne Nana ka wa’ada wafa kar diya Jis ne kumbe a kumba fida kar diya Baadshah-e-sakhawat pei lahkoun salam Jis ko ummat ka gham hi satata raha Ashq gharoun mein jo bhi bahata raha Jo muqaddar hamare banata raha Us ki sab se a’al-o-ishrat pei lakhoun salam Jis ke shohar par khanjar chalaya geya Jis ke bethe ko khoun mein nalaya geya Jis ki bethi ko qaadi banaya geya Us khatoon-e-qayamat pei lakhoun salam Samne jis ke Akbar zibaah ho geye Goad mei jis ke Asghar tarapte rahe Jis ko ummat ne teeroun ka tohfa diya Us shaheed-e-M...
Teri jaaliyoun ke niche teri rehmatoun ke saaye Jise dekhne ho Jannat, wo Madina dekh aye Lo chala houn main lahad mein mere Mustafa se keh do Ke hawa teri gali ki mujhe chorne to aye Roze ke samne mein ye dua’aen mangtha tha Meri jaan nikal to jaye ye samaan badal na jaye Taiba ko jaane wale tujhe deti houn dua’aen Dar-e-Mustafa pei ja kar to jahan ko bhul jaye Kaisi wahan ki raatein kaisi wahan ki baatein Unnhe poch’ Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka jo Madina dekh aye Na ye baat shaan se hai naa yee baat maal-o-zar ki Wohi jata hai Madine Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jisse bulaye Aur wahi ghaam ghusaar mera wo Zahoori yaar mera Meri qabar par jo aa ke Naat Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) sunaye
Sab se aola wa aala hamara Nabi Sab se baala wa waala hamara Nabi Apne Moula ka pyara hamara Nabi Dono aalam ka Dulha ha hamara Nabi Bazme Aakhir ka Shama faroza huwa Noore awwal ka jalwa hamara Nabi Buj gayi jis ke aage sabhi mash’ale Shamma woh lekeh aaya hamara Nabi Jis ke talwon ka dhowan he aabe Hayaat Hai woh jaane Maseeha hamara Nabi Khalq se Awliya Awliya se Rusul Aur Rasoolon se aala hamara Nabi Jaise sab ka Khuda ek he waise hi In ka un ka thumhara hamara Nabi Kawn deta he dene ko muh chahiye Dene waala he sacha hamara Nabi Kya khabar kitne taare khile chhup gaye Par na doobe na dooba hamara Nabi Saare ooncho meh ooncha samajhye jise Hai oos oonche se ooncha hamara Nabi Ghum zadoh ko Raza muzda dije ke he Be kason ka sahara hamara Nabi
Sarkar jeya sohna na aya na awna ey Na Rab ney banaya ey na Rab ney banawna ey Weykho jee har ik shey tey peya nur barasta ey Lag da ey huney eytay Sarkar ney awna ey Sarda ey sarey koi, larda ey larey koi Sunniya ney tey gaj waj key milad manawna ey Jee karda ey mar jawa jis din da suniya ey Wich qabr dey Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ney deedar karowna ey ungli nu halawndey ney pey chan nu bulawndey ney So Rab di ey chan falki Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) da khilona ey Ban jaani ey gal teri wich hashr dihaarey dey Jadun sohney Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ney tanuw gal nal lawna ey Munkar odun nas jaan dey mushkil wich pas jandey Ey sunni jadu wi tu nara Haidri lana ey Rab Aap banaya ey dildaar bara sohna Naley khud farmaya ey Mera yaar bara sohna Sa...
Salli ‘ala Nabiyyina, salli ‘ala Muhammadin Salli ‘ala Shafiyinna, salli ‘ala Muhammadin Ham bhi Madine jaye gei ajj nahi to kal sahi Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hamme bulaye gei ajj nahi to kal sahi Galiyoun mein ghum ghum kar Khakhe Madina chum kar Nazroun se ham lagaye gei ajj nahi to kal sahi Galiyoun mein jhum jhum kar khakhe Madina chum kar Naatein Nabi suanein gei ajj nahi to kal sahi Dekha jo Un ko baanethe main ne bhi bar ke shouk se Daste ata ke samne daste talab barha diya Aamade Mustafa hoyi roshan zamana ho geya Jin ke Huzoor ho geye un ka zamana ho geya Haal dil sunayein gei ajj nahi to kal sahi Bighri apni banaye gei ajj nahi to kal sahi Salli ‘ala Nabiyyina, salli ‘ala Muhammadin Salli ‘ala Shafiyinna, salli ‘ala...
Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Wohii rab hai jis ne tujh ko hamah tan karam banayaa Hamain bhiik maangte ko teraa aastaan bataayaa Tujhey hamd hai khudayaa Tujhe hamd hau khudayaa Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Tumheen haakim-e-barayaa tumheen qaasim-e-atayaa Tumheen daaf’e balayaa koii tum saa kown aayaa Tujhey hamd hai khudayaa Tujhey hamd hai khudayaa Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Woh kanwaarii paak Maryam wok nafakhto fihii kaa dam Hai ajab nishaan-e-azam magar Aminah ka jaayaa Wohii sab se afzal aayaa Tujhey hamd hai khudayaa Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Yahii bowle s...
Mowlaya salli wasallim daa iman abadan ‘Ala habiibika kheyril khalqi kulli himi Muhammadun sayyidul kowneyni wa thaqaleyni Wal fariiqeyni min unrbinw wamin aajami Huwal habiib ulladhi turja shafa ‘aatuhu Likulli howlim minal ahwaali muqtaahimi Ya akramal khalqi maali man aloo dhubihi Siwaaka ‘inda hululil haadithil amaami Fa inna min juudi kad dunya wa da rataha Waamin ‘ulumika ‘ilm al lowhi wal qalaami
Lam yaati naziiru kafi nazarin mislay to na shud peda jaana Jag raaj ko taaj toray sar sohay tujh ko shahay do saraa jana Al bahru ala wal mowju tagha man baykas o tufaan hoash ruba Manjdhaar mayn huun bigrri he hawa mori nayya paar laga jaana Ya shamsu nazar ti ilaa leyli chuba teyba rasi arzay bakuni Tori joat ki jhaljhal jag mayn rachi mayri shab nay na din hona jaana Laka badrun fil wajhil ajamal hat haala e mezulf abr e ajal Toray chandan chandar par wo kundal rahmat ki barsan barsa jaana Ana fi ata shiunw wasahaka atam eh gaysu-ay paak eh abr e karam Barsan haaray rim jhim rim jhim do buund idhar bhi ghiraa jaana
Bulalo phir mujhay ey shahe bahrobar, Madinay main Main phir rota huwa aoo, teray dar par Madinay main Na dowlat dey nah showhrat dey, mujhay bas yeh sahaadat dey Teray kadmo main marjaoon, main ro ro kar Madinay main Madinay jaaney waalo jaao jaao Fi Aman’illah Kadi toh apna bhi lag jaey ja bistar Madinay main Meraa gham bhi toh dekho, main paraa hoo duur Tayba sey Sukoon aey’ga bas meraa dil-e-muztar Madinay main Salaam-e-showq kehna haajio meraa bhi ro ro kar Sunaana dastaney gham meri ro kar Madinay main Madina is liye Attar jaan-o-diil sey hai pyaara Key rehtay hain meray Aqa meray diil bar Madinay main
Mangton ko sultan banaya mere kamli walay (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ne Jab apna darbar lagaya mere kamli walay ne Mal-o-zar ki bat nahin he sab ye karam ki batain hain Jis ko chaha dar pe bulaya mere kamli walay ne Jis per apna rang charhaya mere kamli walay ne Data farid or khuaja banaya mere kamli walay ne Baara rabi ul awal ke din noor-e-khuda ki kirno se Aminah (radi Allahu ‘anha) tera gher chamkaya mere kamli walay ne Jitna kharch mai karti jao utna barhta jaye hai Baksh dia aisa sarmaya mere kamli walay ne Unka ziker kertay kertay neend ali jab ai mujhay Mujh ko apna jalwa dikhaya mere kamli walay ne
Mayri baat ban gaii he tayri baat kartay kartay Tayray shehr mayn meyn aa-oon tayri naat parrtay parrtay Tayray ishq ki badolat mujhay zindagi mili he Mayray paas bhi he aaii mayri moat dartay dartay Kiss cheez ki talab he na he aarzoo hi koii Toon nay itna bhar diya he kashkol bhartay bhartay Mayray soonay soanay ghar ko kabhi naymatayn ataa kar Meyn divana ho gaya hoon tayri raah taktay taktay Meyn na ja-oon ga o darbaar kabhi chhoarr kar yay galiyaan Kay, meyn poancha hoon yahaan tak mayray yaar martay martay He jo zindgaani baaqi yay irada kar liya he Tayray mukiron say aaqa meyn maroon ga larrtay larrtay
Chour fikr dunya ki chal madinay chaltay heyn Mustafa ghulamon ki qismatayn badaltay heyn Naqsh kar lay seenay par naam sarwaray deen ka Yay wo naam he jiss say sab azaab ttaltay heyn Sirf saari dunya mayn wo heyn kucha-ay ahmad Jiss jaga bhi ham jesay khhotay seekay chaltay heyn Aamina kay paalay ka kali kamli walay ka Jashn ham manatay heyn jalnay walay jaltay heyn Ham ko roaz milta he sadqa kamli walay ka Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay ttukron par khush naseeb paltay heyn Rahmaton kay sa-ay mayn saatth saatth chaltay heyn Mustafa kay deevanay ghhar say jab nikaltay heyn Naat e mustafa sunn kar aag sard hoti he Zikr e mustafa sunn kar sangay dil pigaltay heyn