Large Category

Halima Menu Naal Rakhlai

saaf kara gi main bakriah da vara halima menu naal rakhlai inna bakrian nu pavan gi main chara halima menu naal rakhlai saaf kara gi main bakriah da vara halima menu naal rakhlai teri inna bakria da dood vi main chova bardhey vi main macha gi te kapreh vi tova tera lippa gi main kakkha vala taran halima menu naal rakhlai saaf karah gi main bakriah da vara halima menu naal rakhlai chula vi main bala gi roti vi bakava gi amina dey da main cullla vi chulava gi mera chamkey naseeba vala tara halima menu naal rakhlai  

Nabi Ki Yaad Say Roshan

Nabi ki yaad say roshan mayray dil ka nagina he Wo mayray dil mean rehtay heyn mayra dil bhi madina he Madinay ki judaii meyn sulagta mayra seena he Parrha huun duur teba say yay jeena keisa jeena he Nabi ki aal ka sadqa jahaan ki nay’matayn maango Khuda say maangnay ka yay barrha achha qareena he Jhukoon kyun gheyr kay dar par kisi say bhik kyun maangun Mayray daaman meyn ishqay sarwaray deen ka khazeena he Nazar afroz he ranginiay fardos ki laykin Jo taskinay dil o jaan he wo aqa ka madina he Hamay khatra nahiin koii niazi duub janay ka, Kay ham jis meyn heyn betthay wo muhammd ka qareena he  

Main Madine Chala

main Madinay chala, Main madinay chala main Madinay chala, main Madinay chala phir karam ho gaya, main Madinay chala saqia may pila, main Madinay chala mast-o-bay khud bana, main Madinay chala Kaif sa cha gaya, main Madinay chala jhoomta jhoomta, main Madinay chala main Madinay chalamain Madinay chala Ashk thamtay naheen, paon jamtay naheen larkharata huva, main Madinay chala main Madinay chalamain Madinay chala mairay Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka darr, ho ga paish-e-Nazar, chahiaye aur kia, main Madinay chala main Madinay chalamain Madinay chala phir karam ho gaya, main Madinay chala phir karam ho gaya, main Madinay chala mairay ganday qadam, aur unka Haram Laaj rukhna Khuda, main Madinay chala main Madinay chala main Madinay chala Rooh-e-Muztarr ththehar, tu nikal na udha...

Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril E Amin Se Poocho

Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril e Amin Se Poocho Mairaj Ka Dulha Kain Bana Jibril e Amin Se Poocho Kya Hai Tauqeer e Shah e Umam Insan Se Ho Paye Na Raqam Kya Farshe Zamin Kya Arshe Bari Sab Hai Aaqa Ke Zaire Qadam Sultan e Madina Ka Rutba Jibril e Amin Se Poocho Jibril Se Rabne Farmaya Jannat Ki Sawari Lekar Jaa Mehboob Se Ye Jaakar Kehde Abb Aake Kare Wo Sher Zara Fir Kaise Hui Tamil e Khuda Jibril e Amin Se Poocho Hai Mehwe Rahat Shah e Deen, Shasopanj May Hai Jibril e Amin Bedar Kare Kaise Seh Ko, Ho Jaye Kahi Na Beadbi Taazime Nabi Hoti Hai Kya Jibril e Amin Se Poocho Paas Aake Rasool e Azam Ke Paoo Ke Janib Khade Hue Taazim Baja Laye Pehle Fir Paoo Pe Noori Lab Rakh Ke Talwo Ko Diya Hai Kyun Bosa Jibril e Amin Se Poocho Aqsa May Sawari Jab Pohnchi Nabiyo Ki Jamaat Haazir Thi Karne...

Yaad E Mustafa Aisii Bass Gaii He Seenay Mayn

Yaad e mustafa aisii bass gaii he seenay mayn Jism ho kahiin apna dil to hh madinay mayn Koan he yay deevana kis ka he yay deevana Hashar mayn bhi kehta he jana he madinay mayn Koan si jaga un kay aashiqon say khaali he Har jaga he parwanay shamma he madinay mayn Koan he tayra rehbar puuchha to khizar bolay Kali kamli walay heyn rehtay heyn madinay mayn Mayray kamli walay ka ghar to he Madinay mayn Haan magar wo rehtay heyn aashiqon kay seenay mayn Baad mayray marnay kay har zubaan pay charcha tha Aadmi to achha tha mar gaya madinay mayn Kaash un kay kuuchay ay saba la-ay yay peyghaam Chal tujhay bulatay heyn mustafa madinay mayn  

Us Hussain Ibne Haddar Pe Lakhoun Salam

Us Hussain Ibne Haddar pei lakhoun salam Kar liya nosh jis ne shahdat ka jaam Jis ko Dhoke se Koufe bulaya geya Jis ke bachoen ko Pyasa rulaya geya Khanjar zulm jis par chalaya geya Us ki kamil shahadat pei lakhoun salam Jis ne haq Karbala ka aada kar diya Jis ne Nana ka wa’ada wafa kar diya Jis ne kumbe a kumba fida kar diya Baadshah-e-sakhawat pei lahkoun salam Jis ko ummat ka gham hi satata raha Ashq gharoun mein jo bhi bahata raha Jo muqaddar hamare banata raha Us ki sab se a’al-o-ishrat pei lakhoun salam Jis ke shohar par khanjar chalaya geya Jis ke bethe ko khoun mein nalaya geya Jis ki bethi ko qaadi banaya geya Us khatoon-e-qayamat pei lakhoun salam Samne jis ke Akbar zibaah ho geye Goad mei jis ke Asghar tarapte rahe Jis ko ummat ne teeroun ka tohfa diya Us shaheed-e-M...